❤Keesh Is Pregnent❤

34 5 4
                                    

(Next Day)
(Suhana or Uski family aati hai)
Aggarwal's- Radhe Krishna!!!
Dadi- arre aap sab...
Goenka's- Radhe Krishna!!!
Manish- aaiye na aap sab bahar kiu khade hai aaiye baithiye...
sushma (suhana's Mother)- jii.....
(then aggarwal's andar aakar baithte hai or tab hi kartik stairs se neeche aate hue aapne eek dost se baat kar raha hota hai gusse mai)
Ruhan (suhana's father)- mai suhana ka papa hu or yeh suhana ki maa or yeh uska bhai...
sumit (suhana's brother)- Ji Radhe Krishna
Manish- Radhe Krishna beta..
Kartik- abbe usk himmat kaise hui... himmat kaise hui tujhpar chillane ki or tum ghochu kahika dhakkan tu use kuch bol nahi sakta tha aagar Teri jagah mai hota toh uska woh halat karta jo woh zindagi bhar yaad rakhta
(then hi realise ki ghar mai meheman aaye hue hai)
kartik- aacha chal bye kal usko mai batata hu college aake...
(then hi cuts the call)
kartik- Radhe Krishna
Aggarwal's- Radhe Krishna beta!!!
Manish- Ji iski taraf se mai aap sabse mafi mangta hu or tum Kya problem hai...
kartik- arre papa us karan ne mere dost Anubhav se itne ghatiya tarike se baat ki toh mai kaise calm down ho sakta tha aa gaya gussa...
manish- chup raho tum
ruhan- arre Manish ji it's okay baccha hai...
manish- itna bhi baccha nahi hai ruhan ji din-b-din bigadta hi jaa raha hai...
kartik- dekhiye ruhan uncle mai toh aisa hi hu lekin aagar meri eek or bhabhi aa jayegi na toh mai thoda sudhar sakta hu toh aap sab jaldi se shadi karwado kiuki yaar meri bhi umar ho rahi hai mujhe bhi shadi karni hai aagar mai Buddha ho gaya toh kon ladki mujhse shadi karegi meri toh zindagi barbad ho jayegi...
(aggarwal's laughed😂)
Sushma- aapka chota beta bohot pyara hai Manish ji...
manish- khak pyara hai battamiz kahika... or tumhari Itni bhi umar nahi ho rahi hai ki shadi karwade tumhari...
kartik- what... arre papa...😟
Manish- aacha hum jiske liye yaha hai woh baat karte hai... yeh meri maa hai... yeh meri wife swarna... yeh mera chota bhai akhilesh... or yeh akhil ki wife surekha.. yeh unke bacche mansi or luv kush... or yeh hai mera bada beta naksh or iski kuch hafte pehele hi shadi hai hai keerti se... isko toh aap jante hi honge yeh hai shubham mera or swarna ka manjla beta or yeh hai nalayak...
kartik- Ji nahi...mera naam nalayak nahi kartik hai Kartik Goenka...😂
ruhan- haan haan kartik beta..😂 aacha shubham beta aapne bare mai batao...
shubham- Ji uncle...
(shubham aapne bare mai sab kuch batata hai)
sushma- aapka beta bohot sanskari hai...
swarna- Ji thank you or aapki beti ko toh hum jante hi hai bohot pyari or sanskrari hai aapki beti suhana...
sushma- Ji thank you...
kartik- haan toh Kya rishta pakka samjhe... arre jaldi batao na please please I am really very exited...
dadi- thik hai humari taraf se haan hai...
ruhan- humari taraf se bhi haan hai...
kartik- oh yes thank you so much rishta pakka karne ke liye thank you very much I love you all😀...
naksh- yeh Kya jinki shadi hone wali hai woh itna khush nahi honge jitna tu yeh khush lag raha hai...
keerti- mai sabke liye meetha lekar aati hu...😀
kartik- arre shubham bhai or meri hone wali beautiful bhabhi congrarulation both of you😘
(then kartik dono ko hug karta hai)
shubham/suhana- Thank you Kartik😘!!!
(then jab keerti aa rahi hoti hai toh use chakkar aata hai or woh behosh hokar gir jati hai)
Naksh- keerti!!!
Swarna- keerti beta...!!
(then kartik Dr ko bulata hai or doctor keerti ka check up karte hai)
Manish- Kya hua Dr. keerti thik toh hai na...
dr- Ji keerti bikul thik hai lekin aap sabko uska bohot khyal rakhna hoga
kartik- arre Dr. aunty kaisi baate kar rahi hai aap...aapne aabhi toh kaha ki bhabhi thik hai toh uska itna dhyan rakhna ko kiu keh rahi hai aap...
dr- because she is pregnent😊...
(then yeh sab sunkar sab khush ho jate hai)
ruhan- arre Manish ji eek hi din mai do do khush khabri mil gai congratulations...😀
manish- thank you ruhan ji😀...
kartik- arre wah iska matlab dadi pardadi banne wali hai papa dadu maa dadi chachu chote dadu chachi choti dadi mansi bua shubham bhai luv kush or mai chachu banne wale hai... yeyyyy yes!!!!😀😉😉 mai yeh khush khabri singhaniya's or maheshwari's ko phone karke deta hu....
(then kartik bahar jakar naira ko phone karta hai)
Naira- hello Kartik... Kya hua phone kiu kiya...
Kartik- Naira tum... tum masi or hone wali chachi banne banne wali ho or mai...mai chachu or hone wala fufa banne wala hu...
Naira- Kya such mai matlab... keerti...keerti di pregnent hai woh maa banne wali hai...😀
kartik- haan haan haan naira...😀
naira- okay tum mera phone kato... mere nanihaal mai yeh khush khabri sunao... hai yaha sabko batati hu...
kartik- haan haan okay...
(then naira or Kartik sabko bata dete hai or sab goenka's ko phone karke congratulate Karte hai)
Shubham- papa... ruhan uncle maine or suhana ne eek faisla liya hai aagar aapko woh thik lage toh hum dono  waisa hi karenge
manish/ruhan- haan beta bolo...
shubham- hum yeh chahte hai ki jab keerti bhabhi ki delivery ho uske baad humare shadi ke functions start ho...
manish- arre wah tumne yeh toh bohot aacha bola meri taraf se toh okay hai maa aap...
dadi- haan hume bhi yahi thik lag raha hai... ruhan ji aap bataiye...
ruhan- haan humari taraf se bhi bohot bada wala okay hai...
kartik- thik hai toh yahi final karte hai...
(at night)
(kartik naira ko phone karta hai)
Naira- haan kartik bolo...
Kartik- naira... shubham bhai or hone wali bhabhi suhana ke shadi ke functions jab keerti bhabhi ki delivery hogi uske baad start hoga..
naira- oh aisa sochkar toh bohot aacha kiya un dono ne aisa hoga toh keerti di bhi full enjoy kar payengi functions ko...
kartik- haan... mai toh bohot exited hu baby bhi aane wala hai or uske baad shadi bhi ho jayegi dono ki...
naira- waise toh jab tumne mujhe phone kiya tha or jis tarike se tumne bataya tha mujhe us time maine itna dhyan nahi diya
kartik- kiu...kis cheej par dhyan dena chahiye tha tumhe...
naira- ki tumne kaha mai hone wali chachi banne wali hu or tum hone wale fufa!!!
kartik- haan toh... waise toh excitement mai muh se nikal gaya tha or aagar bol bhi diya toh Kya ho gaya sach hi toh kaha tha maine...
naira- haan waise baat toh sahi hi hai...
kartik- hmmm... naira...
naira- haan kartik...
Kartik- I Love You❤❤
Naira- I Love You Too❤

Pehele Pyar Ka Pehela Nasha💘Where stories live. Discover now