Part - 36

1.2K 218 33
                                    

One week passed in a hurry, Veer and Ragini were busy in their respective works. They used to talk to each other but Ragini was little upset with the situation where Veer will not be present in her award function. Not that she is blaming Veer or any other person. She was upset on her destiny.

One day before the awards night,

She is not talking to Veer in this whole day thinking she will not be able to held herself from crying and if she cries then Veer will be disheartened.

R in mind : aaj pura din Sunny ko ignore kiya maine.. mujhe pata hai wo Mumma se meri khabar lega hi.. mujhe bhi Mumma se uske baremein pata chal gaya.. par main usse abhi baat nahi karungi.. main ro dungi.. meri kismat hi aise hai.. life mein paheli baar kuch achieve karne ki khusi hai wo bhi main khusi khusi nahi enjoy kar sakti.. Pahele Sunny nahi tha.. par abhi wo hai aur mujhe uske sath award mein jana tha.. uske samne award lena tha.. par yeh bhi mere naseeb mein nahi hai.. 😭😭

After sometime she thought something and called someone..

R : hello

Someone : mujhe kyun phone kiya?

R : ek help chahiye..

Someone : kyun tere pati ne mana kar diya?

R : Riddhima please unhe bich mein kyun la rahi hai?

Ri : main nahi la rahi.. wo khud aya hai tere aur tere parents ke bich.. mana ki masi aur mausa ji ne kabhi teri value nahi ki hai par tu kaise unse aisa behave kar rahi hai?..

R : Riddhu main koi bura behave nahi kiya.. jo bhi kiya wo mera reaction tha jo unki harkaton ki wajah se mere se hua.. aur maine unhe apne aapse dur nahi kiya wo khud gaye hai.. main aaj bhi tujhe isliye call kiya taki tu kuch karke unhe award function mein le aye.. kal agar award mila toh wo main unke samne lena chahti hu.. unhe dikhana chahti hu ki unki beti bhi kuch kar sakti hai.. main nikammi nahi hu yeh bas unke samne proof karna hai.. aur main bhale hi unke liye mar chuki hu lekin wo abhi bhi mere liye mere Maa Papa hi hai.. maine rishta nahi toda unse. Waise bhi agar mujhe award na mila toh unka hi fayeda hoga.. unhe taunt marne ka ek aur mauka mil jayega..

Saying this she cut the call and cried..

R : kyun kyun kyun ? Mujhe hi kyun galat samajh rahe hai?? Maine kya kiya? Apne liye stand lena , apne mann se kaam karna, apne liye jeena kya galat hai? Kya apni dream pure karna galat hoga? 😭😭

Few moments later she wiped her eyes.

R : nahi aise phir se tut nahi sakti main.. phir Sunny, Mumma aur Pappa ko bura lagega.. mujhe agar kal award mila toh unke naam hai yeh award.. kyunki unhone hi mujhe hosla diya, taqat di.. unhone jitna support kiya aaj tak mere apne maa baap ne nahi kiya.. aab mujhe bas Sunny aur is family ke liye kuch banke dikhana hai.. par unhe bhi jawab dena hai jinhone mujhe kisi bhi kaam ke layek nahi samjha..

She got freshed and went for dinner.

R : Mumma woh..

VM : mujhe kuch mat puch.. tu khud kyun nahi baat kar leti usse?? Raha nahi jata toh ignore kyun karti hai?

R sulked : Mumma please na.. aap toh at least mat danto.. waise bhi uski daant khani hi hai..

VM sighed. They finished the dinner and retired to their respective rooms.

R in mind : Sorry Sunny , I know tum mujhpe gussa karne wale ho.. par main yeh bhi janti hu kahi na kahi tumhe bhi pata hai ki main agar tumse baat karungi toh khudko samhal nahi paungi.. aur main tutna nhi chahti abhi jabki tum mere paas nahi ho. 🥺

She slept watching Veer's photo in her phone.

Next morning,

It is the award day.. she got up and looked at the phone and frowned.

Kuch kahena thaWhere stories live. Discover now