Wedding - Festivities (1)

1.1K 145 68
                                    

23 May 2022- Haldi & Mehendi.

"Tum dono ne milkar mujhe purani filmo ke kabootar jaise bana diya hai, idhar se udhar pyaar ki baate pahuch raha hu". Vikrant said catching his breath.

"Unfit ho gaye ho ekdum...5 kamre door hi toh hai Anu", Haseena taunted squinting her eyes at him. Their phones had been snatched away by their mom's, when one of his senior called him for a silly thing. They couldn't talk to eachother with any other mobile phone because of the repeated guests arriving to see them in their resort room before their haldi function starts.

"Kya bola phir unhone?", she asked. "Keh raha hai aaj hi...kyuki kal sangeet ki practice me pura din jayega, aur raat ko late tak function chalega",Vikrant replied.
"Ek toh suprise de rahe hai upar se date bhi humari pasand ki nahi rakh sakte", Haseena mumbled.

"Ab jaau main?", Vikrant asked looking at Mamiji entering, the room. "Haan-haan...jaaiye aap apne best friend ke paas...apni behan ko bhul jaaiye", she complained turning towards Anuradha who shook her head seeing her reaction.

"Woh kya hai na meri behena...tumhare shohar ne humari shaadi me bahout kaand kiye the toh uska badla lena ka mauka me nahi chod sakti, warna apni team badi paaki hai", he said touching and pulling the tip of her nose. "Ye maamiji ko kisi kaam se idhar-udhar karde Anuradha...warna faltu mein problem karengi Haseena ke liye", he whispered before leaving.

Here in Anubhav's room both Maa and Karishma were in tension seeing Anubhav in worry. They had sent all the relatives out of his room.
"Sab sahi hai beta...bas tu ye tension chod de.... Anu", Maa said softly caressing her son's hair who was probably getting wedding jitters. "Amma bhaiya koi problem nahi hogi shaadi me...humara waada hai aapse, phir kahe load le rahe hai", KS tried to cheer him up. "Wahi iska problem hai ...isko hazam nahi ho raha ki bina problem ke iski life me itna bada moment kaise guzar raha hai", Vikrant entered. Three of them looked at him at this statement. When he slightly inclined his head in agreement, each one of them sighed.

Maa moved closer to him and patted his back. He tugged his hands behind her back hugging her stomach. "Ek kaam karo tum dono", Maa said looking at Karishma and Vikrant. "Haseena ko yaha le aayo".

"Hum dono?", she exclaimed. "Aur voh bhi Mamiji ke under se...", he added. "Humse nahi hoga". KS shook her head vigorously. "Agar by chance MaamiJi ke udhar se le bhi aaye...toh woh Haseena ke jaate hi waha se uth kar yaha aa jayegi", Vk said.

"Nalayak aur kaamchor police wale ho dono ek number ke", Maa taunted. Anubhav turned and looked at them with puppy eyes.

"Aise tukur- tukur mat dekhiye...jaa rahe hai hum", KS said. "Toh jaldi niklo", VK smiled. "Hum matlab hum dono", she replied with angry eyes.

"Meri shaadi me bhi tune meri taang kheechke mujhe pareshaan kiya...apni shaadi me Maami ka bali ka bakra banake bhi mujhe hi pareshaan kar raha hai...cheating hai ye", Vk whined and moved out, leaving behind a smiling mother-son duo. Maa kissed his hairs to comfort him.

"Tu Mamiji ko baato me lagana mai Haseena ko le aaunga..." "Haa lekin uske baad bhi toh koi chahiye...akele Anuradha se nahi sambhalegi", she hissed but later smiled seeing Santu. "Milgayi" "kaun?" "Maamiji ko bhatkane ki bakri",KS replied with a sly smile.

"Santu... ruko, Pushpa ji kaha hai...?" "Woh toh mast khana kha rahi...humme kaam pe lag ke" "Ha pata hai humko...jab unke baraatiyo ko bina namak samose mille the na tab unhone pran liya tha ki woh bhaiya ki shaadi me sirf khayengi aur naachengi"

"Ek kaam karogi humara, Santu?". Vikrant asked and gestured Karishma to leave. She hurried inside Haseena's room, indulging Maami ji in her talks.

"Boliye bhaiya kya karna hai?"
"Khuch nahi bas mamiji ko batao me uljhana hai taaki main aur Karishma, Haseena ko Anubhav ke paas le jaaye. Aur Mami ji usme panchayat na kar sake"

Mere HumsafarWhere stories live. Discover now