Binoy stopped abruptly when Aniruddha shouted in between "Baba! Kya kuch bhi bol rhe hai aap. Aapko pata hai na maa ko ye sab bilkul accha nhi lagega. Aap ki jaan bohot keemti hai. Aise aap keval apne aap ko nhi balki apne aas pas ke logo ko bhi dard de rahe hai." By the end Aniruddha's eyes had tears very well understanding why such a song was being played and Binoy mirrored the same. 

Binoy giving a small smile said "Maa ke paas jaldi jaana hai mujhe isliye aisa karta hu. Mere dard se sabko dard hoga par tumhari maa ne jo umra bhar ka dard diya uska kya? Beech raaste me sath chodd diya uska kya? Vaada kiya tha usne ki har sukh dukh me sath rahegi, shaadi ke samay phere liye the mere saath, dil se apnaya tha na is rishte ko to kis haq se chali gyi mujhe akela chodd ke? Rishta to dono ka tha na, to fir akele usko chodne ka faisla aise kaise le liya usne?"

Binoy was missing his Chadralekha too much today. He missed her at every step. Beginning it from Bondita's ordeal to her calling him baba to his very dear son Aniruddha being a pain. He desperately wanted to share his both sorrow and happiness with her, but she was nowhere to be seen or heard. 

"Baba mujhe nhi pata tha aap maa ko itna yaad karte hai ya fir aapke man me itna sab kuch hai. Aapne ye saari baatein kabhi hamse kyu nhi ki?" Aniruddha asked warmly. This side was new for him. He always considered Binoy Roy Chaudhary to be a stoic zamindar

"Tum teeno ne apni maa ko khoya tha. Uske upar tumhare baba bhi apni dikkaton ka bojh leke tumhare paas aate to ye to galat hota na. Upar se itne chote the tum teeno. Sahi aur galat ki kya hi samajh thi. Tum teeno ko apne aap se bachane ke chakkar me kab tum teeno se itna door ho gya pata hi nhi chala." Binoy replied with a sad smile and eyes still held high, searching for something in the sky. 

Binoy with a satisfied smile found what he was looking for. "Vo dekh rahe ho? Dhruv taara hai vo." Binoy said with his finger pointing towards that direction. "Chandralekha ke jaane ke baad hamesh us dhruv taara ne meri madad ki hai. Mere har sahi, mere har galat me vo mere saath raha hai. Kabhi kabhi to lagta hai shayad vahi hai tumhari maa. Maano saath na ho kar bhi saath hai. Door hokar bhi apna vaada nibha rhi hai."

Binoy looked his eyes in the son without any worry of tears now trailing down and making his way down the cheeks. "Zindagi me jitna mahatva ek parivaar ka, mata-pita ka, behen-bhai ka, dosto ka, vidya ka, kaam ka, icchao ka hota hai na, usse kai zyada mahatva ek jeevan saathi ka hota hai. Aur tumhe pata hai sabke naseeb me ye sukh nhi hota. Kehne ko to shaadi ho jati hai, bacche ho jate hai, grihsti jaise taise chal deti hai par vo anubhav nhi milta sabko. Aur vo sabke paas hota nhi isliye uska swaad sabko pata nhi. Kisi ko milta hai to vo use le leta hai, koi thukra deta hai, kisi ko kabhi milta hi nhi hai, aur koi to itne kismat waale hote hai ki 2 baar uska anand uthane ka muka milta hai."

Binoy laughed heartily looking at Aniruddha's face. A big question could be clearly seen on his face. God! His son might be rebellious, ambitious, arrogant, impulsive or stubborn but he was still that same innocent Gopal. He still had the same sparkling eyes and the same habit of biting his inner cheeks whenever confused or in worry. 

"Accha ek baat batao. Kya ye jo Aniruddha Roy Chaudhary hai sabke sath ek samaan hai? Matlab kya tum apne kaka, baba, batuk, somnath, apne dosto, apne karya sthal ke logo ya jinse bhi milte ho ek jaise hi rehte ho?" Binoy asked. 

"Nhi baba. Ghar walo ke sath alag sambandh hota hai aur bahar walo ke sath alag." Aniruddha replied still unknown to where this conversation was heading to. 

"Haa vo to hai par ghar me bhi kaka aur mere prati tumhare andar aadar hai. Da ko tum mujhse zyada maante ho kyunki bachpan se maa ke baad unhone hi tumhe sambhala hai. Batuk aur Somnath ke liye tumhare andar pyaar hai aur ek zimmedari ki bhavna hai. Batuk sabse chota hai to uske saath tum ek dost ki tarah khelte bhi ho. Bihari ke sath mazaak masti ka rishta hai. Apne dosto ke sath ek alag anubhav hai tumhara. Usi prakaar kaam karte samay tum ekdum lakshya ke taraf samarpit rehte ho isliye logo ke liye bhagwaan se kam nhi ho. Jo log galat karte hai unke taraf tumhara gussa bhi utna hi bhayankar hai. Ek hi Aniruddha ke kitne roop hai!"

Love is just like the SunWhere stories live. Discover now