280. Mini and Vaishnavi talk

135 8 14
                                    

Next Morning, Vaishnavi woke up and came upstairs and saw Mineil sleeping.

Mini was leaned back on the couch dozed off with Neil's feet on her lap while her hands was on Neil's feet with her fingers curled around.

Vaishnavi was surprised and shocked at the same time.

She came to Mini and patted her head lightly.

Mini woke up and looked at her.

Mini: Hmm?.... Time kya ho raha hai?

Vaishnavi: 5 baj raha hai... Tu ja aaram kar le thodi der.

Mini: Are main theek hu...

She took off Neil's feet from her lap and tucked them under the blanket. Washing her hands, she rinsed to normalise the thermometer too.

Mini: (touching Neil's forehead, cheek and neck, kept it in Neil's mouth) Bukhaar lag to nahi raha ab....

She saw the temperature normal.

Mini: Huh... Normal hai... Thank god.... (To Vaishnavi) Chai piyegi?

Vaishnavi: Hmm... Tu muh haath do le... Main chai bana deti hu.

Mini: Hmm...

She went inside her room and came out in some time. They both sat in the balcony, shutting back the doors while sipping tea.

Vaishnavi: Mini... Can I ask you something?

Mini: Hmm... Puch na.

Vaishnavi: Dekh mujhe galat mat samajhna matlab tu jaanti hai meri kabhi koi family rahi nahi hai... Jitna bhi samjha jaana hai maine friends ya colleagues se khud hi...

Mini: (keeping her hand on hers) Main judge nahi karungi tujhe... Tu bejhijhak bol.

Vaishnavi: m... vo... a... dekh... huh.... actually jaise jaise shaadi me din kam hote ja rahe hai na... vo jo shaadi se pehle wali ghabrahat jaisi hoti hai vo feel hoti hai mujhe kabhi kabhi.... Mini... Tune teri mom ka married relation dekha hai... right?... Bhale strained hi sahi par dekha to hai.... Aur ab tu Neil ke saath relation me vo baatein samajh bhi sakti hi hogi... Isiliye main tujhse puch rahi hu... Tu samajh rahi hai na?... Mere paas koi aur nahi hai jisse main yeh baatein kar saku itna khulke.

Mini: Hmm... Bol.

Vaishnavi: Kyunki yeh mera decision hai Bobby se shaadi karne ka... Despite knowing ki Bobby ki family ek conservative family hai... I know ki Bobby bilkul conservative nahi hai... Lekin kabhi aisa hua ki mujhe uski family ki wajah se chauvinistic feel aaya to... Kya pyaar aur support milne pe itna badal jaana sahi hai ki chauvinism comfortably accept kar lein?... Aisi situation me kaise react karna chahiye?... Kisi ko bura na lage isiliye ignore kar lu?... Bobby se baad me bolu?... ya khud confront karu?... Kahin kal ko hum dono me jhagde ho gaye to?....

Mini felt the grip on her hand tightening as she felt anxious.

Vaishnavi: Kabhi kabhi to mere savaalon se hi dar lagne lagta hai mujhe.... Ki shaadi se pehle hi kya kya soch rahi hu main?... To main kya karungi shaadi ke baad?... What I meant is.... Tu ek feminist rahi hai... Main hamesha se ek feminist hona chahti thi... Bobby ke saath feminism feel kiya hai maine... par Bobby itne acche hai... mere liye apni family ke saamne khade ho gaye..... meri to kabhi koi family thi hi nahi... to main nahi chahti ki meri wajah se vo apni family se dur ho jaye... To kya thoda bahot adjust kar lena chahiye mujhe?

Mini knew all of this is the result of prewedding nerves acting on her because of the lack of family since childhood. Mini saw a genuine question in her words.

Vaishnavi: Main shayad tujhse kabhi yeh puchti lekin.... aaj actually main shocked ho gayi thi for a sec jab maine tujhe aise sote hue dekha... matlab tu Neil ke per daba rahi thi na raat me... To mujhe laga shayad thoda bahot adjustment is normal?

Meetha sa Ruhani ISHQ (Sequel)Where stories live. Discover now