Fark

25 2 0
                                    

She asked me once...
"Why is it that when others tell u something, you completely ignore.. and even if I say something as a joke.. u take it so seriously.. you know it hurts me a lot.. why is it that all your anger is just for me..?"

I couldn't tell her then but I really wanted her to know that

Teri har ek baat se,
Fark padta hai mujhe,
Tere uss unkahe jazbaat se,
Fark padta hai mujhe,
Jo teri hothon ki hasi hai, usse bhi,
Fark padta hai mujhe,
Ya jo teri aakhon ki nami hai, usse bhi,
Fark padta hai mujhe,
Jo tu kehte kehte chhup ho jaati hai,
Tab bhi fark padta hai mujhe,
Aur kabhi jab tu bahut zyada bol jaati hai,
Tab bhi fark padta hai mujhe,
Jab khamoshi se palke neeche karti ho,
Toh bhi fark padta hai mujhe,
Ya jab aakhon se waar karti ho,
Toh bhi fark padta hai mujhe,
Jab tum kehti ho "kuch nahi"
Tab bhi fark padta hai mujhe,
Aur jab kehne ko hota kuch nahi,
Tab bhi fark padta hai mujhe,
Shaam jab tere bin tanha rehti hai,
Fark padta hai mujhe,
Ya jab tu bahut zyada kehti hai,
Fark padta hai mujhe,
Jo gair the unki baaton se,
Na fark padta tha mujhe,
Par tere bin kati raaton se,
Fark padta hai mujhe,
Yu toh aaj sab kuch hai,
Par na jaane kyu fark padta hai mujhe,
Kyuki sab mein bas teri kami hai,
Isliye fark padta hai mujhe...

The people who said anything to me were OTHERS... others whose words and the people didn't matter to me at all. They were not someone whom I wanted to be a part of my life nor did it matter whether they were there or they stayed...
But you did matter, you were special to me and will always be.. I know you are no longer there but you matter.. Kaash tumhe main bata sakta ki mujhe fark padta hai aur ye samjha sakta ki kyu?

A beautiful feeling called... LOVE...Where stories live. Discover now