"Yaha jo bhi hua, uss baare mein bataane ke liye aur humare Anu ko poori tarah humara banane ke liye permission lene jaa rahe hai hum....aur.... saath mein rishte bhi le kar jaa raha hai, isiliye bache log yahi pe raho"
"Rishta?!"
"Haa... aur kya!.. Nandini ki haath humare Manik ke liye maangna hai na, aur humare Anu ki, yaani ki unke Sidharth ke liye Prerna ko pasand kiya hai, voh bhi toh unse bataana hai.... humse zyaada humare Anu ke upar unka adhikar hai na"
"Maa, main kya soch rahi hu... voh... aap log aaj jaa rahe ho na... toh ek din baad hum sab bhi vaha aa jaaye toh?! Idea kaisa hai?!" Nivi asked
"Par?!"
"Wonderful!... par var kuch nahi ...hum sab aa rahe hai" Manik said excitedly
"Main ""Nandini"Prerna"" ko bata ke aata hu" Manik and Anurag said in unison again, and then they went outside
"Yeh dono na, shaadi ke liye ithna excited hai ki, mann karta hai abhi ke abhi karke du" Nivi teased them
.......................
...............................
Sharma House
"Veena abhi tak tum tayar nahi huyi?!...kitna time aur ha?!" Rajesh asked looking at Veena