Chapter 11

1.2K 107 45
                                    


Gaari me bethe woh kahin aur hi khoyi hui thi. Kya woh jo kar rahi thi woh sahi tha? Kahin woh koi galati to nahi kar bethi thi?

Sawaal bohat se the aur hamesha ki tarha jawaab koi nahi.
Rayah ne apni ankhe band ki aur apna sar khirki per tika liya.
Gaari usi tarha pahore ke darmiyan teezi se bhage jaa rahi thi. Aur driving seat per bethe Nawfal ne use mirror me se dekha tha. Woh khud ek ajeeb si kefiyat me tha.  Kahin woh khush tha to kahin bohat pareshaan.

____________

~Flashback~

Waqt ke guzarne ke saath Rayah ko is baat ka ehsaas hone laga tha ke use ab ek adad job ki zaroorat thi. UK me unka business loss me jaa raha tha wahan se koi amdani nahi ho paa rahi thi aur apne mamu se bhi koi ehsaan laina uski khuddari ko gawara nahi tha. Woh apni behen aur apna kharcha khud sambhal na chah ti thi.

"Beta tumhe job ki zaroorat hi kya hai?"

Yeh Bibi jaan ka sawaal tha.

"Bibi jaan kab tak aise hi farig bethi rahun gi? Behtar nahi ke job hi kar lun!"

Usne halki muskurahat ke saath kaha tha.

"Rayah main jaanta hun tum mere diye hue pese use nahi karti. Aur yeh bhi jaanta hun tum peso ke liye hi job karna chahti ho. Lekin main tumhe mana nahi karun ga. Jaanta hun tum waise bhi nahi sunho gi. Mahnoor ki beti jo ho...usi ki tarah khuddaar aur ziddi"

Haider Khan kuch udaas sa muskura pre the. Rayah bhi unki baat sun kar muskurai thi. Albatta bibi jaan ki ankh me se ek ansu zaroor gira tha.

Usne Haider Khan se baat ki thi jisme use pata chala ke yahan per koi job nahi thi. Use kisi sheher me jaye bagair kisi achi job ka milna mushkil tha.

"Raima tumhe bhi mere saath chalna hai maree."

"Kyun..?"

Uske sawaal ne Rayah ko heran kiya tha.

"Kyun ka kya Matlab hai? Jahan main hun gi wahin tum ho gi na?"

"Lekin main yahan se nahi jana chahti..mujhe bohat sakoon milta hai yahan Rayah...mere andar ki bechaini ko kuch sakoon milaa hai yahan aa kar. Jab bhi Bibi jaan ya Daa ji ko dekhti hun to..mujhe Ammi Babaa ki yaad aati hai."

"Lekin Raima tum mere bagair kese raho gi..?"

Rayah uske jawaab per pareshan bhi hui thi aur afsurda bhi.
Raima ko Rayah ke us sawaal ne bohat dukhi bhi kiya tha aur Raima ko hasi bhi bohat ayi thi. Woh itni kamzor ho gai thi ke Rayah per ek boj ban kar rehgai thi? Rayah beshak use boj na samjhe woh boj to ban rahi thi ..?

"Har weekend per aati raho gi na mamu ke saath? To phir kya tension hai."

Usne halki muskurahat ke saath kaha aur uski aur koi bhi baat sune bagair andar ki taraf bhar gai thi. Rayah udhar hi apna sar pakar kar beth gai thi.

"Waise kuch galat bhi nahi kaha usne"

Is ek awaaz per usne apna sar uthaya aur samne khare shaqs ko dekha.

"Aap jaan te hi kya hain ke apni opinion dene lag gae hen?"

Rayah ne awazaar awaaz se kaha tha. Pata nahi kyun yeh shaqs use itna awazaar karta tha.

"Itna jaanta hun ke aap Raima ke saath galat kar rahi hain."

Woh sakoon se Rayah ke samne beth gaya tha. Aur us subha ke time ghar ke garden me bethe woh dono hi idhar udhar dekh rahe the. Ek larne ko taiyar bethi thi to dusra uski zeher bari baate sunne ke liye.

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now