Chapter 19 - Knowing Her Past

471 77 7
                                    

Naina - ( *gulping* ) Apko bahut saari baate nahi pata hai Sameer. Hum dono ke asli naam, hum pehle kaha rehte the, humara past, kya hua tha tab, kuch nahi. But I guess ab time aachuka hai ki apko sab kuch pata chale ki asliyat kya hai.

• ───────•••─────── •

Sameer - Toh tum yeh keh rahi ho ki mujhe aaj tak tumhare baare mein jo kuch bhi pata chala hai wo sab jhoot hai?

Naina - Sab nahi bas kuch kuch baate

Sameer - Jaise ki?

Naina - Mera naam?

Sameer -( *sighed* ) Matlab almost sab

Naina - Par batati hun na main kya sach hai

Sameer - Aur koi option bhi nahi hai tumhare paas. Toh batao sab kuch aur is baar kuch jhoot nahi hona chahiye

Naina - Chinta mat kijiye is baar sab sach kahungi

Taking a deep breath, Naina closed her eyes and going into the flashback, started her story.

Naina - Naina pehle mera nick name tha aur jise apne dekha wo hai meri twin Sunaina. Aur mera real name tha Candle aur uska Candice aur hum dono Russia mein rehte the apni family ke saath but fir kuch aisa hua jiski wajah se mujhe Russia chhoddna pada aur use mera naam aur meri identity mil gayi isliye usne apna naam Candice se change karke candle rakh liya.

Thinking about her, Naina clutched the bedsheet even harder and gritted her teeth. Sameer seeing this, kept his hand on her shoulder to calm her down and sat peacefully beside her waiting for her to forward with the story.

Naina - 10 saal pehle ki baat hai jab candle ne hamari finally ko hamesha ke liye tod diya tha

Sameer - Candle ne? Naina ek minute bahut confusion create ho raha hai toh tum candle candice ki jagah apne nick names hi use kar lo

Naina - ( *Sighed* ) Thik hai

Naina - Sunaina aur main tab 10 saal ke the. She was a spoilt brat aur hamesha hi kuch ulte pulte cheezo ki maang karti rehti thi jiski wajah se kayi baar mom and dad ne usko daanta bhi tha aur kayi baar jo cheez ki maang wo karti thi wo use nahi milti thi that's why she used to envy me kyunki main jo bolti thi wo mujhe mil jata tha

Sameer - Favourite child?

Naina - Nahi reasonable demands. Kyunki uski tarah I was not a brat. Use movies dekhna bahut pasand tha. Itna zyaada ki jab wo koi movie dekhti thi tab 1-2 dino tak usi movie ke main character ki tarah behave karti thi. Her favourite was psycho and murder movies. Ek point tak yeh sab theek bhi tha but with time uska obsession badhta gaya aur wo dheere dheere khatarnaak banti gayi. Ab tak toh wo shayad poori pagal ban chuki hogi.

Naina - Aur usi pagalpan ke chalte usne hamare kuch neighbours ko bhi attack and injure kar diya tha.

Sameer - ( *astonisheed* ) Itni choti umar se?

Naina - Haan. All of us tried to keep her away from anything that would trigger such behaviour.
But woh hamesha koi na koi raasta nikaal leti thi apni man maani karne ki.
Aur fir aya hum dono ka birthday wala din, and it still is the darkest day of my life.

Sameer - Uncle aur aunty ki death bhi tumhare birthday wale din hi hui thi na?

Sameer was confused in the beginning but then realisation hit him and his eyes got widened in shock.

Sameer - Tumhare kehne ka matlab hai candle?! Matlab Sunaina ne?!

Naina - ( *gulping* ) Haan! Pata nahi kaha se usne ek movie dekhi thi tab jisme main character ek assassian tha jiski wajah se wo mom and dad se gun ki maang karne lag gayi. Jab dad ne use ek fake gun di tab usne usko fek kar kaha ki use fake nahi real gun chahiye. Aur of course uski age and pagalpan ko dekhkar dad ne mana kar diya kyunki he was sure ki Sunaina zaroor kisika murder kar degi. Par yeh baat use pasand nahi ayi and that's when things took a turn.

Reluctantly Married Where stories live. Discover now