Chapter 26: Naina ne sunaya Ananya ko

454 60 37
                                    

Naina: saari problem tumhare Kabir ke taraf se aur tum bhala bura Rajveer sir ko bol rahi ho!

Ananya: Listen, Kabir ki isme kya galti hai! Jo hua uss se yeh clearly pata chal raha hai ki saari galti woh tumhare sir ki hi hai! So mai kya galat bol rahi hu!

Naina: Oh God! Tumhe journalist kisne bana diya?! Ek baar aur jaake exam de do, I'm sure they will reconsider!

Ananya: How dare you!

Ananya became angry with Naina's remarks. Richa also stood up to support Ananya and to calm her down.

Naina: How dare you! Apne Kabir ke dimag se bani hui ghisi piti kahani sunn kar tum Rajveer sir pe ilzaam laga rahi ho! Aur unke beech me jo kuch bhi hua woh ek baar khud soochne se bhi pata chal raha hai ki tumhara Mahan Kabir galat hai!

Ananya: Oh please! Tumhare jo Rajveer sir hai na woh bohot hi greedy hai!

Naina: Oh really?! You onow agar tum sound mind se soocho ge na tab tumhe samajh aayega ki woh greedy nahi hai! Agar hote toh woh relation bana kar rakhte na! Todhte kyu bhala!

Ananya: Kyunki unhe pata chal gaya ki unhe kuch nahi milega!

Naina: tumhe pata, tum jaise logo ko na rishto ki samajh hi nahi hai! Rajveer sir ne jo kuch bhi kaha ek dum sahi kaha tha! Future me jaake tumhare Kabir ke zindagi me woh sab hua na! Aur agar unhe sirf paiso ki padi hoti na toh woh utna bhi nahi karte, paiso ke liye chaplusi karte hai! Seedhe muh pe uss bande ke sooch ke khilaf nahi bolte! Woh rishto me hota hai! Jo theek hota hai, jo sahi hota hai woh log sirf rishto me hi kehte hai ek doosre ke muh par!

Ananya: Accha! Really?! Agar unhe apna interest milta Kabir ke ghar se toh woh Kabir se pehle jaise hi milte rehte! Tumhare Rajveer sir ne milna kam karte gaye kyunki unhone dekha ki unke haatho se paisa..

Naina: Oh God! Tumhari soi toh paiso par hi akat gayi hai! And you know, jab insaan kaam karne lagta hai na tab usse apne liye time nahi milta toh woh doosre ke liye kaha se nikale ga?! And specially tab woh military academy me the aur phir army join kiya unhone! And lady, tumhe pata bhi hai kitna time taking hota hai training aur rahi baat duty ki toh woh toh 24/7 job hota hai! Jaise hi posting milti hai, ek soldier apna sab kuch bhool kar apne desh ko apne se aage rakhta hai! Jab woh apne baare me nahi soochta, apne liye time nahi nikalta aur saara ka saara desh ko de deta hai, tab woh apne bhai ke liye kaha se time nikal kar laye?! Oh God! Mai bhi kyu tumhe samajhane lag gayi hu! Tumhe toh samajh aane nahi wala! Tum toh reporter ho na! Army me hoti ya phir yaha full time training leti tab samajh aata ki mai kis cheez ki baat kar rahi hu! Training me bhi apna 100% dena hota hai! Toh inn sab me Rajveer sir ki kya galti hai? Yeh ki woh desh bhakt hai? Ya phir yeh ki unhone apne se aage, apne rishto se aage apne desh ko rakha?!

Naina was furious, Ananya was stunned. Richa realised how right Naina was. Ananya opened her mouth to say something else, but Richa held Ananya back, and stopped her.

Naina: Let it be! Tum kabhi ek bhai ka pyar nahi samajh sakti! Aur na hi Rajveer sir ka pyar Kabir ke liye..

Saying this Naina left to the ground for practice. Richa held Ananya and made her sit.

Ananya: Yaar woh aise kaise kuch bhi bol kar chale jaa sakti hai?!

Richa: Ananya, ek baar thode shaant aur thande dimag se sooch unski har ek baat par gaur kar..woh sahi keh rahi hai..

Ananya: Accha! Matlab ab tu bhi uske side hai! Theek hai! Sab jao! Sab jao uske side! Mere dost ho bhi tum log? Doubt hota hai mujhe kabhi kabhi! Mujhe back karne ke jagah tum log jab dekho usse hi back kar rahe ho!

Richa: Ananya! Please sunn ek baar! Tu khud dekh, hum yaha full training nahi lete hue bhi itne busy hai ki apne liye time nahi nikal paa rahe, toh soch inke liye kitna hectic hoga..aur hum sab jaante hai ki border pe khade hummare desh bhakt sipahiyo ka kaam kitna hota hai, woh logo ka koi time nahi hota duty ka..woh kya hi kare? Sach me ab mujhe bhi lagta hai ki Kabir ne isske baare me soochte hue yeh factor dekha hi nahi ki uske sath sath uska bhai bhi toh bada ho raha hai, unke paas bhi toh bohot kuch aa gaya hoga like naukri..upar se uska bhai army me hai..hum sab jaante hai ki inn logo ka kaam kitna mushkil hota hai..ab tu hi bata, woh galat hai ya phir tu galat hai? Rajveer ji sahi hai ya Kabir?

Ananya just looked at Richa and then left. Richa looked at her go, but she knew that now Ananya will ponder upon everything that Naina had just said to her. Then Richa also left from there.

___________________________________________

On the other hand, Rajveer woke up and quickly got ready. Then woke Kabir, he helped his brush, Bunty brought food for the two of them and Rajveer fed Kabir. Soon Rajveer was called for a meeting.

Rajveer: Kabir, tum chinta mat karo, mai yaha Naina ko bhej deta hu, woh tumhara dhyan rakh degi till the time I finish the meeting.

Kabir: theek hai..

Soon Naina arrived and after a short brief from Rajveer about the medications that might be required by Kabir, he left for the meeting. Around 20 mins had passed by since Rajveer had left. Naina went to give medicines to Kabir, she saw him adoring a picture of Rajveer holding a trophy.

Naina: Kabir..

Kabir quickly hid the picture and looked up. Naina smiled and handed him the medicine and water.

Naina: Kabir..mai jaanti hu ki mera koi haq nahi hai tum dono bhaiyo ke beech me bolne ke liye par sach kahu na toh Rajveer sir jitna tumse pyar karte hai na utna pyar tumhe koi nahi de sakta..

Kabir: Jaanta hu..mai jaanta hu ki woh mujhse bohot bohot pyar karte hai..

Naina: Toh yeh sab jaanne ke baad bhi tum unse apni yeh ladai khatam kyu nahi karte?

Kabir: Kyunki....woh..aapko humare ladai ke baare me..

Naina: Rajveer sir ne bataya hai..

Kabir: Oh accha..the thing is..ki woh mai..woh..

Naina: Bol nahi paa rahe? Apni galti maan nahi paa rahe apne bhai ke saamne?

Kabir: Galti?

Naina: Tum maante ho na ki tumse unhe samajhne me galti hui? Hai na?

Kabir: thodi shayad..mujhe unhe aisa nahi bolna chahiye tha ki woh mujhse kabhi bhi pyar nahi karte the..starting me toh bohot gehra pyar tha hummara..

Naina: uske baad bhi tha..bas dono ke beech me dooriya aa gayi..tum adopt ho gaye..aur apne bhai se bichud gaye..

Kabir: Ha..mai aur woh..hum dono ki adopt ho gaye the..

Naina: Kabir..yeh baat sach hai ki tumhe adopt kar liya gaya tha par yeh bhi sach hai ki Rajveer sir kabhi adopt nahi hue the..

Kahani Zindagi KiWhere stories live. Discover now