🔥🔥🔥🔥

184 12 0
                                    

Mandir me bondita or Aadity jab sath sath hath jodte hai to pandit galat samjh leta hai.....
Pandit - bhagwan aap dono ki jodi aada banaye rakhe beta aap dono hamesha khush raho.....
Aniruddh (to himself) - ese kese pandit ji bol sakte hai ki inki jodi bani rahe Inki kon si shadi ho gai huuu 😏😏 ese hi nahi bolna chahie na pandit ji ko bura lagta hai bahut...
Bondita (in hasitation) - nahi pandit ji aap galat samjh rahe hai hum dono sirf dost hai...
Pandit - to koi baat nahi beta jodi ban jayegi aap dono ki aap dono bilkul jodi ki tarah lagte ho....
Aadity(in mind) - pandit ji aapke munh me ghee shakkar me to yahi chahta hun ki bondita meri dulhan banke mere ghar aaye
Par Bondita ko batane ki himmat hi nahi ho rahi or kahin Bondita kisi or se pyar karti hogi to nahi nahi esa nahi hona chahie bas....
Bondita - aadity ab tu kis soch me kho gaya chal ghar pe maa intezar kar rahi hogi...
Aadity - haa chal chal...
Wo dono jane lagte hai aniruddh bhi bondita ko kuchh bhi bol se dar raha hai isliye wo sirf unka picha kar raha hai tabhi aniruddh ek aadmi se takra jata hai or wo aadmi gir jata hai isliye Bondita us aadmi ko uthane ke liye piche ghumti hai tabhi use aniruddh dikh jata hai ......
Bondita - aniruddh aap yahan...
Aniruddh - haa wo me me wo wo me darshan karne aaya tha....
Bondita (in mind) - jarur aniruddh kuchh to chipa rahe hai pata karna padega par inhe kuchh nahi puchh sakti abhi...
Bondita - aniruddh isse miliye ye hai mera dost aadity......
Aniruddh - isne hi to sab kaam gadbad kar rakha hai 😏...
Bondita - kuchh kaha aapne aniruddh....
Aniruddh - nahi nahi me to kah raha tha ki accha laga inse milkar...
Aadity - bondita tumne bataya nahi ki ye kon hai.....
Bondita - ohho Bondita 🤦tu bhi na aadity ye mere boss hai mr.aniruddh roy Choudhury...
Aadi - accha nice to meet u aniruddh..
Aniruddh - par mujhe tumse milkar bilkul bhi accha nahi laga..
Aadi - kuchh kaha tumne aniruddh.. 
Aniruddh - nahi me kah raha tha ki mujhe bhi tumse milkar accha laga...
Bondita - thik hai aniruddh hum chalte hai byy..
Aniruddh - byy bondita....
Aadi - byy aniruddh...
Aniruddh - tumhe to good byy bolne ka man karta hai tumse dobara nahi milna chahta me...
Aadi - kuchh kaha tumne aniruddh...
Aniruddh - haa kaha na...
Aadi - kya??....
Aniruddh - yahi ki byy aadity tumne kuchh or suna kya???.....
Aadi - nahi mene yahi suna tha....
Bondita or aadity ghar ke liye nikal padte hai....
Aadity - ye tumhare boss ko koi problem hai kya bondita...
Bondita - nahi to kyu...
Aadi - nahi wo unka behaviour kuchh ajeeb tha....
Bondita - haa thoda ajeeb to tha par ese hi hoga chinta mat kar tu....
               In bondita's house 🏡
Sumati maa - aa gai bondita jaa jaldi se hath munh dhole me khana lagati hu....
Bondita - thik hai maaa..
Bondita (to herself) - kuchh to chal raha hai aniruddh ke dimag me pata karna padega ki aakhir baat kya hai ye sochkar bondita kisi ko telephone lagati hai...
Bondita - hello kon Saurabh.....
Saurabh - haa Saurabh hi hu aap kon??....
Bondita - me hun bondita .....
Saurabh - bondita tum kesi ho aaj office kyu nahi aai or or tumhari sampurna didi kesi hai...
Bondita - me thik hu wo mera dost aaya hua hai use Tulsipur ghuma hai isliye kuchh din office nahi aa paungi or sampurna didi bhi bilkul thik hai tum ye sab chodo or mujhe ek baat batao.....
Saurabh - haa pucho na kya baat hai....
Bondita - wo aniruddh ko kuchh hua hai kya?....
Saurabh - nahi to kyu kya hua.....
Bondita - nahi wo aaj jab me aadity ke sath mandir gai to aniruddh hamara picha kar rahe the or jab mene pucha to kah rahe the ki  darshan ke liye aaya hu jabki darshan hi nahi kiye unhone mene dekha tha wo bas chhup rahe the sabse isiliye puchh rahi hu tum se.....
Saurabh - wo shayad aniruddh ko tumse pyar ho gaya hai....
Bondita - kya tumhe kese pata.....
Saurabh - kyunki aaj wo mujhse puchh rahe the ki koi ladki kisi ladke se mile or hume bura lage to uska matlab kya hota hai or tum kah rahi ho ki wo tumhara picha kar raha tha to mujhe lagta hai ki use tumse pyar ho gaya hai...
Bondita - kya mujhse pyar ho gaya hain.....
Ye baat Bondita ke kamre ke pass se nikalta hua aadi sun leta hai....
Aadi - kisko tujhse pyar ho gaya hai bondita.....
Bondita - wo Saurabh kah raha tha ki aniruddh ko mujhse pyar ho gaya hai.....
Aadi - kya??..
Bondita - haa tabhi wo hamara picha kar rahe the...
Aadi - oo to tera kya khyal hai tujhe lagta hai kya ki tu bhi aniruddh se pyar karti hai.....
Bondita - pata nahi aadity mujhe aniruddh ke sath rahna accha lagta hai aniruddh ki baate sunna accha lagta hai aniruddh se baate karna accha lagta hai or jab me aniruddh se gale mili thi ek baar to meri heartbeat bhi fast ho gai thi ab ye pyar hai ya kuchh or wo mujhe nahi pata....
Aadity - Ohoo buddhu bondita 🤦 ise hi to pyar kahte hai......
(Aadity ek esa aashiq hai jo bondita ki khushi ke liye apna pyar kurban kar sakta hai )
Bondita - kya sach me ise pyar kahte hai or kya sach me mujhe aniruddh se pyar ho gaya hai.....
Aadi - haa bondita haa tujhe aniruddh se pyar ho gaya hai jald se jald aniruddh se karde apne pyar ka izhaar....
Bondita - me nahi karungi pyar ka izhaar aniruddh khud kare mujhse pyar ka izhaar esa kuchh karna hoga...
Bondita - to soch na tu me bhi kuchh sochti hu..
Aadi - tu soch kuchh me 5 min. Me aata hoo......
Bondita - kahan ja raha hai....
Aadi - bas aaya 5 min.me.....
Bondita - thik hai jaldi aana.....
Fir aadity apne room me jake khud ko band kar leta hai or jee bhar ke rota hai....
Aadity - me tera dost hokar kyu nahi samajh paya bondita ki tu mujhse nahi kisi or se pyar karti hai par koi baat nahi me bondita ko uska pyar dilane me puri madad karunga or tujhe tera pyar dilakar hi rahunga bondita teri khushi me hi meri khushi hai tabhi uske darwaje par bondita aa jati hai.....
Bondita - kya hua aadity sab thik to hai naa......
Aadity - ha sab thik hai bondita....
Bondita - to darwaja to khol taki me andar aau....
Aadity - haa kholta hu... 
Fir aadity apni aankhe saaf karke aata hai or darwaja khol deta hai....
Bondita - kuchh socha kya tune .....
Aadi - nahi mera to dimag hi nahi chal raha tune kuchh socha hai kya......
Bondita - socha to hai.....
Aadi - kya........
Bondita - usko apna plan sunati hai......
Aadi - ye to bahut accha idea hai bondita pakka ye idea kaam karega.....

ANIDITA-the relation of heart ❤️Where stories live. Discover now