Chapter 8 - The Unseen Side

523 73 18
                                    

Later, Sameer neither came home at night, nor Naina went out of the room to eat something. The day was ruined for both of them, but neither could do anything knowing that they still weren't prepared to hear the explanations of each other.

• ───────•••─────── •

Next morning :

Naina woke up in the morning at her usual time but with a severe headache.

Naina - ( *holding her forehead* ) Yeh mera sar itne zyaada dard kyun kar raha hai?

She looked around the room but to her surprise Sameer was not there.

Naina - Sameer abhi tak wapas nahi aye? Ya fir wapas aakar bhi room mein nahi aye?
Jakar dekhna padega.

Naina got out from the bed and started walking towards the hall. She was still holding her forehead and was having difficulty in walking.
She finally reached the hall but again there was no trace of Sameer.

Naina - Sameer yaha par bhi nahi hain? Kahi iska matlab yeh toh nahi ki wo kal se ghar aye hi nahi.
Munna ko call karke puchti hun agar unhe kuch pata ho Sameer ke baare mein.

Naina - ( Calls Munna ) Hello Munna wo apko Sameer ke baare mein kuch pata hai kya? Matlab wo kaha hai ya kuch?

Munna - Nahi bhabhi mujhe toh nahi pata kyun kya hua hai?

Naina - Na na kuch nahi bas aise hi wo kal raat se ghar nahi aye hain toh mujhe laga shayad apke saath honge

Munna - Nahi bhabhi mere saath bhi nahi hai wo. Par aap chinta mat kijiye wo kisi kaam se hi gaya hoga agar mujhe kuch pata chalega uske baare mein toh bata dunga main apko.

Naina - Acha theek hai fir. Rakhti hu main.

Munna - Haan bhabhi ( Disconnected the call ).

• ───────•••─────── •
Munna - Kamine bhabhi se jhoot kyun bolne bola?
Munna - Hua kya hai tum dono ke beech? Tujhe pata bhi hai kitni pareshan lag rahi thi wo?

Sameer - Abe bhabhi ke chamche chup kar. Mujhe us se baat nahi karni matlab nahi karni.

Munna - Par kyun?

Sameer - Tujhe wo jaan ne ki zaroorat nahi. Bas itna samajh le ki maine jis baat ke liye mana kiya tha usne wohi baat ki

Munna - Aisa kya kar diya bhabhi ne? ( *smirked* )

Sameer - ( *slapping the back of his head* ) Chuze tu negetive hi soch sirf.

Munna - Bhai sun. Tujhe khudko bhi yaad hai ki tune kitne rules banaye hain? Aur unhe follow karna kisi normal insaan ke baat hi nahi hai.

Sameer - Jo bhi ho mujhe bas itna pata hai ki wo mere khilaaf gayi hai aur mujhe us se bilkul baat nahi karni hai

Munna - Tu confirm toh hai na ki tu 25 ka hai?

Sameer - ( *narrowed his eyes* ) kya matlab?

Munna - Matlab chhodd tu, mujhe kuch kaam hai toh main chalta hun tu bhi office ja aur haa jaldi ghar chale jaiyo aaj bhabhi ki awaz se aisa lag raha tha jaise tabiyat theek nahi hai unki

Sameer - KYA NAINA KI TABIYAT THEEK NAHI HAI?!! ( *fake cough* ) m-m-mera matlab hai ki mujhe farq nahi padta uski tabiyat se mujhe jab jana hoga ghar tab chala jaunga.

Munna - Theek hai mere baap jab jana ho chale jana waise bhi kaun hi tujhse aaj tak argument mein jeet paya hai ( To himself ) Naina bhabhi ke alawa

Sameer - Kya kaha?!

Munna - Mm-maine? Maine kaha kuch kaha? Kuch bhi toh nahi ( *fake laugh* ) kuch bhi toh nahi

Reluctantly Married Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora