" WO EK NAZAR "

85 4 2
                                    

Janay Kia mujh se ye zamana chahta hai...
Meri sbhi Khuwahishat ko mita kr mujhe hsana chahta hai....
Janay Kia baat chalakti hai mere chehre se...
Hr shakhs mujhe hi azmana chahta hai....

Aj subha subha hi Mr Jahangir K ghr mein tiyariyan arooj pr thi... Sbhi mulazim duty pe thay... .kisi trf safai suthrai ki ja rhi thi tu khin kitchen se Khanayki khushboo hr trf phel rhi thi... Ahlum b khala amma K sath kitchen mein hi msroof thi k tbhi Mrs Jahangir a kr ussay agah krti hein k unki dost anay hi wali ho gi... Ja kr tyar ho jao... Aj ghr k kaam mulazimon ko hi krnay du Kiunke nusrat ( apni dost ka naam laite huwe kha) tu yhi janti K tum b hmari hi family ka hissa...iss liye kitchen se niklo ab Aur tyar ho jao Unkay anay se pehle... Ye suntay hi Ahlum kitchen se niklti hai Aur apnay room ki trf brh jati hai...

..........................************.......................

Door bell huwi mulazim gate kholta hi hai K Mrs Jahangir b garage mein hi nusrat begum ko welcome krnay k liye a jati hein... Mrs Jahangir nusrat Aur Unkay sath aye Unkay baitay ko drawing room mein baithati hein aur khud khala amma ko un mehmano ki tawazu ki hidayat K liye kitchen mein a jati hein... Nusrat begum drawing room mein baithi Mrs Jahangir ka wait hi kr rhi thi k utnay mein Ahlum ka guzr wahan se huwa... Ahlum ne unhe baitha dekh k slam dua ki Aur wahan se Chli ayi... Mrs Jahangir K atay hi nusrat begum ne bray tajasus ( curiosity) se Ahlum k baray mein pouchna shuru kr diya... Tbhi Mrs Jahangir ne unhe btaya k Unho ne aj issi liye tu unhay yahan madoo kiya K wo unsay Ahlum k rishtay ki baat kr skein... Nusrat begum ko ye sunn kr herat huwi tbhi Mrs Jahangir ne poori baat btai K wo chahti hein k Ahlum ki shaadi Arslan se kr di jaye... Ye suntay hi nusrat begum ki ankhein khuli ki khuli reh gae... Aur phir khud ko smbhalte huwe Unho ne btaya k ap Tu janti hein k Arslan mentally normal Nhi hai.. Tu uskay bawajud b ap apni Itni khoobsurat baiti ki shaadi uss se kyu kr dena chahti hein?? Mrs Jahangir ne jb nusrat begum ko shubhat mein daikha tu unhay apni side krnay k liye smjhanay lgi K mein chahti hun iski shaadi jld uz jld ho jaye ta k mein apni zimmadariyon se farigh hun... Arslan se shaadi ka faida ye K Ahlum ussay smbhal b lay gi aur paal b lay gi.... Dr. bn rhi hai... Kl ko Arslan K liye kmaye gi b Aur uski khidmat b kray gi... Nusrat begum ne jb apnay faiday ki baat suni tu forun se maan gae... Iss honay wali sbhi guftugu K duran unkay sath aya unka bra baita Azlan sultan wahan mujood nhi tha... Wo kisi call K silslay mein lounge mein tha... Azlan Air Force mein tha.... Aur Air Force mein honay K baes Squadron leader Azlan Sultan ki personality mein aik jadoo sa tha Jo lrkiyan dekhtay hi os pe fida honay lgti... Azlan Sultan draaz qud, khoobsurat naqoosh ka hamil insan.... Aik wajeeh shkhsiyat ka malik Aur nusrat begum ( apni maa) ka bht ladla baita tha.... Jaise hi call dusri side se disconnect hoti hai aur Azlan drawing room ki trf brhne lgta hai... Uski nazar Ahlum pe prti hai Jo K dinning hall set krne mein msroof hoti hai... Azlan ki Ahlum pr prnay wali wo ek nazar.... Kia nhi tha uss ek nazar mein... Ahlum ko daikhtay hi Azlan ka kho jana... Khoobsurti, khoobseerati ,masoomiyat aur kia nhi tha Jo Ahlum k chehre se hi chalakh na rha ho...
Azlan : Majestic innocent soul
Ahlum : kuch kha ap nay? Kuch chahiye apko?
Azlan : Ah... No thanks..
Ye kehtay hi Azlan muskratay huwe drawing room ki trf brh gya.... Kareeban aadhe ghente baad lunch wagera K baad nusrat begum Chli gae... Aur Mrs Jahangir ko yaqeen dihani krwai K wo Mr. Sultan se baat kr k btaien gi Ahlum Aur Arslan K rishtay K baare mein....
Mera rishta??? Ahlum aise jaise chounki ho?? Herani pareshani K tasurat numayan thay uskay chehre pe... Lekin usnay nusrat begum K Samnay khud ko compose rkhtay huwe unhay achay se alvidah kiya aur jb wo rukhsat ho gaen tu khud Ahlum Mrs Jahangir K room mein gae aur unsay iltejaya lehjay mein kehnay lgi K mama Ap Tu janti hein mere pas abhi tkk koi degree tkk nhi... MBBS b abhi complete Nhi huwa aur ap issi age mein meri shaadi plz ye Zulm na krein mere sath... Meine apki hr baat maani hae ap plz meri bs ye khuwahish maan lein.... Ye suntay hi Mrs Jahangir brham ho gae K abhi tu baat b Nhi Chli sae se Aur tum pehle hi mnhoosat mt daalo tumhara hi bhla hai... Shaadi kr k azaad zindagi guzaro gi apni Kiunke Arslan tu tumhe roknay toknay se rha aur waise b hm tumhari zimmadariyan mzeed Nhi utha sktay ab.... Jao ab Aur mujhe b araam krnay du....

....................***************.......................

Aik wasee O areez ghr aur uss mein aik well furnished room mein laita nojwan musalsal kheyalon mein khoya tha... Tbhi ussay kisi ki awaz sunai deti hai... Azlan, Azlan baat suno meri... Ye nusrat begum ki awaz thi Jo Azlan ko apnay room mein bula rhi thi... Azlan forun se uth kr unkay room mein jata hai.. G mama Ap ne bulaya...
Nusrat begum : Haan baita baitho mujhe tum se aur sultan se aik bht ahum baat krni hai...
Azlan : G mama btaien..
Nusrat begum ne apni Mrs Jahangir se huwi saari baat keh sunai... Azlan ko suntay hi herat huwi K Itni khoobsurat ladki koi b maa baap kisi abnormal insan ko kaise de sktay hein... Mr. Sultan ne suntay hi mna kr diya.. Aur sath hi nusrat begum ko tanbeeh b ki K Arslan ki daikh baal K liye hm hein... Uski shaadi krna Mtlb kisi ki baiti K sath Zulm krna hai... Nusrat begum Ap tu ye baat janti hein phir b...
Azlan ne b besakhta kha k Ahlum jaisi ladki koi bht kabil ladka deserve krti hai na k Arslan Jo normal b Nhi hae...
Nusrat begum ko Azlan K ye alfaaz sunn kr herat huwi K Ahlum jaisi ladki... Mtlb???
Azlan Nhi janta tha usnay ye alfaaz kyu khe uss ladki K liye.... lekin Haan os ne khay yhi alfaaz thay kyu khay ye wo Nhi janta tha abhi ...Bs besakhta os se ye alfaaz nikl ge thay... Kia kyu ka jwab Nhi tha uskay pas.. Lehaza wo wahan se uth kr khamoshi se apnay room ki trf brh gya...

.....................***************......................

Ahlum jo shaadi lafz sunn K hi seham si gae thi.... Kitchen mein baithi khudko kousti rhi dil hi dil mein.... K mein hi kyu hr wo kaam jo mujhe Nhi pasand , hamesha meray sath whi kaam kyu.... Kyu meri kismat hai hi aisi.... Abhi wo inhi Kia kyu mein khoyi thi k ussi duran khala Amma uskay pas a k baith gae... Ahlum Aur Mrs Jahangir K drmyan rishte ko le kr Jo baatein huwi thi... Kiunke amma wo sb pehle hi sunn chuki thi iss liye Ahlum se kuch pouchne ki unko koi zroorat Nhi pri...
Khala Amma : Ahlum tum in logon se dosti kyu nhi kr leti??
Ahlum : pehle tu Ahlum unko herat se daikhti hai Aur Phir kehti hai K Kia ap chahti hein k mera shumar b in zalim logon mein ho jaye Jo dusron K hq ko b apna hissa smjh K khatay hein....
Khala Amma : Nhi Ahlum mein ye nhi chahti... Lekin mein tumhe in se dosti ka iss liye keh rhi hun k jb tum b in jesi ho jao gi tu phir ye loug tumhari khwahishat ka b ehtram krein ge aur maanein gay b tumhari...
Ahlum : Khala Amma Kia mein sirf apni khwahishat K hasool K liye in logon k sath apnay zameer ka souda kr loon?? Apnay zameer ki awaz ko maar dun sirf khwahishat K hasool K liye amma
Khala Amma : Ahlum baita dosti mein zameer ki awaz ko b Marna prta hae... Kbhi tu kisi dosti K liye apnay nufs ko b ronda jata hai....
Ahlum : Amma jin logon ki dosti K liye apnay zameer ki awaz tkk ko khatam krna pray unhi K liye tu kha gya hai K aise dost bnanay se behtr hai K insan tnha rhay... Lekin kbhi b apni kisi khwahishat K hasool K liye apnay zameer apnay nufs ka souda na kray... Kiunke Amma jb insan apnay andr in awazon ka hi gala ghont de wo insan, insan Nhi sirf aik zinda laash hi reh jata hai....
Ye suntay hi amma chup ho gae aur Ahlum k sir pe Piyar dete huwe kehnay lgi ALLAH tumhari mdad kray....
AMEEN kehtay huwe Ahlum ne apni nzrein jhuka li....aur Phir apni hi sochon ki duniya mein kho gae....

........................************.........................

Azlan apnay room mein baitha soch rha tha k Mrs Jahangir aisa kyu krna Chah rhi thi Ahlum k sath... Aik maa ho K apni baiti K sath ye Zulm.... Kitni masoom hai wo Aur kitni khoobsurat b... Ahlum k baray mein dil hi dil mein ye sochtay huwe Azlan K chehre pe muskrahat phel gae thi... Miss Ahlum ap mujhe achi lgi hein.... Apki sadgi iss dil mein khin chaa gae hae... Mujhe lgta hai shayad mujhe ap se pehli nazar mein honay wali mohabbat si ho gai hai.... Ye sb kehtay hi Azlan sultan muskra rha tha aur ye kehtay hi osnay ankhein bnd kr li... Shayad wo kho jana chahta tha uskay kheyalon mein ya Kia.... Kia kaifiyat thi Jis mein wo uss wqt mubtla tha wo Nhi janta tha.... Bs aik khushgawar sa ehsas tha jo wo mehsoos kr rha tha aur ab wo dil hi dil mein irada kr chuka tha k wo kisi trha Ahlum se cntct kr k rhe ga zroor....

........................***************...................

AOA frndz
Hope you like this episode too
Plz read and if you like this episode too then plz press star for vote n give your precious comments....
Thank you!🌸

Badalti Zindagi 💐🔥Where stories live. Discover now