26//~a bigger mistake~

302 22 13
                                    

Ajabde stomped into Kunwar Pratap's room which was now technically her room too. She didn't care that practically everything in the room was  Everything in this palace was Kunwar Pratap's.

Frustratedly, she took a metal vase and slammed it to the floor. It clanked against the ground and the sound echoed through the large room.

"Hey Eklingji, kaunsa pahad toot pada?" Parvati Mausi asked rushing into the room with a set of jewelry and clothes. She set them down and walked toward Ajabde to comfort the angry girl.

"Door rahiye humse! Aaj humare nikat koi na aiye anyatha humare krodh mein bhasma ho jayenge," Ajabde said dramatically and for good measure, she knocked over one more vase.

"Haan, Haan. Mujhe pata chal gaya ki tum krodhit ho. Ab batao bhi ki krodhit kyun ho!" Parvati Mausi asked.

"Yeh, Kunwar Pratap apne aapko samajhte kya hain?! Kahike Maharaja hain ky-"

"Mewar ke hone wale Maharaja to hain," Parvati Mausi interrupted.

"AAP HUMARE PAKSH MEIN HO YA UNKE?" Ajabde turned to the kind elderly woman.

"Tumhare, tumhare par batao abhi ki kya hua," Parvati Mausi said quickly. She knew Ajabde was one dramatic girl but she really wanted to know what had happened to anger the usually bubbly Ajabde into a fire-breathing monster.

"Hume parivaar todne ka bhala kya shock hain? Rani Dheerbaisa ke virudh shadyantra rachke bhala hume kya millega? Hum to keval Kunwar Pratap ka bhala soch rahe the," Ajabde ranted pacing the room back and forth.

"Par kiya kya Maharanisa ne?" Parvati Mausi asked.

"Humne unhe baat karte sunna ki veh Kunwar Jagmal ko sinhassan pe bithane shadyantra rach rahi hai to humne Kunwar Pratap ko ja ke sab bataya aur unhone humari baat pe bharosa kiye hi nahi par humpe joothe akshep lagaye aur humse kaha ki hum Dheerbaisa ke samne ghootne tek ke kshama mange," Ajabde explained.

"Yeh to unhone galat kiya," Parvati Mausi sympathized with Ajabde and looked for a way to tell Ajabde exactly how naive and foolish she was.

"Hum koi airi gairi to hain nahi. Unki mitra hain. Unke parivaar ko todke hume kaunsa sukh milega," Ajabde added.

"Aur yeh ab tumhara bhi to parivaar hain," Parvati Mausi said.

"Uh-Haan!" Ajabde exclaimed and sat down on the bed still furious.

"Parnatu, main ek baat kahu Ajabde,"  Parvati Mausi asked setting a comforting hand on her shoulder.

"Hmm," Ajabde replied.

"Main abhi abhi aa rahi thi to maine Saubhagyavati aur Ganga ko yeh kehte sunna ki veh tumhari samasiyao se thak gayi hain," Parvati told her.

"Aisa nahi ho sakta, avashya aapko koi galat femi hui hogi. Humari sakhiya aisa kabhi nahi keh sakti," Ajabde replied firmly, completely distracted from the earlier issue.

"Maine apne kaano se sunna bhi aur ankhon se dekha bhi, Dhongi hain bilkul tumhari dono sakhi," Parvati Mausi said.

"Parvati Mausi!" Ajabde exclaimed standing up. Parvati Mausi removed her hand from Ajabde's shoulder maintaining a calm expression contrary to the princess.

Wherever You Stray, I Follow (Kunwar Pratap/Ajabde [PrAja])जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें