" UNIVERSITY LIFE "

122 10 4
                                    

Aik neya din aik neya aghaz Ahlum university Jane k liye tyar ho rhi thi k ussi duran Taseer a jati hae aur uss se apne last time buray behaviour ki maafi mangti hae Ahlum sunn kr Kuch der tkk tu khamosh rehti hae aur phir uss k sorry ko iss tanbeeh k sath kabool kr leti hae k " jis din hmari fitrat na rhi baat sehne ki , uss din tumhe himmat nhi ho gi hm se koi baat kehne ki " .... Taseer ko Ahlum ki baat smjh a gae thi kiunke wo janti thi k Ahlum ko must'a'ran ( yni indirectly isharatan ) baat smjhane ki aadat hae lehaza wo phir wahan se chli gae aur Ahlum phir se university ki tyari mein mshghool ho gae .. uss ka hr kaam ko krne ka style bht unique hota hamesha ..aur uss ki issi uniqueness ko kuch girls tu sahratin aur kuch hassad ki wjha se tanqeed krti ...Ahlum bnd kmray mein bhlay hi kitni udass ya sensitive hoti..lekin ye kbhi b uss k zahri rukh se numayan nhi huwa

.......................*************.......................

University mein Ahlum ki apni hi aik shaan thi ..uss ka apna hi aik munfrid style tha ...kashish thi uss ki personality mein ...JB wo university enter hoti tu bht c senior badge ki girls b uss ko slam kehti kiunke unko psnd tha Ahlum ka muskratay chehre se slam ka jwab sun'na..kuch girls uss ki dressing sense adopt krne ki khwahish krti tu kuch uss ka lougon ko treat krne ka tareeka adopt krne ki koshish krti aur kuch hasud mein mubtla ho k ussay tanqeed ka nishana bnati .. kiunke unko Ahlum k sirf style se , way of speech se hi msla nhi tha blke main msla tu unko ye tha k university mein Ahlum k naam ka hi dunka kyu bjta hae ...Ahlum unka jealousy level aur tanqeedi fiqray bakhoobi janti thi lekin uss ne kbhi unko koi jwab dena munasib nhi smjha wo yaqeen rkti thi k .." ALLAH jisay chahe izzat de aur jisay chahe zillat "..

Ahlum aik confident ladki thi university ki hr society mein active member aur sirf member hi nhi blkay bht c University ki societies ki president b thi ... socially active aur basketball player.. university mein uss Ka favourite time whi hota jb uss ka basketball match hota ...

.......................***************....................

Ahlum girls k sath jitni hi polite aur hr muamle mein kind thi uss k br'aks wo utnay hi ukhr behaviour ka muzahra krti boys k sath ...uss k nzdeek boys k sath khush ikhlaqi se baat krna mtlb unko khud hi free honay ka moka dena ..aur wo aisa moka kbhi Kisi ko fraham krne ki khwahismnd nhi thi lehaza mostly boys jb b uss Ka naam suntay ya uss ko kbhi mess table pe apni hostel discussion ka topic bnate tu uss ko Ahlum nhi blkay " pretty robot " kehtay ..k bhai bhlay hi dikhne mein achi hae lekin bolte huwe utni hi skht hae Jaise koi dil, emotion hein hi nhi uss mein ...touba hae uss k agay tu bray bray dawedar lrkay free honay ki himmat nhi kr skay kbhi ..wo tu bs societies k kaam ki hud tkk baat krti aur bs .....pathar hae wo ....
Aur tha b aisa hi k Ahlum coconut k Jaise bn chuki thi yni bahir se skht mizaj mostly lougon k liye aur andr se utni hi soft, sensitive...lekin uss ki soft , sensitiveness ka gwah uss ka room hi tha bs jahan wo duniya ki nzron se chup kr udaas ho kr baith skti thi .. jahan baith kr wo apni saari baatein ALLAH ko btati thi ...
Aur bs uss room se bahir wo aik coconut k khol mein hi bndhi mostly lougon k sath skht mizaj ki lrki thi..
Uss ko mostly university ki girls style icon b kehtin jisay suntay hi wo hs kr unko kehti k agr uss ka MBBS mein admission na huwa hota tu wo fashion designing hi krti ...

.....................**************...................

Ahlum ki writing bht khoobsurat thi aur mostly aisa b hota tha k jb kbhi koi assignment milti tu mostly bachay assignment ka first page Ahlum se hi likhwate....uss k presentation skills best thay yhi wjha thi k wo societies mein b behud active aur kabil member smjhi jati aur basketball team mein kiunke wo apni university ki representative b thi ...issi sb ki wjha se principal se le kr guard tkk sb ussay achay se jantay thay ...
Bht c mehroomiyon k baes wo jo baatni ( androoni )tor pe aik udaas c ladki thi, university mein aik apni pehchan rkhti thi ..Ahlum university mein aik Jana mana naam bn chuka tha ...

.......................*************........................

" Bht se loug ussay zahri dekhtay hi sochtay most well dressed decent personality with loveliest smile "

Aur rushk se kehtay k zindagi ho tu aisi aur un k iss kehnay mein unka kasoor Kia tha mostly loug aise hi tu hote hein zahri tor pe hi jo dekhtay hein agr acha lge tu whi hasil krne ki khwahish krne lg jate hein bghair dusra pehlu smjhe bghair kisi k baatni halaat smjhe ...bs jo zahri asaishein dekh li ussi ko same waisa hi sb kuch hasil krne ki dua shuru kr di ...hmaray muashray ka almiya hae hi ye k khwah insan ho ya aur koi b duniyawi muamla bs aik sikkay Ka aik rukh ( aik pehlu ) jaan kr hi faisla ya khwahish kr di jati hae ...
Iss sb muashrti almiyah k bawajud Ahlum k rules mein se aik rule ye b tha k wo insaun ko un k zahir se hi judge nhi kr leti blkay hr haal mein hr baat mein unko smjhnay ki koshish krti .. kiunke wo strongly agree krti thi k iss duniya mein hr koi struggle kr rha hae Kisi na kisi form mein suffer kr rha hae tu ussay judging ki bjaye lougon ko smjhna Chahiye kiunke judge tu hr koi kr leta hae lekin understanding , Kisi b insan ko smjh aik bashauor insan hi skta hae ...

......." Dekho tu mathay pe aik shikun b nhi ...
........Ghour kro tu silwaton se bhri hae saari rooh "...

........................*************......................

AOA guyz hope you like this chapter if you like this chapter then plzzzzzz vote by pressing the star ..
For further story stay tuned n follow
Thank you . 🌸

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now