Pyaas

34 2 0
                                    

Aaj phir se teri yaad aayi,
Dil mein tu kuch yun basi hai,
Aaj phir dil thoda udas sa hai,
Aaj phir hothon pe hasi hai.
Tera chehra wo chamakta hua,
Tere labon pe wo pyaari muskan,
Wo masumiyat teri baaton mein,
Teri adaa le leti hai jaan.
Jab aaye yaad wo pal suhaane,
Aj aakh bhi kuch namm ho gayi,
Bas yaad reh gayi hai teri,
Tu jane na kaha kho gayi.
Na bula saku na dekh pata hu,
Bas wo pal hi ab sahaara hai mera,
Kaash koi zariya hu ki keh du tumhe,
Tere bin na aaj bhi guzara hai mera.
Ek aas hai, bas teri yaad paas hai,
Tu bhi khush hai apni zindgi mein,
Dard toh hota hai par wo bhi meetha sa,
Kya ajab ehsaas hai dillagi mein.
Aj phir se tujhe chhuna chahta hu,
Aj phir tujhe baahon mein bharna hai,
Aj phir tere liye jeena chahta hu,
Aj phir teri chahat mein marna hai.
Chhu gayi tu kuch yun meri rooh ko,
Aaj bhi mujh mein tera ehsaas hai,
Mil gayi har ek hasrat meri,
Par jo bujhti nahi ye kaisi pyaas hai.
Tum bin waqt waise guzarta toh hai,
Par har lamha adhura hai tere bin,
Tere bin raatien ho gayi hai akeli,
Ab kaise bataye kaise kat-te hai din.
Jo kaha tha tumne jate hue,
Wo lafz aaj bhi mere kaano mein hai,
Tujhe bhulne ki koshish mein,
Tu yaad karne ke bahaano mein hai.
Aaja kabhi tu wapas yaha,
Main saari umar saath nibhaunga,
Agar na bhi aayi toh kya gam hai,
Main tujhko kabhi na bhulaunga.
Ab toh bas ek hi aas hai,
Ab toh bas yahi ehsaas hai,
Jo na bujhi hai, wo na bujhe,
Teri chahat ki jo jagi pyaas hai...

A beautiful feeling called... LOVE...Where stories live. Discover now