" BIN-MAANGI-MOHABBAT "

97 4 4
                                    

(After 3 months of interaction between Ahlum and Azlan )

Azlan : Meine kbhi socha nhi tha k Ahlum tum mujh jaise shkhs se Itni frank b ho gi kbhi _
Ahlum : Ap jaise ladke se Kia Mtlb apka... Ap aik civilized aur Achay insan hein ainda khud ko mere samnay tu atleast aise mt biyan kijye ga my Squadron Leader Azlan Sultan _
Azlan : Ahlum tum janti ho K kbhi kbhi tum aisi gehri baatein kr jati ho na jo na chahte huwe b insan k dil mein khin utr si jati hein aur Phir mein sochta hun k koi insan itni naik niyat aur achi kaisay ho skti hai _
Ahlum : Jantay hein Azlan apko meri aadatein aur baatein Itni achi kyu lgti hein? Kiunke Ap mujh se beinteha mohabbat krtay hein aur mehboob ka tu ghalat b sae lgta hai esi wjha se apko meri aadatein b sbkay muqable mein behtreen lgti hein.. Ap hamesha mujhe mohabbat bhre dil aur jzbat K sath daikhte hein aur ye mohabbat apko mehdood hi meri achaiyon tkk rkhti hai _
Azlan : Ahlum mein hi Kia blkay tumhay Jo insan b Sahi se jaan le whi insan tumhari mohabbat mein grifta ho jaye wo tu Alag baat jo tum khud kisi ko frank nhi honay daiti... Mujhe herat hoti hai K kaise mujhe tum mil gayi_
Ahlum : Azlan kbhi kisi insan k apki zindagi mein anay ya janay K muamle pe gour nhi krtay Kiunke jin logon ka hmari zindagi mein ana kismat mein likha hota hai ALLAH unsay hmein kisi na kisi zariye se mila hi daita_
Azlan : Ahlum mujhe tumhara ALLAH pe itna pukhta yaqeen bht acha lgta hai
Ahlum : yaqeen ki Itni pukhtugi K liye drd sehnay prtay hein, thokrein khaani prti hein aur ap nay tu kbhi ye sb brdasht hi nhi kiya shayad.. tu apko tu yaqeen ki pukhtagi pr herat hi ho gi
Azlan : Mtlb?  Ye sb tu mera nhi kheyal K Ahlum tum ne b kbhi face kiya ho..
Ahlum : ( Jo K maazi K kheyalon mein khoi huwi thi)  achanak boli han meine b life mein ye situations kbhi face nhi ki.. Mein tu aise hi keh rhi thi..
Azlan : Haan mein janta hun tum ne life mein aisay halaat kbhi face nhi kiye... Agr kiye hotay tu jahan mein tumhare baare mein itna janta mujhe ye b pta hota zroor  ...
Azlan ki es baat pe Ahlum fukt muskra di aur dil hi dil mein kehnay lgi K Azlan ap mere baare mein apnay daawe mein kitnay ghalat hein na.. Ap smjhtay hein k ap mujhe mukammal jantay hein jb k ap tu meray baare mein bht si haqeeqaton se ab tkk na aashna hein!!!
Lekin es mein Apka kasoor nhi hai hmaray muashray K 90% loug hai hi aise K kisi insan ko zahri muskratay hstay daikh liya tu uskay sath khushikhlaq khushmizaj ka title mnsoob kr daite Aur sirf itna hi nhi blkay hr mumkina koshish ki jati K uskay sbr uskay kirdar ko azmaya jaye... Haqeeqat hai hi ye k hr insan ko hstay muskratay chehre se mtlb hai andr ap kin musaieb,  azmaishon se lr rhe ho mr rhe ho es baat se kisi ko ghrz nhi... Aur dukhi insan ko tu es qdr tanqeed ka nishana bnaya jata hai na k ab loug Udaas hun ya jitna b pareshan Bs khud k upr aik muskratay chehre ka khol chrhai rkhtay hein lekin haqeeqat tu ye hai k ab loug kisi b  dusre insan ko apna asal btanay se drtay hein... Udaas bolnay aur likhnay walay ka mizah bnatay hein k wo kmzor hein buzdil hein Jo apni musibat ko biyan krtay hein lekin sch tu ye hai k wo insan hi sb se mzboot hein k km uz km un mein ye hunar tu hai K wo apni takleef ko alfaaz mein biyan kr sktay hein... Wo khushi ka makhota nhi chirhaye rkhtay wo apni mein hi mein nhi rehtay wo apni anaa ko mita kr btate hein k Haan mein hun pareshan meri eslah kr de koi kash!!!
.
.
Ahlum kahan gaeb ho gae??? Azlan ne Ahlum ki ankhon K samnay hath hilaya..
Nhi khin b nhi mein yhi soch rhi thi k Waqae Azlan tum mere baare mein Kitna jantay ho!!!
Azlan ye sunn kr asbaat mein sr hilate huwe muskra k bola G Mis Ahlum Jahangir jin se mohabbat ki jaye Unkay baare mein saari information rkhtay hein hm...
Ye suntay hi Ahlum khilkhila K hsnay lgay.. Qehqha aise tha jaise zbt toot gya ho kisi ka... Aur phir kitni hi der wo aise hsti rhi
Azlan : Meri mama se baat ho chuki hai mere aur tumhare baare mein...wo keh rhi thi k wo next week tumhari mama se baat krein gi hmare rishtay K baare mein !!
Ahlum : Time kitni Jldi guzr jata hai ..abhi aise lgta hai K ye sb kl ki baatein hein jb k mein aur ap aik dusre se 3 mah se cntct mein hein
Azlan : Haan aur ab aise hi jldi hi hmari shaadi b ho jaye gi
Ahlum : shaadi Lfz suntay hi Ahlum k dil mein kisi unhoni ka drr dhoob K ubra... Lekin uss ne sb kheyalat ko rud krtay huwe Azlan ko muskratay huwe ALLAH Hafiz kha aur ghr ko chl di

Ghr mein b Ahlum jaise hi raat ko bistr pe last'ti hai ussay Azlan se huwi saari baatein yaad anay lgti hein aur Phir uskay kheyalat ka sfr aik mrkz pe rukta hai Aur wo hota hai " shaadi "

Ye Lfz sochtay hi uskay zehan mein ata hai K kia Mrs Jahangir maan jaien gi meri Azlan se shaadi K liye.. Aur phir bht der tkk esi nuktay pr sochtay rehne K baad wo sb kuch ALLAH k bhrosay chor k soo jati hai!!!

...................******************..................

Aglay hftay hi Mis nusrat Mrs Jahangir K ghr ati hein aur unhay apni amad ka mksd btati hein k Azlan Ahlum ko psnd krta hai Aur mujhe khud b Ahlum bht psnd hai agr ap chahein tu hm in dono bchon ki shaadi kr dein..
Ye suntay hi Mrs Jahangir ka hlk tkk khushk ho jata hai K wo Ahlum ki shaadi kisi squadron leader se kaise honay de skti hein... Ye rishta tu unki bri baiti deserve krti hai... Andr ye sb kheyal rkhnay K sath sath hi Mrs Jahangir ne fukt muskratay huwe itna kha : g kyu nhi mis nusrat blkay mujhe khud khushi ho gi agr hmari ye dosti rishtedari mein bdl jati hai tu!!!
Ye suntay hi mis nusrat khush hotay huwe Mrs Jahangir K galay milti hein aur Acha ab chlti hun bht si tiyariyan b tu krni hein ye kehtay huwe Chli jati hein
Ahlum jo ye sb guftugu drawing room K bahir se hi sunn rhi hoti hai ...apnay Mrs Jahangir se saare ikhtilafat Bhool kr Unkay galay lg jati hai Aur thank you mama keh kr muskranay lgti hai ..aur Ahlum kahan janti hoti hai K Mrs Jahangir ka ye aik Haan Ahlum ki zindagi mein kitnay toufan laane ka sochnay K baad kiya gya hai....jb k Mrs Jahangir dil hi dil mein sb soch chuki thi k unho ne Ahlum ki zindagi ko mzeed kaise tabah kun muqam tkk pohunchana hai Aur ye sb tu unko bchpan se hi Ahlum k sath krnay ki aadat si ho chuki thi...jaise Ahlum ko kisi na kisi trha se aziyat dena hi unka mksd bn chuka ho!!!

......................*************........................

Here the new part of story... Hope so guyz uh like this part too  ..if yes then please press the star and give your opinion in comments
Thank you all! 🌸
Stay tuned to read further story!

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now