" FAMILY "

92 6 4
                                    

~^~ I said : What about my eyes ?
GOD said : keep them on the road .
~^~ I said : What about my passion ?
GOD said : keep it burning .
~^~ I said : What about my heart ?
GOD said : Tell me what you hold inside it ..
~^~ I said : Pain and sorrow
GOD said : Stay with it. The wound is the place where the light enters you ..

(M.J. Rumi )

.......................****************.................

Ahlum aj hostel se kareeban 4 mah baad wapis ghr ai thi kiunke wo ghr tb hi ati jb mid term ho jatay aur unko vacations ho jati kiunke uss duran hostel bnd rehta iss liye tb wo ghr a jati ....ye ghr normal, jaise Baki lrkiyon ka tha waisa nhi tha aur na hi Ahlum k ghr wale dusre bchiyon k ghr walon ki trha apni bchi ki amad ka shouk se intezar krne wale the....lehaza aj b jb Ahlum din ko 12 bje ghr pohuchi tu ghr mein koi khaas intezamat nhi the aur na hi Kisi ko intezar ...sb ghr wale tb soo rhe the aur ghr b poora bikhra pra tha kiunke Ahlum ko jis mahinay chutiyan hoti uss mahinay uss ki mama kaam wali se kaam churwa deti thi aur phir saara kaam Ahlum ko hi krna hota tha ..shuru shuru mein Ahlum ko ye sb bht feel hota k uss k sath hi fkt aisa slook kyu ...lekin phir dheere dheere uss ne jo jaisay halat the unhi ko kabool krna shuru kr diya tha ...ya waqae kabool krna shuru kr Diya tha ya ussay khud ko sb k samnay normal rkhne ki acting a chuki thi Shayad.....khair jb wo ghr pohunchi tu 12 bj chuke the ...uss ne fresh hone k baad nashta bna kr kiya phir zohr ki nmaz ka wqt ho gya tu jldi se wo adaa ki kiunke usse abhi ghr k bht se kaam krne thay..nmaz prhte hi uss ne ghr ki saari safai wagera ki aur Khana bnaya utnay mein sb uth chukay the ...Ahlum ko dekhte hi sb ne rasman slam dua ki aur tbhi Mrs.jahangir ne btaya k unki frnd k hàan aj aik party hae aur wo sb invited hein ...sb party ki tiyari mein masroof ho ge ..
Mama mein b party mein jana chah rhi thi ...mein soch rhi thi aise outing ho jaye gi thori ..
Haan beta Dil kr rha hae janay ko tu jao tyar ho jao ja k ...ye awaz ussay peeche se sunai di thi ..Ahlum ne mur k dekha tu wahan khre Mr.jahangir muskrate huwe ye keh re the ..
Ahlum sunn kr bht Khush huwi aur thank you Baba kehtay huwe room se bahir janay hi lgti hae k utne mein Mrs.jahangir kehti hein , koi zroorat nhi hae itni outing ki abhi aj hi hostel se hi ai ho outing kr k ...itna lmba Safar kiya hae rest kro ja k ..
Thk hae mama ...ye kehtay hi Ahlum apnay room ki trf brh jati hae ..
Tbhi wo apnay room mein baithe baithe Mr.jahangir ki baatein sunn rhi hoti hae Jo wo kr tu apnay room mein rhe the lekin rooms kareeb kareeb thay iss liye clearly smjh a rhi thi Jo wo bol rhe the k thk Kiya tum ne Waleeha jo Ahlum ko tum ne mna kr diya mein b lrkiyon ko koi zyada sir chirhane ka qail nhi hun ...Mr.jahangir ki in baaton pe Ahlum zyada heran nhi ho rhi thi kiunke wo jaan chuki thi k wo hamesha aise hi tu krtay hein k uss k samnay sugar se b zyada meethay aur uss ki gair majoodgi mein utna hi uss k baare mein zehar uglnay wale ....

...........................***********.......................

In sb jameylon mein raat k 11 bj chuke the aur ab sb ja chuke the ...ghr mein bs Ahlum thi aur koi b nhi ...aise mein ussay aur tu kuch nhi bs diary likhni thi aur sona tha ...lekin ye tu uss ki soch thi abhi...ussi asna mein bell huwi Ahlum ne gate khola..Dekha tu wahan " Khala Amma " thi ... Khala Amma un k ghr kaam krti thi lekin kiunke iss mahina tu sbhi nokrun ko chutti de di gae thi iss liye ab wo kaam krne nhi Ahlum ko Kuch paise wapis krne ayi thi jo unho ne Ahlum se qrz liye thay jb unka chota baita beimar tha ...
Khala Amma aien ...ye kehte hi Ahlum ne gate kholte huwe andr ka ishara kiya.. Khala Amma Ahlum k sath hi uss k room mein chle gae ...haal ehwal dryaft krne k baad Khala Amma ne baki ghr walon ka b poucha jis pe uss ne btaya k wo sb tu party mein ge hein bs ye sun'ne k baad Khala Amma ko mzeed kuch pouchne ki zroorat hi nhi rhi kiunke wo un k ghr barsoun se kaam kr rhi thi iss liye wo sb jaanti thi ...Kuch der khamosh rehne k baad Ahlum ko sir pe piyar Diya aur kehne lgi mujhe aj b yaad hae jb shafeeq sahab zinda thay ...teri choti se choti Khushi Ka kheyal rkhtay thay baita ...aur tumhe parties psnd thi tu week mein koi chote se chota function b zroor krtay thay tumhari Khushi k liye...ye sunte Ahlum ki ankhon mein ansoo aur zehan mein yaadon ka aik sailab sa a gya ...
Khala Amma hr kaam mein ALLAH ki behtri hi hoti hae ...Mein itne mein b raazi aur shukrguzar hun k ALLAH ne mere sir pe abhi b in lougon Ka saya aur rehne ko aik ghr ata kr rkha hae ...
Baita khaak saya aur ghr ...ye sb kuch jahan ye loug itni aish se reh rhe hein ye tu shafeeq sahab ka tha aur un k baad sb kuch apka ...in zalim lougon ne naam , rehne ko jgha tu di apko lekin sb kuch apnay kabzay mein le liya ....
Ahlum : Khala Amma chorein b ...ye duniya ki cheezain duniya mein hi reh jani hein ... mujhe in sb cheezon k hasool se koi ghrz nhi ... mujhe ALLAH ne jitna de rkha hae abhi b ...uss Ka shukr hae ...
Khala Amma : putr hae tu abhi tum 19 ki lekin ALLAH sohnay ne tujhe bht wasee zrf de rkha hae ...
Ye kehtay hi Khala Amma ne Ahlum se liya qrz wapis krna chaha hi tha k Ahlum ne mna kr diya k nhi Amma in paison se ap chotu Ka kisi achay school mein dakhila krwa dena ..
Khala Amma ki ankhein nummi se chmki aur phir ye dua detay huwe wapis chle gae k baita hamesha Khush rho tum ...tumhe kbhi Kisi cheez ki kmi na ho ...bilkul shafeeq sahab pe hi gae hae .....
Tum hamesha Khush rho !! Tumhe kbhi Kisi cheez ki kmi na ho !! Bilkul shafeeq sahab pe hi gae hae !!

Tum hamesha Khush rho !! Tumhe kbhi Kisi cheez ki kmi na ho !! Bilkul shafeeq sahab pe hi gae hae !!

Ye wo alfaz thay jo Khala Amma k jate sath hi sunai dena bnd nhi ho ge thay blke dur khin Ahlum k Dil mein Kisi drd ki trha chubh se gay thay!!

...........................***********........................

Ahlum ne in sb alfaaz aur sochon ko aik trf jhtka aur diary likhna shuru kr di ..

سرد سا ہاتھ مِلانے والا
تُو وہی ہے نا زمانے والا
غم کی مزدوری مُجھے کرنی ہے
ہے کوئی ہاتھ بٹانے والا ؟
عُمر بھر ساتھ نبھانے والا
اِک فقط دُکھ ہی تو ہوتا ہے یہاں
درد بھی آ کے نہ جانے والا
رات بھی ایسی کہ ٹھہری ہوئی رات !!

Khala Amma ko kaise btaun k wo bhle meri khushiyon ki jitni b dua kr lein lekin mujhe koi Khushi Baba jan k janay k baad se achi lgti hi nhi ...whi meri Khushi mera sb kuch thay ..ab wo nhi tu kuch b mujhe Khush nhi kr skta ....aur Khala Amma apki ye dua k mujhe Kisi cheez ki kmi na ho ... mujhe dur khin chubh c gae k jis insan k Pas piyar krne wali family koi aik b mukhlis dost na ho uss k hq mein phir jitni b ye dua KR lein kaise qabool ho skti hae !!! Aur Khala Amma ki baat , k shafeeq pe gae hae ...iss baat ne Ahlum ko iss baat pe mjboor kr Diya tha k wo uss raat shiddat se unhe Yaad krne lgi thi aur ussi krb mein kb uss k ansoo behna shuru ho ge wo nhi janti thi bs sb dhundhli yaadein ana shuru ho gaen k aj se 13 Saal pehle jb uss k Baba zinda thay tu wo ussay Kitna piyar krte kitni ahmiyat daite ... kiunke Ahlum ki maa ki mout tb hi ho gae thi jb wo 2 Saal ki thi ..lehaza shafeeq sahab ne usse maa aur baap dono Ka piyar Diya tha k ussay kbhi apni maa ki kmi mehsoos na ho ...lekin shayad Ahlum ki kismat mein hi mehroomiyan likh di gaen thi tbhi jb wo 6 Saal ki hi thi tu uss k Baba ka b inteqal ho gya ....unki mout k baad Ahlum k chacha chachi yni Mr.jahangir aur Mrs.jahangir ne Ahlum ki zimmadari uthai ussay naam Diya ghr diya rehne ko ...jb Ahlum choti thi tu wo unki mamnoon thi k unho ne ye sb Kiya uss k liye lekin wkt k sath sath ussay pta chla k ye sb krnay mein Mr.jahangir Ka mksd tha aur wo tha Ahlum ki property pe kbza ...

.............................*************..................

AOA frndz umeed hae apko ye chapter psnd aye ga ...so if you like this part then plz press star ....to read further story stay tuned and follow 🌸

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now