" KHWAB AUR SAWAL "

86 4 0
                                    

Haan mein aik buri ladki hun ...Mujhe khud ko badalna hae.. Mujhe duniya k mutabik chlna hae....Mein hr rouz jeena mrna nhi chahti.. Mujhe aik aise muqam pe jana hae... jahan mujhe kisi ki awaz b na a skay ...Bs mein kho jaun jahan na koi a skay aur na ja skay !!!

...................***************.......................

Ye sb apni diary pe likhtay huway Ahlum ki ankhon mein hlki si nmi namoodar ho rhi thi...wo ye likhtay huwe bs dil hi dil mein yhi soch rhi thi k ALLAH ye kaisi aziyat hae na mein kisi ko apni haqeeqat bta skti hun na kisi k Samnay roo skti hun Kiunke naam k sbhi rishtay tu hein meray pas.. tu Unkay hotay huwe tu meray pas ronay ka jawaz b nhi hae..
Iss sbhi asna mein Ahlum dil hi dil mein aik hi baat duhra rhi thi k kyu Baba ap mujhe iss duniya mein akelay lrnay akelay sb kuch face krnay k liye chor k chlay ge..iss sb mein uski ankh kb lg gae ussay pta hi nhi Chla...

........................*************.......................

Aj Ahlum jb sooti hae tbhi wo khuwab mein daikhti hae k aik taiz si roushni namoodar hoti hae aur uss roushni k gaeb hotay hi wo aik insan ko khra daikhti hae.. Ye whi insan khra tha jisko daikhnay ki khuwahish Ahlum ko peechle 10 saalon se thi... Aur wo insan koi aur nhi blkay Ahlum k mrhoom walid thay... Ahlum ki nzr jaise hi un pe prti hae Ahlum ka dil chaha k bhaag kr unhay thaam le unko bhosa de... Lekin jaisay hi uss ne unki trf brhna chaha... Kadam tu jaise zanjeer ho ge hun wo Chah kr b unko thaam nhi pa rhi thi koi undikhi si rukawat thi un dono mein.. Chahne k bawajud b jb Ahlum apnay Baba ko thaam b na ski tu unhi num ankhon se boli ...

.......................***************....................

Ahlum : Baba Kia ap mujh se naraz hein?? Meray itnay yaad krnay k bawajud b Ap kbhi khuwab mein b nhi aye!!
Baba : Nhi baba ki Jan ...walidain kbhi b apnay bchon se naraz nhi hotay agr kbhi wqti tor pe ghussa ho b jaien tb b apni aulad se nhi roothtay...
Ahlum : Baba kitnay fasilay hein hm mein... Ye kehtay hi Ahlum k gaal pe aik ansoo beh nikla...
Baba : Nhi baita ye fasila tu bs aik saans ka hae jis din bnd huwi mein idhr aik daimi zindagi mein pohunch gya..
Ahlum : Baba apki bht yaad ati hae..
Baba : Nhi meri baiti rotay nhi.. tum tu meri naik aur bahadur baiti ho.. Jb tum roti ho tu takleef mujhe b hoti hae.. Lekin tumhay pta hae mein bht khush hota hun jb tum mere liye Quran prhti ho aur mere naam se sadqa krti ho...
Ahlum : Baba kbhi mujhe ye duniya bht tng lgnay lgti hae.. mujhe aise lgta hae k bht se logon ko meri wjha se takleef pohunchi hae... Ye sb jantay huwe b mein kuch nhi kr pati.. Ye bht aziyat k lmhat hotay mere liye..
Baba : Aziyat nhi baita blkay Shukr adaa kiya kro k tumhe apni ghlti ka ehsas tu ho jata hae bhlay der se hi hota ho.. Tumhara zameer zinda hae tu tumhe mulamat krta hae na... Bht se logon ko tu burai k baad mulamat tu dur burai ka ehsas tkk nhi hota..
Ahlum : lekin Baba uss ehsas ka Kia faida jb hmein duniya maaf hi na kray.. Bouj tu km nhi hota na dil ka..
Baba : Ahlum meri bchi duniya ka itna zrf nhi k wo kisi insan ko maaf kr k uss ka Bouj hlka kr dein ya ussay skoon de dein..
Ahlum meri baiti skoon logon se maafiyan mangnay k baad hi naseeb honay wali cheez nhi aur Ahlum Kia tum Quran mein nhi prhti k
" Dilon ka skoon tu beshak ALLAH k zikr mein hae "

Ahlum : Baba beshak ap thk keh re hein lekin mein shayad iss duniya mein itna bhatak chuki hun k na tu ab Rub milta hae aur na hi koi duniyawi hmdrd.. Bs aik bebasi ki si kaifiyat hoti hr wqt..

Baba : Ahlum hidayat bin mangay bht hi km logon ko naseeb hoti hae.. Kia tum ne kbhi dua mangi k ALLAH aur kuch nhi bs mujhe hidayat mil jaye... Bs ALLAH mil jaye... Nhi tum ne kbhi aisa kuch nhi manga aur Ahlum jo loug ye nhi mangtay bs duniya mangtay hein unko na tu kbhi skoon naseeb hota hae aur na hi duniya yahan tkk k wo loug iss lahasil ki hasil mein thk jatay hein beskoon ho jatay hein... Jb Kay iss k braks Jo loug ALLAH se hidayat mangtay hein ALLAH se ALLAH hi ko mangtay hein unko na sirf daimi skoon milta hae blkay wo sb milta hae jinki unko khuwahish hoti hae Kiunke Jo ALLAH se ALLAH hi ko mangtay hein Ahlum wo loug kbhi khaali hath nhi lout'tay aur na hi unki duaien khali jati hein....

Baba ki ye sb baatein sunn kr Ahlum mein aik skoon sa sirayat kr gya

Baba : Ahlum tumhara zindagi guzarnay ka tareeka tu aisay hona chahiye baita :
Na zbt de na jilal de, mujhe bs itna kamal de
Mujhe apni raah pe daal de k zamana meri misal de..

Ahlum : Aur baba Jo loug hmaray khilaf hun bghair kisi wjha hi k Phir b Kia mein Unkay khilaf na hun? Jo mere kirdar tkk ko masukh krnay ki koshish krein

Baba : ye suntay hi baba muskranay lgay ye baat krtay huwe unhay Ahlum Bilkul aik choti si masoom si bchi lgi jisay kuch b pta nhi ho... Jo bechain thi bht se swalon ko le kr..aur wo bechaini Ahlum ki ankhon mein numayan dikh rhi thi.. Lehaza baba ne muskratay huwe kha nhi Ahlum tum Phir b Unkay khilaf nhi hona beshak wo tumhara kirdar musakh kr k rkh dein.. Kiunke unki mukhalifat ya unko bura kehna tumhari fitrat nhi hae... Aur tum kuch buray logon ki wjha se apni fitrat mt badalna baita.. Tumhay bs khud ko ALLAH ki raah pe dalna hae aur uss ALLAH k liye hi uski mkhlooq se mohabbat krni hae baita... Kiunke Jin logon k dil mein ALLAH ki mkhlooq k liye nfrat ya bughaz hota hae uss dil mein ALLAH ki mohabbat nhi rehti.. Agr tum chahti ho baita k ALLAH b tum se mohabbat kray tu uss ki mkhlooq se mohabbat kro aur badlay mein uss ki mkhlooq se koi umeed wabsta na rkho... Jo b milay ga tumhay ALLAH k hukam se behtreen milay ga.. Aur izzat zillat tu ALLAH k hath mein hae tu phir loug lakh chahnay k bawajud b tumhara kirdar kaise musakh kr sktay hein?

Ahlum : Baba kash k ap hamesha mere sath hotay mujhe itnay Achay se guide krnay k liye

Baba : Ahlum baita zindagi mein Jo milay uss pr Shukr ada krna seekho janti ho insan ka ye kash uss se kitni nashukri krwata hae... ALLAH k hr kaam mein behtri hoti hae jis din hm iss baat ko smjh lein ge uss din shayad hm kbhi kisi baat pe b kash kehna chor dein..
Jo tumhare pas hae uss Pr Shukr adaa kro aur Jo tumhare pas nhi uss ki hasrat aur talab mein khud ko bechain mt rkho bs hr haal mein Shukr krna aur khush rehna seekh jao Phir Jo b tumhari kismat mein behtreen ho ga tumhay milta jaye ga !!!
Aur Ahlum kbhi b zamany ki thokrun se pareshan mt hona.. Ye zamany ki thokrein hi tu hmein seekh deti hein sae se jeene ki.. Issi liye Quran pak mein zamany ki kasam uthai gae hae!!!

Bs yhi kehna tha aur phir aik tez roushni k namoodar hotay hi Baba uss ki nzron se khin gaeb ho chukay thay..
Uss k baad Ahlum ko milal nhi tha Unkay aisay gaeb ho janay ka aur na hi mazeed koi bechaini thi bs ussay uskay baba aik hi mulaqat mein jeene ka tareeka seekha ge thay...
Ahlum abhi iss khuwab mein hi khin khoyi hoti hae k ussay mehsoos hota hae k koi ussay hila rha ho utha rha ho jaisay... Wo jaisay hi ankhein kholti hae Mrs. Jahangir ko Samnay paati hae Jo ussay hukam de rhi hoti hein k kl na sirf ghr Achay se saaf kray blkay khud b tyar rhe wo wqt pe.. Unki koi special dost a rhi hein kl unki family se milnay aur kisi khaas mksd se... Ahlum ko smjh nhi ai k Konsa khaas mksd akhir... Lekin ussay unsay pouchne ki himmat b nhi huwi iss liye khamoshi se sr asbaat mein hila diya.. Aur Ahlum Kia janti thi k ye khaas mksd ussi ki zindagi badal k rkhney wala hae!!!

........................*************.......................

So frndz here the new episode... Hope you like it too... N if you like this episode then plz press the star below... N to know further story stay tuned and follow 🍁
Thank you!!!

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now