Kahi wo tum toh nahi...

51 3 0
                                    

Jiska ehsaas mere khwabo mein hai,
Jiski baat mere jawaabo mein hai,
Jo rehti har pal khayalo mein,
Kahi wo tum toh nahi...
Jiske baare mein sochta hu har pal,
Jiske saath bitana hai mera har kal,
Jo rahegi bas meri bankar,
Kahi wo tum toh nahi...
Jo rehti hai mere rubaru,
Kya wahi ehsaas hai tu,
Jise rehta hu dhundta main,
Kahi wo tum toh nahi...
Jo karti hai bekarar mujhko,
Jisse bin dekhe hai pyaar mujhko,
Jo dil mein bana gayi hai ghar,
Kahi wo tum toh nahi...
Jiska har lamha ehsaas hai,
Jo har pal aas paas hai,
Par aati nahi hai mujhe nazar,
Kahi wo tum toh nahi...
Karta hu jiski baatein main,
Jiski soch mein kaat-ta hu raatein main,
Jo milti hai mujhe sitaaro mein,
Kahi wo tum toh nahi....
Jise dekhta hu har chehre mein,
Phir bhi rehti hai kisi ke pehre main,
Jiski aakhen karti hai asar,
Kahi wo tum toh nahi...
Jiska kartu hu main intzaar,
Jo karti hai is dil pe vaar,
Jiske saamne jhuk jata hai ye sar,
Kahi wo tum toh nahi...
Mil jaegi har khushi mujhko,
Jab aaogi meri zindgi mein tum,
Ab jiske bin pal guzarte nahi...
Kahi wo tum toh nahi...

A beautiful feeling called... LOVE...Where stories live. Discover now