vii.

69 12 0
                                    


hawayein

jo subah tumhe chhukar
shaam ko mujh tak behke aati hai..
hawayein

jinme tumhari aakho ki nami
os ban kar mere palko pe muskaati hai..
hawayein

jo berukhiyo mein humari,
alfaaz tum tak pohochaati hai..
hawayein

jo yun akelepan mein
saath gun gunaati hai..
hawayein

jo parindo ki tarah falak par
pure-adhure khat chhod jaati hai..
hawayein

jo udaasi mein leher ban kar
kadmo ko gudgudaati hai..
hawayein

jo khaamoshiyon mein
lamhe bayaan kar jaati hai
hawayein

jo kabhi baahein faila du
toh gale se lag jaati hai..
hawayein

jo main sab kuch kho du
tab bhi guzaare ke liye kaafi hai..
hawayein

Jaan 'NisaarDonde viven las historias. Descúbrelo ahora