Saurabh ki ma ne mani apni galti

80 10 0
                                    

Aniruddh or bondita apna plan banate hai... or use exicute karne ke liye nikal padte hai....wo dono bhesh badal kar rajasthani look lekar hospital jaate hai jaha Saurabh ke baba admit hai...wo jake Saurabh ki maa ke pass baith jate hai... bondita ghunghat me rahti hai.... wo jake Saurabh ki mummy se baat karne lagte hai...

Aniruddh - khamma ghani...mataji....

Saurabh ki maa - namaste beta...(wo thodi pareshan hai isliye un logo se koi baat nahi karti)...

Bondita - arey mataji...the itna pareshan kyu lagra ho...koi dikkat hai k....

Saurabh ki maa - haa wo beta..mere pati ko dil ka daura pad gaya.. to unhi k liye pareshan hu....

Aniruddh - arey rey...yo ke ho gaya mataji...par koi na the chinta nahi karo...the ek kaam karo...apne Bete ka byaah karlo...jab laxmi ghar me aawegi na to sab thik ho javega....

Saurabh ki maa - pagal ho gaye ho aap...bahu ko ghar me lane se kya hota hai... mene to aaj hi rishta toda hai... jis ladki ke mere ghar me aane se pahle hi mere pati ki ye halat ho gai...us ladki ko kese me apne ghar le aau??....

Bondita - arey arey mataji....ye to galat hi hua thare sath...par thare ko pati hai...jab mhari shadi hone wali thi na inse (Aniruddh ki taraf ishara karte huye) to unke babuji bahut beemar ho gaye the....tab mhare ko bhi yahi lagta tha ki ab mhara to byaah na hoga...

Saurabh ki maa - fir... fir tumhari shadi kese hui isse....

Aniruddh - arey wo maaji....mene or meri maa ne to mana hi kar diyo tho...fer mere babuji ne kayo ki...mere to ghar me bahu aawegi to wo hi aawegi...chahe kuchh bhi ho jaye...to fir mhare ko isse byaah karna pada...

Saurabh ki maa - lekin fir to tumhare babuji ki tabiyat jyada kharab ho gai hogi na kyunki ye abhaagan jo tumhare ghar aa gai thi....

Aniruddh - arey maaji...wo hi to mhare ko bhi esa hi lag raha tha...par fer jese hi ye mhare ghar me aayi...mhare babuji ekdum thik ho gaye...unki tabiyat ekdum acchi ho gayi...mhare babuji to humesha hi kahte hai ki ye to mhare ghar ki laxmi hai...

Saurabh ki maa - lekin jis ladki ke ghar me aane se pahle hi ghar me dukh aa jaye...wo ghar ke liye acchi kese ho sakti hai....

Aniruddh - wo to mhare ko hi nahi pata maaji ki ye kese hua..par ye to mhare ghar ke liye vardaan ki tarah aai hai...aaj mhare ghar me kisi cheez ki kami naa hai...

Saurabh ki maa - kya esa bhi ho sakta hai...mujhe to vishwas nahi hota... abhaagan ladki ghar ke liye acchi kese ho sakti hai... mujhe aapke babuji se milna hai... pata to chale aap kitna sach bol rahe hai or kitna jhuth....

Bondita - mere sasur ji ko...ab sasur ji kahan se laau (to herself)🤔🤔.....

Aniruddh - jee jee maaji...me abhi bula deta hu...mhare babuji ko....

Bondita - kahan ja rahe hai aap...(confusingly)....

Aniruddh - me aa raha hu..tum bas unhe baato me busy rakhna...

Aniruddh jake kaka ko telephone Karta hai....

Aniruddh - hello kaka....

Kaka - Aniruddh tu...tu hai na abhi ke abhi ghar aa...

Aniruddh - kyu kaka...

Kaka - tu chup chap ghar aa teri himmat kese hui...haldi ke din ghar se bahar nikalne ki...tu ek baar ghar aa tujhe to me batata hu....

Aniruddh - kaka wo sab chhodiye aap meri baat dhyan se suniye....

Fir Aniruddh kaka ko sari baat batata hai or kaka se hospital aane ke liye kahta hai...

Kaka - beta sampurna ke sath to bahut bura hua...hum abhi aate hai agar humari wajah se sampurna bitiya ke jeevan me khushiya aati hai...to hume bahut khushi hogi....lekin hume Saurabh pe bahut gussa aa raha hai... wo kyu kuchh nahi bola....

Aniruddh - abhi usse hi baat karunga kaka...usko to me bataunga...

Aniruddh Saurabh ko phone lagata hai....

Aniruddh - hello Saurabh...
Saurabh - jee aniruddh sir boliye...
Aniruddh - Saurabh sampurna tumhari hone wali patni hai...or tumne uska sath hi nahi diya...
Saurabh - matlab aap kahna kya chahte ho Aniruddh sir mujhe kuchh samjh nahi aa raha...
Aniruddh - please Saurabh ese baat mat karo jese tumhe kuchh pata hi nahi...
Saurabh - mujhe kuchh nahi pata Aniruddh sir...please bataiye kya hua...
Aniruddh - tum ho kahan abhi...ghar pe to ho nahi....
Saurabh - nahi wo me shopping karne ke liye bahar aaya hua tha...fir aaj subah wapas aane wala tha..lekin maa ne kaha ki shadi ki date postponed ho gai hai to tum aaram se aana...
Aniruddh - accha...lekin sacchai to kuchh or hi hai Saurabh...

Fir Aniruddh Saurabh ko sari baat batata hai...

Saurabh - aap chinta mat kijiye aniruddh babu me abhi yaha se nikalta hu... kuchh der me pahunch jaaunga....

Aniruddh - maji...mhare babuji bas 5 minute me atthe aa rahe hai....

Thodi der baad kaka bhi Rajasthani look lekar hospital aa jate hai....

Kaka - arey katthe hai mhara chora or bahu..katthe gaya... najar hi koni aa rahe....

Aniruddh - babuji...atthe hai hum dono... atthe hai....

Kaka - beta ke hoya tu manne itti jaldi me kyu bulaya hai...

Aniruddh - wo babuji in maaji ko thare se milna hai...

Kaka - inko mhare se ke kaam hai beta...

Saurabh ki maa - wo bhaisahab aapke bete ne bataya ki Aapki tabiyat bahut kharab ho gai...lekin fir bhi aapne zidd karke isi ladki ko apne ghar ki bahu banaya....kya ye sach hai...

Kaka - arey bahan ji 100 takka sahi bolyo mharo beto...mnne hi to zidd kari thi ise mhare ghar ki bahu banan khatar...

Saurabh ki maa - lekin esa kyu.. bhaisahab....

Kaka - wo ke hai na bahan ji...ki mene bahut se log dekhe hai jo...esa karte hai ki aa to abhaagan hai...par mnne in sab baato me vishwas na hai...me to yahi Sochu ki agar koi mhari beti ke sath esa karega to mujhe bura lagega na...bahanji....

Saurabh ki maa - mujhse bahut badi galti ho gai(fut fut kar rote huye)....

Kaka - arey ke hua....bahanji the ese to kyu rahi ho....

Saurabh ki maa - kyunki mene bhi apni bahu ko isi liye thukra diya ki rasme shuru hote hi.....mere pati ko dil ka daura bad gaya or mene shadi ke liye mana kar diya...

Kaka - ye to thane bahut galat kiya bahanji....aaj koi thari beti ke sath esa karega to thare ko kesa lagega...

Saurabh ki maa - me abhi apni sampurna bahu se maafi mangungi....

Tabhi saurabh waha hospital me aa jata hai...

Saurabh - maa me ye sab kya sun raha hu...aapne mera or sampurna ka rishta cancel kar diya.. lekin aap ek baat sunlo maa agar meri shadi sampurna se nahi hui to kusi se bhi nahi hogi...me shadi hi nahi karunga...
(Saurabh sab kuchh gusse ke sath ek saans me bol deta hai)....

Saurabh ki maa - beta tu chinta mat kar...ab teri shadi sampurna se hi hogi... me abhi samdhan ji ko phone karti hu....

Saurabh ki maa Sumati maa ko phone karti hai or unse or sampurna se Maafi mangti hai....or haldi ki rasam puri karne ke liye kahti hai....fir Saurabh ki maa ko wo sab apna asli roop batate hai... saurabh ki maa thoda sa gussa aata hai...par fir wo bhi un sab logo ka shukriya karti hai... doctor Saurabh ke papa ko bhi chutti de dete hai kyunki unki tabiyat me sudhar aa jata hai... fir wo sab log khushi khushi ghar chake jate hai...or khushi khushi sampurna or Saurabh ki haldi ki rasam karte hai...

Sampurna - bondita am sorry tune sach hi kaha tha ki agar problem ka solution dhundhna chahe to jarur milta hai...thank you so much...

Bondita - tu pagal hai kya sampurna didi sorry or thank you apno ko nahi bola jata...

And they both hugged each other and they both are very happy😊😊....

(Hey my lovely readers Isme mene rajasthani or hindi ka mixup kiya hai I hope ki aapko ye samjh me bhi aaye or accha bhi lage kesa laga comments me jarur batana)

ANIDITA-the relation of heart ❤️Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ