The End

13 1 0
                                    

Hum insan aise hi hein na k bghair kisi baat ki tasdeeq kiye khud k hi ghumanon pe chalnay walay aur hmaray nazdeek hr wo insan jhoota ho jata hai jo apni wazahat paish krna chahay, hum understanding mein nhi blkay judgement pe yaqeen krnay walay loug hein haqeeqatan aur hmari zubani hum se ziyada koi positive aur understanding bhe nhi, yhi tu msla hai hm lougon ka , hum jo apnay baray mein bht behtreen soch rahay hotay hein hum wo real mein hotay hi nhi. Lekin kiunke hmein aisa LG rha hota hai ya hmari aisi soch hoti hai k hmein lgta hai k agr agla insan hum mein koi khaami bta rha tu wo hasad mein bta rha ya USS mein khud koi msla , hum se ziyada pakbaaz aur aqlmnd koi hai hi nhi aur yaqeen krein hmari hamaqat k liye itna hi kafi hai k hum acceptance ki bjaye aur kisi bhe point pe khud ko ghalat smjhnay ki bjaye defend krnay lg jaien aur khud ko unintentionally aql e qul karar de daite hein USS lamhay.
Aur Azlaan AP ne bhe tu yhi kiya mere sath, meri side ki story janay bghair hi sb khud hi akhaz kr k chornay ki naveed suna di. Mein chahti tu sub clear kr k zbrdsti safaiyan de k rouk skti thi apko , lekin ye sub bemaksd tha kiunke mein phir saari zindagi apko yaqeen dilanay k liye wazahtein hi paish krti reh jati aur wazahton pe mabni khatan zindagi guzarnay se behtr raahein alaag krna hi tha. Jo apko lgta k AP ne ki lekin darhaqeeqat es sub mein sub se ziyada ALLAH ne mujhe hi seekhaya. Han bht bikhri aur royi zroor thi mein lekin akhir kb tkk aik insan dusray k liye roo skta hai , mujhe bhe ALLAH ne sabar de diya aur sabar k sath hikmat bhe.
Meine es sub arsay mein seekha k jo cheez jo insan mere naseeb mein nhi wo meri nzron k samnay hotay huwe bhe nhi milay gi tu phir girgranay se behtr hai k ALLAH k faislay k agay srr tasleem e khum kr dein. Kisi se mohabbat aik wqti Jazba zroor ho skta hai jo ALLAH hi Hamaray dil mein daalta hai aur wohi phir USS ko hum se dur kr daita hai taa k hum ishq e hqeeqi ko Jaan sakein.
Bht se mehboob hotay hein jinko ye jazba bht kamzor kr daita hai lekin meine ye jana hai k insan ka nfs mazboot ho ALLAH se rishta mazboot ho tu duniya ki koi taqat apko kamzor nhi kr skti. Blkay hr cheez apkay liye aik behtreen sabak bn jati hai.
Behadd shukriya mujhe zindagi mein en sub asbaak ko seekhnay ka moka dene k liye. Apkay janay k baad hi tu jana meine k mujhe apni zindagi k mksd ko pehchan ko USS ko hasil krna chahiye na k aik insan k peeche apni zindagi zaya kr deni chahiye. Zindagi bht qeemti hai aur mujhe usko beqadray lougon k peeche zaya krnay se behtr esko jeena hai aur bamaksad bnana hai.sub prhnay k baad mere pas maafi mangnay k liye anay ki zroorat nhi , mein apko maaf kr chuki hun umeed hai apki bdgumaniyon k liye ALLAH bhe apko maaf kr chuka ho shayaD.
Apki Mashkoor
AHLUM..!!!
aur 2 saal baad diary k ye akhri kalmat prhtay huwe azlaan ki ankhon mein numi thi , na janay wo takleef k Ansoo thay ya pachtaway k. Lekin wo janta tha k wo zindagi mein jo bhe kr chuka hai wo usko badal nhi skta, ye sub hamesha aik pachtawa bn k rahay ga uskay sath. Aur ussay apni baki ki zindagi agr, mgr, aur kash mein hi guzarni ho gi.
اب کے روٹھے بہاروں میں ملیں شاید
جیسے سوکھے پھول کتابوں میں ملیں

》☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆《

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Aug 11, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now