" ANDRUNI RUKH "

152 9 4
                                    

" Drd shiddat Ka ho , aur hmdrd koi na ho ..
Aise tlkh ayyam b atay hein Zindagi mein .."
Ahlum Jo bhuji bhuji c baithi thi Asr ki nmaz k liye uthi aur wadhoo krnay k baad ALLAH k hazoor hazir huwi bht thehar thehar k nmaz prhi aur phir slam k baad Jb dua k liye hath uthaye Tu yonhi bemaksad hi kitni Der tkk hathon ki lakeeron ko dekhti rhi ..Taseer k khe ge alfaz phir se aik dfa uss k zehan mein ghunjnay lgay aur phir wo SB Yaad atay hi uss ki ankhon se dobara ansoo behnay lgay lekin ab ki dfa ussay un anso'on ko na tu rokna tha aur na hi chupana tha kiunke wo ansoo ab sirf ALLAH dekh rha tha ...aur uss ne ye haq sirf apne ALLAH hi ko de rkha tha ..

........................**************....................

Kiunke Ahlum iss baat pe yaqeen rkhti thi k duniya k Kisi b insan ko apne baare mein agr ap sb kuch sch bta b daite ho Tu agla insan apko smjhne ki bjaye ap k samnay Tu hmdrdi Ka dhong kre ga jb k ap ki gair majudgi mein ap ki btai gae baaton ko hi duhra kr na sirf khud hse ga blkay dusron ko b ap pr hsnay Ka moka fraham kre ga..iss liye apne Dil mein hazaro baaton Ka dair jma rkhne k bawajud b USS ne kbhi Kisi insan se share nhi ki ..jb b Dil mein jma ki gae baaton Ka drd shiddat ekhtiyar kr jata tu wo sirf ALLAH k hazoor paish Hoti aur uss se apni saari baatein share kr leti kiunke whi aik zaat thi jis pr usse kamil yaqeen tha k jahan uss ki baatein uss k jazbat sunn kr koi hse ga nhi blke apni rehmat se usse skoon ata frmaye ga ..aur hamesha hota b aise hi jb b wo uss zaat se apni saari baatein share kr deti tu aik skoon sa utr jata uss mein.

........................**************.....................

Nmaz dua se farigh hone k baad uss ne ghr call ki ..Ahlum chounkay medical ki student thi aur uss ka admission merit pe muzzafarabad huwa tha iss liye wo wahan hostel mein hi rehti thi aur uss ko aadat thi k wo rozana ghr call zroor krti thi ..call anay mein aur call krnay mein bht frq hota hae aur bs yhi frq tha uss mein aur baki ladkiyon mein k Baki ladkiyon k ghr se call ki jati thi unka haal ehwal dryaft krne k liye aur Ahlum khud call krti thi ghr walon Ka haal ehwal jan'ne k liye ..Aj b jb uss ne ghr call ki tu kitni der tkk kisi ne receive hi nhi kiya aur jb kareeban wo adha ghenta musalsal krti rhi tu akhir kar uss k Baba ne uthaya aur bs whi rsmi salam dua haal ehwal k baad Allah hafiz aur phone bnd ...jb k wo baki ladkiyon ko dekhti tu wo ghenta ghenta apne ghr walon se baatein krti rehti apni mama se apni Behan se Bhai se...lekin Ahlum k case mein tu aisa Kuch b nhi tha uss k behan bhai se baat tu dur uss ki tu hostel mein kbhi apni mama se b phone pr baat nhi huwi... kiunke JB se wo hostel ai thi uss ki mama ne uss ko kbhi call na ki aur na hi kbhi haal ehwal tkk pouchne ki zehmat ki so uss ki bs Apne Baba se hi rasman salam dua hoti aik dher minute ki aur bs..saare din mein uss ne Kia Kiya university Kia huwa uss k sath ye sb baatein uss se sun'ne k liye uss ki family mein se Kisi k Pas b fursat nhi thi ...
" You never realize how lonely you are until it's the end of the day and you got a bunch of things to talk about and no one to talk to "

....................*************........................

Guyz hope u like this part too so if u like this part then plz vote n comment 💐💓
Kia Ahlum aisi hi thi hr time udaas rehne wali ladki aur Kia Ahlum k waledain ka rawaya apne sbhi bchon k liye aisa hi tha ?? Ye sb b janiye lekin story k next parts mein 🙈🙈
So stay tuned n follow 🌸

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now