"ZINDAGI KI DOOBTI NOH"

32 3 2
                                    

Amma kbhi mujhe lgta hai k ye sb mera aik khawab tha Azlan se milna phir USS se bicharna, nhi nhi bicharna nhi blkay wo tu mere se kbhi bichar hi nhi skta, USS ne khud mujh se kha tha k hum dono kbhi bichar nhi sktay, mein pagal hun jo aisi fazool baatein krti hun, pr amma azlan ab ata hi nhi mujh se milnay, lgta busy rehta hai zyada ab, wrna wo tu apna kaam k elawa saara wqt hi mere sath guzarna psnd krta tha   aur ye sb kehnay k baad ansooun ka aik raila uski ankhon mein umad aya aur wo ussi kaifyat mein madhosh ho k girr gae.
Aisa sirf AJ hi nhi peechle aik saal se ho rha tha ahlum k sath k wo rouz uthti aisi behki behki baatein amma ko sunati aur phir girr jati. Aur amma uski barbaad huwi zindagi ko dukh se daikhti aur dil hi dil mein kehti k ya ALLAH kbhi kisi bchi k itnay buray naseeb na krna.
Amma ko aj b saal pehle ka wo din yaad tha jis mein ahlum ne sb kuch kho diya, maa baap tu wo bachpan mein hi kho chuki thi aik izzat aur waqaar hi tha duniya ki nzron mein jo bharam tha wo b Mrs. Jahangir ne Ahlum pe tuhmaton k anbaar lga k tor diya. Sirf es liye k azlan ahlum ko psnd krnay lga tha aur wo dono shaadi k bandhan mein bndhna chahtay thay.
Mrs. Jahangir ne  sirf es hasad mein k ahlum ka kisi achi jgha rishta na ho ki wjha se uska kirdar tkk dhagdaar kr diya azlan ki nzron mein
Aur azlan ki tu jaisi mohabbat hi wqti thi, ahlum k kirdar pe baat sunn k usko defend krnay ki bjaye aisa chora k dobara palat k nhi daikha k kaisi hai kahan hai ab zinda b hai ya nhi .
Ye sirf aik azlan ka hi nhi blkay hmaray muashray ka hi ye wateera hai k jb b aurat k kirdar pe baat kr de koi tu USS baat ki tasdeeq kiye bghair hi sb uski zaat pe mil k keechar uchalnay lgtay.
Amma jb b ahlum ko daikhti tu unko USS pe beeta aik aik zulm yaad aa jata lekin wo chah kr b kuch na kr paati.
Ahlum ab amma k ghr hi rehti thi kiunke ghr se nikalay janay k baad uskay pas aur koi Thikana nhi tha.
Aur rehti b kahan thi blkay ye kha ja skta k fkt sansein le rhi thi , bs apni zindagi ki muddat poori kr rhi thi jaise .
Kbhi tu saara saara din roo k guzaar daiti aur kbhi mukamal khamosh ho k saara saara din diary likhnay mein aur jb amma pouchti k baita Kia likhti ho tu fkt itna kehti k amma apko smjh nhi aye ga jo mein likhti hun kiunke mein ye apnay qatil k naam likhti hun k kaise qatal kiya USS ne mujhe Kia Kia aziyatein di USS ne mujhe
Amma ye sb sunn k kehti k qatil? Kon ?kaisi baatein krnay lgi ho tum ahlum ? Aise na kha kro meri baiti. Jis pe ahlum hr dfa itna hi kehti k amma AP kyu pareshan hoti hein jld hi mein apko apnay bouj se b azaad kr dun gi tb AP ye diary mere qatil tkk pohuncha dena.
Aur amma ye suntay hi ronay lg jati hein.
موت کیا؟ ایک لفظ بے معنی
جسکو مارا، حیات نے مارا

》》》》》*****************《《《《《

Hey frndz,,so sorry I'm uploading too late coz of my busy semesters.
Now plz stay tuned for last last episodes
& if you like this epi. Plz vote for me by pressing star icon below ☆
Thank you!♡

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now