Returning Dowry

653 49 3
                                    

Susheela - kya aapko kuch bhi nahi chaiye?

Pramod - nahi.. Kuch bhi nahi chahiye mughe.... Unhone mughe apni beti di... Mere liye vahi kaafi hai.

Susheela - par ye to riwaaz hota hai na...

Pramod - kaun sa riwaaz... Jisme kisi ko apni zindgi bhar ki kamai lutani pade... Mughe nahi chaiye aisa kuch bhi....

Susheela - lekin baaki sab kya kahenge..

Pramod - jab itna saara dahej diya gaya tha tab kisi ne kuch nahi kaha... To ab bhi kisi ko kuch Kehne ka haq nahi hai.

He cupped her.

Pramod - koi Kuch bhi kahe to mai hu na....

She hugged him. He kissed her cheek.

Pramod hugged her.

Pramod - ab hame so jana chaiye.. Kal subah nikalna bhi to hai...

She nodded and backed off. He kissed her forehead. She laid along with him. She kept her head on his chest and cuddled her cutely.

The next morning.

Susheela was standing along with Pramod.

Dp - lekin beta hum dahej vapas nahi le sakte...

Pramod - papa mughe koi dahej nahi chahiye... Agar mughe zara bhi pata hota ki shaadi me dahej lene ki baat bhi hui.. To vahi ke vahi dahej ke liye mana kar deta.

Kusum - lekin beta... Samdhi ji kuch...

Pramod - aapka pehle rishta mughse hai... Maine aapko vada kiya tha shaadi ke din ki aapki beti mere sath khush rahegi.. Aur agar aap itna sara dahej de denge mughe to aapki beti kaha khush rahegi aapke liye...aapne mughe apne beti dedi... Aur mai sach kahu to mughe jaise ladki chaiye thi na... Vaise beti hai aapki.... Jo meri family ka itna khayal rakhti hai... Bhot hi acchi hai aapki beti... Jaise mai chahta tha bilkul vaise..  To mughe uske siva kya chaiye hoga aapse..  Aaj hi mai aapko sara dahej vapas de dunga..... Mughe bas aapka aashirwad chahiye.... Agar aap mughe apna damad nahi apna beta maante hai... To aapna aashirwad dijiye... Mughe bas use ki zarurat hai.

Dp - meri beti ne koi punya kiye honge jo use ek aisa pati mila....

Kusum - bilkul beta.... Hamare to bhagya Khul gaye apni beti ke liye aisa var paa kar..

Pramod - kismat to meri hai.... Aapki beti jaise bahu mere ghar ke jo aai hai...

Susheela's tears fell on her cheeks. Yes, she is married to this beautiful person. Who loves her and respect her. He understands every emotion by heart. He is better than anyone. He loves the way he talks to her and even pays respect to her for everything. She can't pay it back to him whatever he has given to her. She is great full to God for giving his as her life partner.

They returned back to home.

Pramod seriously wanted to talk to his parents.

He went to Mini's room to talk to her. Along with Jay.

Pramod - maa papa kya aapne meri shaadi me dahej liya tha...

Jay - ha humne baat ki thi bhaisahab se.. Lekin kuch khaas diya nahi unhone... 10 lakh ki jagah.. Bas 7 lakh de paye...

Mini - aur to aur... Sona bhi kuch khaas nahi laga mughe...

Pramod - aap logo ko ho kya gaya hai... Kis liye liya dahej.. Kya zarurat thi is sab ki... Kya nahi hai hamare Paas... Aap log baato ko samajhte kyo nahi.

Mini - to beta dahej nahi lete to shaadi kaise hoti.

Pramod - maa bas karo ab.. Maine pehle hi mana kiya tha... Mughe koi dahej nahi chaiye.. Pata hai aapko... Unhone kitni mushikil se ye sab diya hame.. Aur to aur... Aap logo ne bina kisi jhijak ke le bhi liya.  Are hadd hai! Unhone apni iklauti beti bhi hame de di... Aur kya leta mai unse... Pata hai aapko.....mughe kitni sharam aai ye jan ne ke baad ki.....ki...Mere naam par aap logo ne unse car ki bhi demand ki....... Mughe kuch nahi pata... Mai unhe sab vapas karunga... Mughe saare paise aur saare gehne de dijiye...

Jay - kya baat kar raha hai tu beta ye...

Pramod - to kaise baate karu papa..  Are aapka beta to mai hu... Agar aapko kuch bhi chaiye tha... To mughe bata dete.... Ha thoda time zarur lagta lekin mai apne paiso se aapko sab de deta.. Kya kami hai hamare ghar me.... Ye bhot galat kiya aapne....mughe sab vapas de dijiye... Mai khud unhe sab vapas de dunga...

Mini - beta ye galat hai..

Pramod - aur kya dahej galat nahi tha maa....?

.............................

Pramod returned all the cash and jewellery back to Susheela's parents with a sorry.

Susheela was happy on his decision but she can't express in to her in laws. They didn't had a plan to return the dowry.

At night.

Susheela was going to mini's room to give her the glass of milk.

She heard the words the pierced her soft feelings.

"us Dharampal par to hame pehle hi lagaam laga deni chaiye thi... Jab deni dene ki Bhi aukaat nahi thi to kya zarurat apni beti ko hamare ghar me bhejne ki"

Vote - 25

Thankyou 🙂

Life of Her.Where stories live. Discover now