CHAPTER 5

419 48 20
                                    

With Varmalas on their neck, Ravan entered his golden Lanka with Mandodari by his side.

"Mata ! Dekh mai kise laya hu !" Ravan said.

Kaikeshi came running in, thinking her son brought Mahadev. But seeing a woman she frowned in confusion.

"Yeh kaun hai ? Tum toh Mahadev ko laane gaye the." Kaikeshi said.

"Ha lekin niraash na ho Mata. Mai Devi Parvati ko leke aya hu." Ravan said. Mandodari frowned looking at him.

"Kya yeh Devi Parvati hai ?" Kaikeshi asked, a little unsure.

"Ha Mata. Ab yeh humare saath hi rahengi. Maine inse vivah jo kiya hai." Ravan said.

"Vishwaas nahi hota ki Jagat-janani, Trilok-swamini, humare ghar ki vadhu ban ke aayi hai." Kaikeshi said.

"Kshama kare kintu aap dono ko mujhe pehechanne mei koi bhul huyi hai." Mandodari said.

"Tatparya ?" Kaikeshi asked.

"Mai koi Jagat-janani nahi, mai koi Trilok-swamini nahi, mai Devi Parvati nahi hu. Mai ek sadharan si stree hu." She said.

"Kya ?" Ravan frowned.

"Ha Aryaputra. Mai kabse aapko keh rahi hu ki mai Devi Parvati nahi hu. Kintu aap maan hi nahi rahe." Mandodari said.

"Toh kaun ho tum ?" Kaikeshi asked.

"Mai Mayasur ki putri Mandodari hu. Ek Rishi ke shraap ke karan jalashaye ke paas ek maindhaki ke roop mei thi. Aaj Mata Parvati ne mujhe shraap mukt kar mujhe mera vastavik swaroop punah pradaan kiya hai." Mandodari said.

Kaikeshi glared at Ravan while he gazed down not able to believe that a extremely educated and knowledgeable man like him got fooled.

"Mata Parvati ke aashirwaad se mere bhagya khul gaye aur maine inhe apne swami ke roop mei praapt kiya." Mandodari said.

"Nahi ! Yeh satya nahi ho sakta !" Ravan said.

"Nahi Arya yeh satya hai. Jisko pehechanne mei aapse bhul huyi hai. Mai toh baar baar yeh kehti rahi ki mai Devi Parvati nahi Mandodari hu. Kintu na jaane aap kis sudh mei the jo meri baat par dhyaan nahi diya." Mandodari said.

"Tum punah bhul kar aaye ! Pehle Mahadev ka tiraskaar karke apne haatho par Kailash giraliya ! Aur ab Mahadev ke sthaan par Mata Parvati ko maang liya ! Aur unhe bhi laane ki jagah ek sadharan stree ko le aaye !" Kaikeshi said.

"Kintu Mata-" "Chup !" Before he could say anything, Kaikeshi stopped him.

"Arrey putra tumhara yeh murkhtapurn karya dekh kar kaun bolega ki tum chaaro vedo ke gyata ho !? Kaun kahega ki tum sabhi shaashtro ke vidwaan ho !? 10 mastiksh hone ke baad bhi itni murkhta !?" Kaikeshi scolded.

"Bas Mata ! Le aayunga Mahadev ! Iss baar koi chuk nahi hoga !" Ravan said clenching his fists.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Wah Mata Parvati Wah !

This reminded me of a line from Gujarati Aarti 'Jai Adhyashakti'

Rame Ram ramadya
Ravan royo Maa !

Om Jai Om Jai Om
Maa Jagadambe ✨

(You made Ram win over Ravan. Ravan cried. Salutations to you Maa Jagadambe !)

HARIHARESHWARI 10 : ℝ𝔸𝕍𝔸ℕ𝕆 𝕃𝕆𝕂ℝ𝔸𝕍𝔸ℕ𝔸ℍWhere stories live. Discover now