jealous aniruddh 🔥 🔥

153 9 0
                                    

Sumati maa or bondita sampurna ki sagai ki taiyariyo me lage huye hai...
Sumati maa - bondita tu sabko sagai ka nyauta dene ke sath sath tere wo mukhiya aniruddh babu ko bhi nyauta de dena...
Bondita - thik hai maa me telephone karke aati hu unhe abhi...
Bondita aniruddh ke ghar telephone karne chali jati hai Bondita phone karti hai to aniruddh ghar pe nahi aata phone kaka uthate hai...
Bondita - hello...
Kaka - hello kon...
Bondita - me bondita...
Kaka - kon bondita...
Bondita - me aniruddh sir ke office me kaam karti hu mujhe unse baat karni thi...
Kaka - par aniruddh to ghar pe nahi hai hum uske kaka bol rahe hai tum hume kaam bata do hum aniruddh ko bata denge...
Bondita - accha to kal meri bahan ki sagai hai to usme aap sabko aana hai kaka...
Kaka - arey waa ye to bahut acchi baat hai tumhari bahan ko humari taraf se mubarakbad dena or hum to aa nahi payenge beta...
Bondita - meri bahan ko mubarakbad aap khud hi dijiyega me kuchh nahi sunne wali aap sabko aana hi padega kal...
Kaka - accha thik hai hum sab aayenge thik hai beta ab hum phone rakhte hai...
Kaka (in mind) - kitni pyari bacchi thi bilkul us mandir wali bacchi ke jesi...
(aap sab agar bhul gaye to yaad dila du bobdita or kaka ek baar mandir me mile the jahan bondita ne kaka ko girne se bachaya tha or kaka ko bondita bahut pasand aai thi)...
Aniruddh ghar aata hai to kaka use batane wale hote hai ki bondita ka phone aaya tha or sampurna ki sagai hai tabhi bihari aata hai...
Bihari - maalik aapko jameendari ke kaam se bulane kuchh log aaye hai chaliye..
Kaka - haa bihari chalo or haa aniruddh beta wo tumhari office me kaam karne wali bondita ki kal sagaai hai...
Aniruddh - kya 😳😳 kaka suniye to kya aapne thik se suna tha bondita ki hi sagai hai kya kaka kaka meri baat to suniye...
Par kaka jaldi me hote hai isliye aniruddh ki baat nahi sunte or nikal jate hai....
Aniruddh (to himself) - meri Bondita ese kese kisi se sagaai kar sakti hai nahi kaka ko jarur kuchh galatfahmi hui hai me abhi bondita se baat karta hu....
Aniruddh bondita ke ghar telephone karta hai lekin bondita busy hai to phone Aaditya uthata hai....
Aaditya - hello...
Aniruddh - hello bondita...
Aaditya - arey me bol raha hu Aaditya aniruddh babu aapko to har jagah bondita hi chahiye hoti hai bas...
Aniruddh - kahan hai bondita...
Aaditya - bondita taiyariyo me lagi hui hai kal sagai hai na isliye...
Aniruddh - kiski sagaai...
Aaditya - wo...
Bondita - Aaditya kahan tu phone me laga pada hai kal sagaai hai itni sari taiyariya karni hai or tu phone me laga hua hai rakh phone...
Aaditya - thik hai (Aaditya phone rakh deta hai)...
Aniruddh - arey Aaditya suno to bata to do kiski sagaai hai kal huu isne bhi phone kaat diya or bondita dekho kitni khush thi kal pata karunga kal jake dekhta hu ki aakhir ye hai kon jo mujhse meri Bondita ko chhin na chahta hai chhodunga nahi me use...
                               Next day
Bondita ke ghar pe sab koi taiyariyo me laga hua hai bondita sampurna ko taiyar karti hai and sampurna looking so beautiful....
                       In aniruddh house 🏡
Kaka - arey kahan ho sab log taiyar ho jaao bondita ke ghar jana hai...
Batuk som or binoy kaka ki aawaz sunke aa jate hai...
Batuk - him to ready hai kaka chaliye...
Som - haa kaka me bhi taiyar ho gaya...
Binoy - daa jaruri hai kya jana...
Kaka - bahut jaruri hai bondita ne bade pyaar se bulaya hai hume par ye aniruddh kahan rah gaya aniruddh oo aniruddh arey oo kumbhkaran ki aulaad abhi tak so raha hai kya...
Binoy - daa please me kumbhkaran nahi hu.....
Kaka - haa to humne kab bola ki tum kumbhkaran ho...
Binoy - aapne hi to kaha daa kumbhkaran ki aulaad...
Kaka - arey wo to humne ese hi bol diya😂😂 aniruddh taiyar hua ki nahi....
Aniruddh - bas aa gaya kaka taiyar hu me (aaj to me jaankar rahunga kon hai wo ladka jo meri bondu ko mujhse chhin na chahta hai )...
Aniruddh - kaka me taiyar hu ab chaliye or der nahi karte...
Kaka - arey waa beta bada jaldi taiyar ho gaya tu nahi chal ab...
Aniruddh - haa chaliye...
Wo sab log bondita ke ghar pahunch jate hai sab log unka bahut accha welcome karte hai wahan pe aniruddh ko saurabh bhi najar aata hai...
Aniruddh - Saurabh tum yahan...
Saurabh - haa wo aniruddh...
Dev - kyunki aaj sagaai hai na...
Dev bichme hi aakar bol padta hai...
Aniruddh - kiski sagaai...
Dev - wo bhai ki...
Aniruddh nahi jaanta ki dev Saurabh ka chota bhai hai or Tabhi dev or aniruddh ko Bondita najar aa jati hai or dono bondita ki beauty me kho jate hai bondita blue colour ke lahange me bahut sundar lag rahi hai dev bondita ke piche chala jata hai..
Aniruddh - kitni sundar lag rahi hai meri Bondita isko dekhke to esa hi lag raha hai ki isi ki engagement hai aaj mujhe baat karni hogi bondita se...
Aniruddh bondita ke pass jata hai or usse baat karne ki koshish karta hai...
Aniruddh - Bondita bondita meri baat suno bondita...
Bondita - abhi nahi aniruddh babu abhi bahut busy hu aapse baad me baat karti hu...
Aniruddh - arey suno to bondita meri baat to suno chali gai bondita tum itna kese badal gai humne to sath me rahne ki kasam khai thi na or tum kisi or se sagai kar rahi ho...
Bondita chalte  chalte kaka se takra jati hai ....
Kaka - arey beta tum tum to wahi Mandir wali ho na...
Bondita - haa or aap??...
Kaka - me aniruddh ka kaka hu ...
Bondita - oo namaste kaka me bondita hu jisne kal aapse baat ki thi...
Kaka - oo accha....
(Kaka humari bondita se kuchh jyada hi impressed hai or use apne ghar ki Bahu banana chahte hai)...
Bondita jaha jaha jati hai dev waha waha uske piche aa jata hai...
Dev - arey bondita ji meri baat to suniye bondita ji suniye to...
Bondita - haa dev ji boliye ..
Aniruddh (gussa karte huye khud se hi) - accha dev ji mujhe to kabhi aniruddh ji nahi bulati humesha aniruddh babu bolti hai huuu😏😏...
Dev - Bondita ji aaj aap bahut sundar lag rahi hai...
Bondita - shotti...
Dev - haa bondita ji shotti..
Bondita - ishh 🙈🙈..
Aniruddh - huhhh kese has haske baate kar rahi hai isse lagta hai isi se engagement kar rahi hai mujhe baat karni hi hogi usse...

ANIDITA-the relation of heart ❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें