Chapter 4: Rajveer ka accident

393 48 14
                                    

Rajveer was in the cafeteria after he conducted one drill of the second year cadets, the news was going on and Rajveer took some juice and sat down. Rajveer was there with his notepad taking notes of his observations from the drill today when he heard the news anchor.

News reporter: Abhi abhi news aai hai ki KKN ke do reporters ko ek Baagi ne interview ke liye bulaya aur unhe ab apna kaidi bana diya hai aur government me woh ransom ke naam pe ek movie, Baagi sacch ki ladadi movie ka release na ho, yeh maang aage badai hai. Abhi tak koi information nahi aai hai Government ke taraf se aur movie ke producer ne saaf mana kiya hai apne movie ke release ko rokne se. Jo do reporters abhi Baagi ke kaid me hai woh KKN ke editor-in-chief Kabir Sharma aur ek junior reporter, Ms. Ananya Kashyap hai, ab aap sab log sunnenge Mrs. Kashyap, yaani Ms. Ananya Kashyap ki Maa ko.

They played her mother's footage which was released on KKN. Rajveer saw the entire news leaving his work. After the news was over he went and made a call.

Rajveer: Lieutenant Karan, zara mujhe yeh Baagi ne jo do reporters ko agwa kiya hai, iss case ke baare me jaankari ikhatha kar ke dena..aur agar iss case me koi progress ho toh bata dena!

Rajveer hung up the phone and went to his room. Rajveer sat down with his phone in his hand.

Rajveer: Kabir..pata nahi kaha hoga..kaisa hoga..aur woh bechari ladki..Baagio ne kuch kiya na ho bas inn dono ke sath..

Next day morning, Rajveer got the call from Karan telling him about the latest findings of Inspector Khurana. Rajveer called Inspector Khurana.

Rajveer: Hello, Inspector Khurana, this is Captain Shekhawat this side.

Insp. Khurana: Hello sir..koi khaas kaam ?

Rajveer: Aap woh Baagi wale case pe kaam kar rahe hai?

Insp. Khurana: Ji sir..

Rajveer: Koi news? Koi lead mili hai?

Insp. Khurana: Sir abhi hum jis location pe hai woh location yeh Baagio ne chodke jaa chuke hai, sir abhi hum aage search kar rahe hai..

Rajveer: Insp. Khurana I suggest ki aap irregularly broken twigs and leafs bhi dekhte rahe, agar waha se woh log guzre honge toh uss jagah pe zyada toote hue milenge. Aur dekhiyega by chance koi injury hui hogi toh blood kahi nahi kahi apna trail hoga hi..I know ki aapko yeh sab pata hai, but I just..

Insp. Khurana: Nahi sir, aapse input milna mere liye privilege hai..I'll keep the points in mind. Chaliye sir mai aur meri team aage search kar rahi hai, baad me phone karke batata hu agar kuch mila toh.

Soon Rajveer got Khurana 's phone telling him that they found both Kabir and Ananya. Rajveer was relieved.

Rajveer: Dono ko koi major chot toh nahi aai hai?

Insp. Khurana: Sir thodi si aai hai, nothing serious.

Rajveer: Aur woh Baagi? Woh pakda gaya ki nahi?

Insp. Khurana: Sir woh saare pakde gaye hai, inhe hum abhi le jaa rahe hai police thaane.

Rajveer: Great and Inspector Khurana, aap yeh baat kisi bhi aur ko na batana ki maine aapse iss case ke baare me jaankari li. Not even to your most trusted people.

Insp. Khurana: Ji sir. Mai kisi ko bhi nahi kahunga, I understand ki aap nahi chahte ki yeh news aur kisi ko pata chale..

Rajveer: Thank you very much. Take care. Jai Hind!

Insp. Khurana: Jai Hind sir!

They hung up the phone. Rajveer was relieved that both of them were safe. He returned to his daily routine quickly.
___________________________________________

Kahani Zindagi KiWhere stories live. Discover now