💜|~Gulab~|💜

Start from the beginning
                                    

Anubhav-woh hum bas aa hi rahe the...(nervously).

Haseena-chaliye ab warna bus chhut jayegi (her eyes falls on the rose which is peeping from his pants pocket) yeh kya hai...?

He looks at his pocket and then her.

Anubhav-gulab...

Haseena-accha gulab hai par hume toh chameli ka phool lag raha tha...(she said tauntingly, walking towards the bus stand).

Anubhav-Haseena ji...(following her)

Haseena-do din aapko college join kiye nhi hua aur aate hi girlfriend banane lag gye woh bhi teacher hokar...(she scolded him like his teacher).

Anubhav-nhi nhi aap galat samjh rahi hai yeh hume us ladki..kya naam hai Vidhi haan Vidhi ne diya...(tries to prove himself innocent ).

Haseena-usne diya aur aapne le liya..(taunted).

Anubhav-bacchi badi masumiyat se request kar rahi thi...(she turns toward him).

Haseena-jitne prem se aap bacchi bol rahe hai use aapko bata de ki woh bacchi college student hai aur aaj kal ke bacche...bas umar mein hi bacche hote hai baki toh hum aur aap unke samne pani bhare aisi halat hai isliye umar par mat jana bacchon ke warna aap hi problem mein pad jayenge...(she gets on the bus)

Anubhav-par woh acchi student hai..(he follows her)

Haseena-jante hai isliye aapse kah rahe hai sambhal kar rahiye kyunki college students hai prank kar diya ya phir koi dikkat ho gyi toh aap jayenge jayenge itne saal se hamari bani huyi izzat aur naam bhi chala jayega...(she said sitting on the window seat).

Anubhav-hum samjh rahe hai par aap chinta mat kariye aisa kuch nhi hoga...(sitting beside her).

Haseena-hmm...

Anubhav-waise aapko kaun sa phool pasand hai...(he asked, taking the rose out of his pocket).

Haseena-gobhi ka phool...(she gives him an ear to ear smile).

Anubhav-mazak nhi Haseena ji, bataiye na aapko kaun sa phool pasand hai...(he throws the rose)

Haseena-hume nhi pata...(she said plainly).

Anubhav-aap naraz hai humse..(worriedly ).

Haseena-nhi...

Anubhav-phir bata dijiye...

Haseena-Anubhav ji *sighs* hume sach mein yaad nhi hai hume kya pasand hai kya nhi...

Anubhav-kyun..(worriedly).

Haseena-hume nhi pata aur kya humne aapse puchha tha ki aapko khane mein aapko aapki pasand kyun nhi pata...(he nods no) toh aap bhi mat puchhiye...

Anubhav-par hamare paas reason hai, hum anath hai aur hamari mami ko hum kuch khas pasand nhi isliye unhone hum par kabhi dhyan hi nhi diya...aur isiliye hume jo mila humne kha liya...

Haseena-aur hume samay hi nhi mila khud ki pasand napasand janne ka, jab tak maa thi tab tak dar kar jiye aur jab chali gyi toh behno ki maa banane ke chakkar mein khud ko bhool gaye...(she said with a sarcastic smile).

Anubhav-aapki maa aapko pasand nhi karti thi..?

She looks at him and then outside the window.

Haseena-nhi...

Anubhav-kyun...(looking into her eyes).

Haseena-woh.....(before she can share her feelings, the bus reaches their stop) chaliye hamara stop aa gya...

He hummed and they got off the bus.

Haseena-gulab...

Anubhav-jii...??

Anuseena-𝑬𝒌 𝑷𝒓𝒆𝒎 𝑲𝒂𝒉𝒂𝒏𝒊 ✔Where stories live. Discover now