Wedding-Festivities (2)

1K 148 52
                                    

After Haldi,

Anuradha- Haseena ab thodi der soja, ek ghante baad phir Mehendi ke liye taiyaar hona shuru karenge.

HM- hum rest karlenge lekin Ammi kaha hai. Unke saath baithna hai humme (cutely frowning)

Anuradha- abhi 10 minute me aa rahi hai...

HM- waise humari phool ki kaleerien tere upar giri hai...toh ab tu bhi shaadi kar le na. Mujhe bhi meri best friend ki shaadi me naachna hai🥺

(She sits beside her)

Anuradha- pehle tere ek- do bache hojaaye phir karlungi😉

HM- zyada train mat chalao😒

Anuradha- koi Anubhav jaisa milna bhi toh chahiye Haseena. (Seriously)

HM- fake expectations nahi paalni chahiye (teasing) woh one and only, mere piece hai.

Anuradha- aise achi imagination ko chur karne ki jarurat nahi thi...😶

HM- toh aise handsome, cute, fitness freak saath me chaat khane waale, intelligent, deshpremi, understanding, caring, itna pyaar karne waale, space dene waale item nahi milta hai (She blushes while praising him, Anuradha smiles, how her bestfriend has been in love.)

Anuradha- aise clear words me bolke armaan todne ki zarurat nahi hai (frown) mujhe pata hai pehle se.

Haseena chuckled.

Anuradha- waise Shradha (her another friend) se baat hui?

HM- Haan. Usne hum dono se saath me video call ki, best wishes dene ke liye. Woh 8th month me hai isliye nahi aa payegi.

(Their conversation continued)

Anuradha - ab Ammi aagayi hai toh mai bhi jaati hu rest karne. (She smiled and left as Ammi came)

HM- bahout time laga diya aapne ammi (She complains with a scowl on her face, like a little girl) aapki eklauti santaan ki shaadi hai, aapko sabse zyada humme time dene chahiye. Mehmaano ko nahi.

Ammi- abhi voh Anu ko bhi dekhte hue aaye na toh der ho gayi. Sorry.

She sat next to her daughter, pecking her forehead. Tapping a little on her folded leg, she called her in her lap but she refused.

HM- paav me dard hai na aapke ammi, aise nahi souenge hum.

(Haseena lowered the temperature and snuggled into a blanket, also covering Ammi. Her face rested just next to her, while she kept her hand in her lap)

Aur aap humme humare hi shohar se humme jealously feel karwa rahi hai.

Ammi chuckled.

Ammi- pata hai samdhan ji tuhjhe aur hum Anu ko zyada dhyaan aur pyaar kyu dete hai?

She shook her head in a no.

Ammi- kyuki apni santaan ko samjhna asaan hai apne damaad ya bahu se. Bahout lamba samay lagta hai kisi ke andar ke jazbaat samjhne. Tum dono ek dusre ko behtraeen jaante ho kyuki partners ho, lekin humme samay lagega. Tabhi toh woh ek jhat dekh ke bata deti hai ki Anu ko koi problem hai aur humme time lagta hai. Kyuki ek Ammi ki jagha koi nahi le sakta aur na uske liye uski santaan ka.

HM- (frowns) bahout confusing hai ye. Matlab Maa humse Anu jitna pyaar nahi karti?

Ammi- (Slightly patting her head) shabd pakad rahi hai. Chod ye baat jab ammi aur saas banengi na tab samjh jayegi. Abhi ke liye so ja. Aadhe - ek ghante me Anuradha aur Kiara aa jayenge tujhe taiyaar karne.

Her wrinkled and rugged hands softly move across her hairs giving her a comfort, calming all her anxious, excited nerves. Her eyes felt droopy feeling relaxed but her father's image flashed in front if her.

Mere HumsafarWhere stories live. Discover now