Ruthna Manana❤

66 7 4
                                    

(Then kartik waha se chala jata hai then emotional song chalna start hota hai)

(then dono hotel mai jate hai sab logo ke pass)
Kartik- Aap sabko pata chal gaya na ki mai...
Dadi- haan kittu naksh keerti ne Hume sab kuch bata diya.....
kartik- sorry.... toh woh baat sunkar aap sab nara...
swarna- Arre hum kiu naraj honge tumhari zindagi hai tumhari marji tum jaise karke bhi jiyo Hume toh bas tumhari kushi mai khush hona hai..
Manish- haan or waise bhi hum yaha jis kaam ke liye aaye hai wahi karna chahiye naira ka birthday hai toh hume use khush rakhna chahiye bas...
Naitik- lekin naira tum kaha gai thi princess
Naira- kartik se baat karne ke liye...
Akshara- lekin kiu baat karni thi...
naira- Isi baare mai or aap sab iss baat ko itna normally kiu le rahe hai itne saal baad aaya tha phir  woh wapas jaa raha hai aap logo ko Zara bhi dukh nahi ho raha
naksh- dukh ho ya na ho usse isko Kya isko toh sirf aapne man ka karna hota...
(then tab hi piche se manish naksh ke kadhe par haath rakhta hai)
manish- chodo aab in sab baato ko chalo dinner karke so jate hai...
(then sab dinner karte hai phir so jate hai)
(Next Day)
Naira- aaj hum church chale Kya...
keerti- lekin church toh humne bohot baar dekha hua hai
naira- haan dekha hai lekin Switzerland ka nahi dekha na chalte hai na please...
naksh- aacha thik hai thik hai chalte hai chalo...
naira in low voise- kartik...Tum chaloge na
kartik in low voise- aab jaisa tum kaho har samay bas tumhari hi toh marji chalti reheti hai...
naira in low voise- kartik tum aise baat kiu kar rahe ho.....
kartik in low voise- Arre yaar aab mujhe iss bare mai koi baat nahi karni so please...
(then sab church chale jate hai then naira or Kartik god ke samne khade hue hote hai or then kartik eek sapna dekhta hai * jab naira kartik 1st time church gaye the toh kartik ne eek sapna dekha tha wahi imagine karna* then kartik sapne mai se bahar aata hai)
Naira- kartik... kartik...Kya Hua
kartik- sapna dekh raha tha khuli aakho se jo kabhi sach nahi hone wala
(itna kehker woh chala jata hai)
Naira- sapna...
(then kartik confession box par jata hai)
kartik- I want to confess father....
father- yes...
Kartik- I am in love with a girl, I told her this too but she just considered me as a friend. like jay veeru type of friend, when I first meet her I didn't think that I would fall in love with her or could it happen when I met her. she said that she doesn't love me so Iam very angry with her. what am i doing now,father?
Father- Okay...so you are angry with her, she must be trying to talk you as if she is running ahead of you, she will be following you, trying toh convince you, right?
Kartik- yes father!!!
father- I think you should wait a little, may be she has loving you my son!!!
Kartik- what!!!
Father- yes my son, she has started loving you but till now she has not appreciated the love she has given you, just wait for some time when she will come to know that she loves you and she will tell you... you too. when you must have realized that you are in love, you must have realized it after some time, so give her some time also, okay...
Kartik- okay... Thank you so much father.....
(then kartik waha se chala jata hai phir kuch der baad naira waha aa jati hai)
Naira- I want to confess father...
Father- yes...my children
naira- I have a friend, I just accepted him as my friend but he loved me, he also told me this but then when I was told him no, he got angry, I tried very hard to convince him but he was not there anymore.
father- why are you convince him that I should let him remain angry like this...
naira- no father... I don't want to lose him because he is my best friend...
father- oh...but I think you love him, that's why you don't want to lose him.
naira- what, no father I don't love him he is only my best friend he is my jay and Iam his veeru...
father- I think you love him, the rest is your choise...
(then naira waha se sochte sochte chali jati hai then use kartik dikhta hai)
naira- kartik...
kartik- aab Kya hua...
naira- kartik...
kartik- haan I am kartik goenka... ab kuch or bhi bolo ya mai jau...
naira- nahi nahi...kartik woh I... I... ku... kuch nahi...
kartik- pagal wagal ho gai ho Kya tum...
naira- nahi pagal toh tum ho kabse tumse baat karne ki koshish kar rahi hu tum aapna bolkar chale jate ho meri baat hi nahi sunte
kartik- aacha batao Kya baat hai or haan jaldi batao
naira- woh... sorry kartik...Tum mujhse naraj hona kiuki maine tumhe mana kar diya I am so sorry lekin mai Kya karu mai sirf tumhe aapna dost manti hu aapna jay manti hu tumhe Kya hum pehele ki tarah dost nahi reh sakte...😢
kartik- dosti se pyar tak aa sakte hai log normal hai lekin pyar se phirse dosti mai kaise aa sakte hai... aacha 100 baatki eek baat aagar meri jagah tum hoti toh Kya karti lifetime dost banke reheti meri nahi na... so please mujhse yeh sab kuch bhi expect mat karo naira please... I love you naira pyar karta hu tumse hum eek hi college mai padhte hai baar baar aagar mai tumhe dekhunga toh mujhe tumhari rejection yaad aayegi isiliye mai jaa raha hu or jab tak yaha hu tab tak please mujhse dur raho please...😔
(itna keh kar woh chala jata hai)
(Next day)
Vikram- sab log yaha hai par kartik kaha hai??
keerti- kartik subhay subhay hi upar barf wali jagah par gaya hai
naksh- oh toh use wahi rehene dete hai hum waha upar hill wali jagah par jate hai yahi se dekhne mai kitna aacha lag raha hai waha samne se dekhenge toh kitna khubsurat lagega
keerti- haan chalte hai chalo sab chalo naira
naira- nahi di mujhe barf wali jagah mai jane ka man hai or kartik bhi waha akela hai use company dene ke liye koi toh hona chahiye na so...
keerti- thik hai toh tu jaa kartik ke pass hum sab waha jate hai..
(other side)
kartik- Kya Kya soch raha tha Switzerland the country of love mai jakar naira ko propose karunga aise hi scenery ke samne hero heroin ki tarah dance karenge kitna maja aayega lekin Kya socha tha or Kya ho gaya☹
(then kartik phirse eek sapna dekhta hai)

(*yahi imagine karna aap sab* then sapne mai woh dono dance karte hai with gerua song)

(then kartik sapne mai se bahar aata hai kiuki naira use bulati hai)
naira- kartik...kartik...kartik Kya hua kaha kho gaye the...
kartik- sapne mai jo kabhi pura nahi ho sakta
naira-tum har wakt bas sapna hi dekhte rehete ho...
kartik- usse tumhe Kya... or tumhe kaise pata ki mai yaha hu
naira- tum nahi bataoge toh Kya mujhe pata nahi chalega keerti di ne bataya tha sabko toh maine sun liya
kartik- toh baki sab kaha hai
naira- woh niche hill wali jagah par gaye hai bas mai hi hu...
kartik- tum kiu aai ho yaha...
naira- tumhare liye tumhe dekhne tumhe sorry kehene..
kartik- yaar naira please jao maine kitni baar kaha hai leave me alone
naira- nahi mai nahi jaungi mai yahi rahungi tumhare pass
kartik- aacha toh aisi baat hai aisa karte hu mai hi chala jata hu
(then kartik jaa raha hota hai or naira uske piche piche use rok rahi hoti hai then woh dono niche road par aa jate hai or kartik bohot aage nikal jata hai naira wahi hoti hai)
naira- oh no... yeh...yeh kartik kaha gaya...
(then woh thodi or aage jake dekhti hai waha toh wahi gunde hote hai jisne naira ko kidnape karne ki koshish ki thi or aab woh gunde kartik ko kidnape karne wali thi)
naira- kartik... kartik tum thik toh ho na
kartik- meri halat dekhkar lag raha hai Kya ki mai thik hu bhi
naira- Kya aisi situation mai bhi tumhe tarrr tarrr hi karni hai
kartik- mai jo bhi karu tumhe usse Kya aab tum jao yaha se warna yeh log tumhe bhi pakad lenge jao naira please...
naira- nahi mai nahi jaungi tumhe iss halat mai chodkar toh bilkul nahi jaungi
Kidnapper- hey girl please left he is our property
naira- no... he is only my property... leave him otherwise I will not leave you!!!
kidnapper- hey catch this girl...
(then woh naira ko bhi pakad lete hai)
kartik- naira yaar maine tumse kaha tha na ki chali jao badi aayi mujhe bachane khud bhi fas gai na why naira why kiu nahi gai tum mai maru jiu isse tumhe Kya😡
naira- because I lo... I mean I am your friend jay hum dono dost hai na
kartik- nahi hai hum dost hum dono ke bich mai koi rishta nahi hai na hi dosti ka or pyar ka toh I think iss janam mai ho hi nahi sakta...
naira- kartik yaar tum meri baat samajhne ki koshish kiu nahi kar rahe hai
kartik- tum bhi toh nahi samajh rahi hona na hi mujhe or na hi meri baat ko...
(then kartik jaise taise karke khud ko chudata hai or naira ko bhi then fighting shuru or phir naira ne police ko pehele hi bula liya tha toh police aakar unhe pakadkar le jati hai then dono kartik or naira hug karte hai)
Kartik- tum thik ho na naira...
naira- haan mai thik hu... tum toh thik ho na pichli baar ki tarah nahi cut toh nahi gaya na😢
kartik- nahi mai bhi thik hu maine tumse kaha tha na naira ki jao yaha se lekin tum kiu nahi manti meri baat tumne Kya kasam li hai ki meri baat kabhi manogi hi nahi tum...
naira- aisi baat nahi hai I am sorry...
kartik- kis bat ke liye
naira- sabhi baat ke liye
(then dono hug break karte hai)
kartik- chalo aab yeh sab baate chodo ghar chalte hai
(then sab hotel jate hai khana wana khakar so jate hai)
(at night naira ko eek sapna aata hai *jo Switzerland jane se pehele naira ko sapna aaya tha jismai kartik or woh thi woh wala sapna imagine kar lena* then naira suddenly uth jati hai)
Naira- yeh...yeh Kya tha kartik or mai... Kya mujhe sach kartik se pya... no no no aisa nahi ho sakta... lekin kiu nahi ho sakta...nahi Naira iske bare mai mat soch soja chup chap....
(tabhi use har jagah kartik dikhai deta hai)
kartik- lekin kiu nahi ho sakta tumhe mujhse pyar... mujhmai koi kharabi hai Kya aab itna intelligent cute or handsome ladka tumhe din ke ujalo mai dhundhne se bhi nahi milega
naira- kartik tum...
kartik- naira aab toh samajh jao ki tumhe mujhse pyar ho gaya hai kehdo mujhe ki you love me tumhe mujhse pyar hai na naira...
naira- na...nahi...nahi...
kartik- tum bhi na jaldi bata dena mujhe warns kahi der na ho jaye
(itna kehkar kartik gayab ho jata hai or naira sochne par majboor ho jati hai then gana bajta hai to gaya hai tujhko toh pyar sajna😉)

Pehele Pyar Ka Pehela Nasha💘Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ