Yeh hai Mumbai meri Jaan...!

382 26 9
                                    

Kabhi ki 'Cute little Bombay' aaj ki Mumba devi ki naam se Mumbai ban gayi Parde par aane ki khwaab se koi toh zindagi sawaar ne ki khwaayish se koi , lakho logo ki ghar ban gayi Mumbai.Yuhi nai kehte hum ise 'The city of dreams'.

Andheri toh bas kehne ke liye hai janab , kabhi raat me bahar nikal kar toh dekho , Yah toh Queen's necklace saja rakhi hai raato ki sadke

Din ki tapti garmi bhale hi pareshaan kare, nightlife ki tareef kaise na kare, Yuhi nai kaha tha kisike dost se 'Raat ko khao piyo , din ko aaram karo'

Yahi shahar hai dosto jaha Mandir, Masjid , Church ek raah par aate hai, Waha bhale hi rukh kar matha na theke par 26/11 ki amar smaartak par salaam jarur thokte hai.

Ghumne aake toh dekho kabhi, railgaadi hai jo kabhi rukti nai, Shikhayaat karte ho bheed ki , usi bheed me logo ke dost ban jaate hai , shopping ho jati hai.

Yaha malls bhi hai fashion street bhi, Khaugali bhi hai books ki street bhi,in galiyo se kabhi guzar ke dekho dost , kharid sab loge par wallet khali nai hogi.

Kya dharm , kya jaat , yahi shahar hai jaha LalBaug ke Raja ke liye bhi bheed umadti hai aur Ramzan ke waqt Mohd. Ali road par bhi,Mount Mary bhi jaate hum , aur apni Kala dikhane Kala - Ghoda bhi.

Yah Mumbai hai janab, samandar se ghira hua , baarisho ne bheega hua,Kabhi samandar kinaare bhaitkar toh dehko , kabhi in baarisho me bheegkar toh dekho, Muskraahat na aaye in hoto par , toh kehna

Yeh Mumbai hai dosto , chahe kuch ho jaaye dheemi ho jaye par tham nai jaati. Thak jaaye ladh ladhkar par haar nai maanti.

Yeh shahar nai hai dosto zindagi hai , Yuhi kisine nai kaha tha "Yeh hai Mumbai meri Jaan" ,

Ji haa, Yeh hai Mumbai meri Jaan..!

( Tried to write in Hindi first time , please excuse me for any mistakes and help me correct them :) )

Last Times.Where stories live. Discover now