💜|~Sona-The Cupid~|💜

Start from the beginning
                                    

Anubhav-ji..?

Haseena-hum breakfast banane ja raha hai, aapko kya pasand hai khane mein...(with a smile).

Anubhav-hume (his mind goes blank for a moment because he can't remember what his favorite food is)..hume sab pasand hai...(he replied formally)

Haseena-phir kuch toh special pasand hoga aapko, bata dijiye..aaj sunday hai toh hum apne Papa ke liye unke pasand ka hi breakfast banate hai toh aap bhi bata dijiye...

Anubhav-sach mein hume yaad hi nhi hai ki hume kya pasand hai aur kya nhi..(he said with a smile, while his eyes are enough to express his pain, which she could clearly read).

Haseena-koi baat nhi hum aapke liye aaloo ke parathe bana dete hai...(she said with a smile).

Anubhav-ji...

Haseena-aap chhat par rukenge ya neeche chale?

Anubhav-neeche chalte hai...(They leave while The Cupid of Anuseena's love story is smiling happily, sensing a connection between them).

At Breakfast Table

"Kya baat hai aaj aaloo ke parathe...!" Keshav said happily, drooling over the paratha.

Haseena-aapke liye nhi hai Papa..

Keshav-toh phir kiske liye hai?

Anubhav-hamare liye...(sitting on the chair, opposite to Keshav).

Keshav-mujhe ek paratha milega na...(he asked like an innocent kid).

Haseena-nhi...(sternly).

Keshav-par...(Haseena glares at him).

Anubhav-de dijiye, bechare kitni masoomiyat se mang rahe hai....(Keshav made a puppy face).

Haseena-maaf kariyega par Papa ko sugar hai aur aaloo ke parathe nuksaan karenge...

Anubhav-phir toh rehne hi dijiye waise bhi aaj kal khane mein milavat ho rahe hai jo nuksaan hi karega Sir ko...

Keshav-tum bhi iski side ho gye...(gloomily).

Anubhav-sorry sir par kya kar sakte hai, aapki health important hai...

Haseena-sun liya na ab chup chap apne breakfast par focus kariye...

Keshav-itni kathor dil beti hai meri...(dramatically).

Haseena shook her head in disappointed.

Keshav-waise Anubhav aap aaj shaam ko free hai?

Anubhav-shayad haan....

Keshav-toh hamare saath Radhe Krishna ke darshan karne chaloge..?

Anubhav-maaf kariyega par hum nhi ja sakte...(he politely refused).

Keshav-kyu?

Anubhav-bas aise hi....

Keshav-aise hi ka kya matlab hai, koi toh reason hoga...waise bhi Vrindavan aaye ho toh Radha Krishna ke darshan karna toh banta hi hai...

Anubhav-kisi aur din...

Keshav-par...

Haseena-Papa kyu jabardasti kar rahe ho, jab unka man nhi hai toh rehne dijiye....

Keshav-thik hai phir main Sona aur Harsh ke saath chala jaunga....

Anubhav-kyu Haseena ji nhi ja rahi...(he looks at Haseena).

Keshav-nhi..iske saath jaane ka kuch fayda nhi hoga...(he mumbles last line).

Anubhav-ji..??

Haseena-agar hum saath gye toh bahar ke chaat golgappe kaise kha payenge..yahi bola na Papa...(she said glaring at her father).

Anuseena-𝑬𝒌 𝑷𝒓𝒆𝒎 𝑲𝒂𝒉𝒂𝒏𝒊 ✔Where stories live. Discover now