Past and Plan

1.1K 50 11
                                    

Faizi coming out of the shock asks: Sir Param bhaiya par Param bhaiya toh shaheed ho gaye the aur yeh Balli yahan kya kar raha hai?

Batra Sir: Actually 5 saal pehle jo Param aur Karan ka last mission tha saath mein hostages toh rescue karne ka usmein Param ko 4 goliyan lagi thi but he somehow survived. Un logon ne isliye isse marne ke liye khai se niche phenk diya tha. Unhe laga ki yeh mar gaya hoga but it was not the case kuch gaon valo ne isse bacha liya aur ek chote se hospital le gaye. He was in coma for 15 months jab yeh hosh mein aaya tab tak hum isse dead declare kar chuke the. Uss time tum Karan aur Sanju New York mein the mission Khalifa ke liye isliye sirf main aur Barkha hi jante the ki yeh zinda hai security reasons se humne kisi aur ko inform nahi kiya tha. Almost 6 mahine baad jab tumlog mission se vapas aane vale the tabhi ministry se ek mission aaya tha jiske liye ek aisa Agent chahiye tha jiske bare mein koi na janta ho but voh high profile cases ke liye experienced ho aur kyunki Param uss waqt dushmano aur baki logon ke liye mar chuka tha isse better option nahi tha koi jisse uss mission pe bheja ja sake undercover.

S: Par aap hume bata toh sakto the na ki Param Sirji jinda hai aur mission pe hain. Hume nahi toh kamsekum Karan Sirji ko toh bata dena chahiye tho aapko.

Batra Sir: Bata toh sakta tha but jis mission pe humne Param ko bheja tha voh bahut hi dangerous tha aise mein agar hum Karan ko bata dete ki Param zinda hai aur dobara agar usse kuch ho jata toh kya Karan khud ko sambhal pata nahi na. Barkha ko bhi yahi sahi laga isliye humne kisiko kuch nahi bataya. 2 hafte pehle hi mujhe Param ne contact kiya tha ki uska voh mission successful ho gaya hai aur voh vapas aa raha hai kyunki uss waqt tumlog Karan ko dhundne mein busy the I thought ki thode time ruk jaun but phir jo hua aap sab jante hain.

P: Sir yeh samay biti baton ko yaad karke khudko takleef dena ka nahi balki at hand emergency ko warfoot level pe handle karne ka hai. Aap sab soch rahe honge ki main Balli ko apne saath kyun laya hoon toh baat yeh hai ki maine RPF tak pahunchne ka plan banaya hai jiske liye hume Balli ki zaroorat hai. Hum mein se kisi ke liye bhi yeh aasan nahi hoga but hume Balli ko theek vaise hi treat karna hoga jaise hum Karan ko karte the. Dushmano ko shak nahi hona chahiye ki hume pata hai yeh Karan nahi Balli hai. Aur jaisi information humare paas hai boss khud yahan aane vala hai toh hume aur chaukanna rehne ki zarurat hai.

M: Sorry Bhaiya but hum iss Balli pe trust nahi kar sakte.

P: Do baatein (monami immediately raised her fingers which amazed Param but he guessed that as they have spent much time with Karan they might be used to his way of talking so he continued) : Pehli ki its Sir for all of you mujhe bhaiya sirf mera bhai Karan ya uske permission diye hue log bula sakte hain like Faizi and Sanju aur koi nahi. Aur Doosri baat yeh ki Balli bhale hi unka sathi ho par voh bura nahi hain. Usne jo kiya majboori mein kiya kyunki RPF ke boss ne uski jaan bachai aur phir use Karan ki shakal deke yahan bheja. Isne yeh kaam karne se mana kiya tha but unlogon ne iski family ko hostage bana rakha hai. Yeh humari help bhi issi liye kar raha hai coz yeh yeh sab nahi karna chahata aur apni family ko bachana chahta hai. So all of you must co-operate and that's an order.

Everyone except Batra Sir: Yes Sir

Batra Sir: So what's the plan Param?

P: Sir plan yeh hai ki voh log chahte hain ki yeh Karan banke yahan rahe aur unko har ek information deta rahe and at present unhe Ekta Cultural Programme ki security details chahiye aur hum unhe voh Balli ki zariye denge. Hum unhe open opportunity denge ki voh humare paas khud chal ke aaye. Unhe lagega ki voh humse jeet gaye but in reality they will the one falling for our bait. Aur rahi baat minister Sir ki security ki toh voh main personally handle karunga. Infact maine iss plan ke liye already unse approval le liya hai.

Batra sir: Ok then wish you all the luck. Ab main chalta hoon I have an important meeting tum yahan sabse introduction karlo .

P: Yes Sir. Jai Hind

Mission Samarpan (On Hold)Where stories live. Discover now