💞Keerti Ki God Bharai💞

43 7 2
                                    

(Next Day)
(Naira keerti ko taiyaar kar deti hai... naksh or Kartik dono bahar khade hote hai)
Naira- wow di aap kitni sundar lag rahi ho or bahar ladke aapko dekhne ke liye mare jaa rahe hai 1 ghante se bahar khade hai😂
keerti- pehele toh thank you so much or aab darwaja khol do warna inka natak kabhi khatam hi nahi hoga...🤣
Naksh- arre kholo yaar jaldi mujhe aapni biwi ko dekhna hai...
Kartik- haan haan mujhe bhi aapni bhabhi ko dekhna hai please kholo...
(Naira open the door)
(then kartik or naksh bhaagkar keerti ke pass jate hai)
Kartik- Kya bhabhi aap toh dipika se kaam nahi lag rahi...
naksh- dipika jaisi kiu nahi lagti bhala meri sali ne jo taiyaar kiya hai... thank you Naira...
naira- arre jiju thank you ki toh koi baat hi nahi hai meri di hai yeh...
keerti- aacha naira aab tum bhi jao or taiyar ho jao sab taiyaar ho gaye bas tum hi mujhe taiyaar karne mai lagi hui thi jao...
naira- haan okay...
keerti- or haan aache se...
naira- haan haan aache se hi taiyaar hokar aaungi or aapko Kya lagta hai aap dipika se kam nahi lagti toh mai bhi kisi aishwarya se kam nahi lagti😂
naksh- haan haan woh toh hai aab hai or jaldi taiyaar hokar aao aishwarya ji...😂
(then naira chali jati hai or kartik uske peeche jata hai)
kartik- naira... naira!!!
naira- Kya hai kartik...
kartik- naira nai tumse gussa hu or tum nana bhi nahi rahi ho...
naira- arre mendhak aab hai nahi mana rahi toh samajh jao na ki mujhe tumhe manana hi nahi hai...
(then woh chali jati hai)
kartik- gussa mai hu mujhe manane ki jagah yeh khud hi mujhse aise baat kar rahi hai not fair tumhe toh mai dekh lunga...

(then woh chali jati hai)kartik- gussa mai hu mujhe manane ki jagah yeh khud hi mujhse aise baat kar rahi hai not fair tumhe toh mai dekh lunga

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

(Naira's saree)
(woh aapne kamre mai blouse ki dori bandhne ki koshish hi kar rahi hoti hai ki kartik aa jata hai yaar😉)
Kartik- woh Nai.....
(Naira kartik ko dekhti hai)
kartik- Ra....
naira- kartik tum pagal ho Kya yaha kiu aaye
kartik- woh actually kuch kaam tha...
naira- arre toh darwaja knock karke aate hai itna manners nahi hai Kya tumme...
kartik- arre mai bhul gaya tha...
naira- aacha batao Kya kaam hai...
kartik- actually woh kaam bhi bhul gaya tumhe dekhne ke baad...
naira- Shut up aacha jao aab...
kartik- hmm...
(then woh jaa hi raha hota hai ki dekhta hai naira se dori nahi lag rahi hai)
kartik- mai kuch yelp karu Kya... I  promise mai aakhe band rahunga aapni woh Kya hai na ki mai tumhe problem mai nahi dekh sakta...
naira in mind- Itni bhi konsi badi problem thi...😒
naira- aacha thik hai...
(then kartik aapni aakhe band karta hai then naira ke pass jata hai then dori bandhne lagta hai then wahi bgm chalna shuru...)

Naira- ho gaya...
kartik- haan...
naira- okay aab jao mujhe taiyaar hona hai...
kartik- taiyaar hi toh ho or kitna hona hai..
naira- arre make up bhi toh karna hai... aise hi thodina aaungi mai..
kartik- aacha toh tumhe aabhi lipstick nahi lagai toh eek kissi...
naira- kartik tum...
kartik- accha sorry sorry mai bhi kise keh raha hu... jaldi taiyar hokar aa jana guest aane start ho gaye...
(then itna keh kar woh chala jata hai)
naira- eek number ka mendhak hai puri baat toh kehne deta mendhak kahika...
(then kuch der baad naira puri taiyaar hokar neeche aati hai or kartik use dekhta hai)
Kartik- Hayeee❤❤❤
Dadi- arre naira tum aa gai bohot aachi lag rahi ho kisiki najar na lage Thu Thu Thu....
naira- thank you dadi...
(then kuch der baad singhaniya's maheshwari's or aggarwal's bhi aa jate hai sab hi hello Namaste salama karte hai)
badidadi- aacha toh aab shuru kare...
dadi- haan haan lekin shuru karne se pehele in admiyo ko yaha se bhejo toh sahi...
Naksh Shubham Kartik- NO NO NO!!! hum kahi nahi jayenge...
kartik- haan mai toh aapni zindagi mai peheli baar god bharai mai hounga please mujhe toh rehene do... jab naksh or shubham bhai chote the toh unhone god bhai ki rasam attend ki thi luv kush ke time mai jo hua tha tab mai nahi tha toh mujhe aabhi attend karne do na please...
all ladies- no no no...
dadi- aisa nahi ho sakta kittu... sirf luv kush hi yaha reh sakte hai..
(then luv kush teeno ko chidate hai)
naksh- tum dono chujo ko toh hum baad mai dekhenge... dadi please na meri patni ki god bhai hai or usme mai hi nahi hounga Toh kaisa lagega please dadi...
swarna- dekho aab tum sab baate mat banao or hai yaha se bado ko dekho sab chale gaye na chalo tum log bhi jao...
All boys- okay!!!
(then sab ghar ke bahar jate hai)
dadi- accha toh aab hum aapna shuru kare...
all- yes!!!
(then pehele toh rasam kar leti hai or phir games khelne lagti hai)
(In boys side)
anmol- in bade logo ko koun samjhaye ki Hume bhi dekhna hai..
vikram- haan Hume bhi dekhna hai ki sab andar kar Kya rahi hai
shubham- wahi toh..
Naksh- lekin hum kar bhi Kya sakte hai yaar aagar andar jayenge toh ladkiya dhakke maar kar bahar nikal dengi..
kartik- bas bohot ho gaya iss dar se hum haath par haath dharke toh nahi baith sakte na chalo mere pass eek idea hai...
(then sab boys sidhiyo se kartik ke room mai jate hai or upar se sab kuch dikh raha hota hai unhe phir aaram se woh sab boys baithkar manoranjan kar rahe hote hai😂)
Keerti- arre sirf games hi khelte rahenge ya kuch naach gana bhi hoga...
naira- jaisi aapki aagya di...
(then tab hi dance shuru hota hai)

(then yahi sab hota hai)
Akshara- humne aap gents ko kitna mana kiya tha aane ko or tab bhi aap sab aaye..
swarna- haan yeh sab kabhi aapni harkato se baaj nahi aayenge...
naitik- arre aap sab ladies humko Kya keh rahi hai kehna hai toh in ladko ko kahiye...
manish- haan Hume toh pata bhi nahi tha ki yeh log upar se dekh rahe the aap sabko... maa aap hi bataiye itne salo mai humne kabhi bhi aisi harkat ki hai Kya...nahi na...
akhil- haan itne saalo mai nahi ki toh aaj kaise karenge hum yeh...
kartik- wahi toh
all gents- tum chup raho...
naksh- haan yeh sab kartik ka hi idea tha...
shubham- haan toh jo bolna hai isko hi bolo...
kartik- aap sab log kaise ho yaar nai chota hu toh mujhe fasa rahe ho...
dadi- plane ko banane wala or plane mai shamil hone wala dono hi gunhegar hote hai...
naksh- haan toh humne kounsa gunha kar diya...
vikram- baccha samajhkar maaf kar dijiyena please...
gayu- haan maaf kar dijiye in logo ko aage se aisa nahi karenge...
all boys- haan haan nahi karenge...nahi karenge...
Keerti- aacha thik hai maaf kiya aap sabko
all boys- yeyyyy!!!
aggarwal's- aacha toh aab hum chalte hai Radhe Krishna!!!
Goenka's- ji Radhe Krishna!!!
badidadi- aacha toh hum sabke jane ka time ho gaya hum sab chalte hai...
keerti- rukiye badi dadi... mumma papa aagar main aapse kuch managungi toh aap doge na...
akshara- haan beta kiu nahi...
naitik- haan bolo na kis chahiye...
keerti- naira... jab tak meri delivery nahi ho jati tab tak Kya naira mere sath yahi reh sakti hai... mai aap sabko bohot miss karti hu or har roj mai ya aap aa toh nahi sakte toh maine socha aagar aap dadi or naira maane toh..
dadi- hume toh koi problem nahi hai waise bhi naira bohot pyari hai mai toh zindagi bhar bhi ise pyar se aapne pass rakhne ko taiyaar hu... toh mujhe koi problem nahi hai...
akshara- aagar aisi baat hai toh hume bhi koi problem nahi hai... naitik- naira princess tum batao tumhe toh koi problem...
naira- nahi papa aapni di ke saath rehena ka moka mil raha hai usse khushi ki baat or ho bhi Kya sakti hai...
Singhsniya's/Maheshwari's- aacha toh aab hum chalte hai... Radhe Krishna!!!
Goenka's- Radhe Krishna!!!
(at night)
(In corridor)
(Naira aapne room mai jane wali hoti hai ki tab hi kartik aata hai or uska haath pakadkar khichta hai)
Naira- Kya kar rahe ho kartik pagal ho gaya koi dekh lega..
kartik- arre chup raho na yaar tumse dheere nahi bola jata Itni jor se baat karogi toh koi aakar dekh hi lega phir haye ram haye ram karti rehena...
naira- tum bhi na kartik... matlab kuch bhi...
kartik- waise aab toh tum yahi ho isi ghar mai mere pass aab toh bohot maza aayega janeman!!!
naira- kitne bade wale besharam ho na tum... mai yaha aapni di ke liye aayi hu na ki tumhare liye aab hato mere raste se mujhe bohot neend aa rahi hai kal college bhi jana hai jaldi uthana hai waise bhi aaj bohot thak gai hu jane do mujhe...
kartik- aacha thik hai jao... pareshan kar diya na maine tumhe jao jao jeelo aapni neend...
naira- jeelo aapni neend... yeh Kya hota hai😂
kartik- tumhara sar...
(then kartik itna bolkar chala jata hai)
naira- good night mendhak🐸😂😂

Pehele Pyar Ka Pehela Nasha💘Where stories live. Discover now