Part 4

10.6K 823 98
                                    

"Azaan bhai Saqib bhai aaplog kahaan jaa rahe hain" Laiba frowned seeing Azaan and Sqib come in the hall with a bag pack.

"Tere sath"

"Lekin mai toh Ruhaan bhai ke sath jaa rahi hun"

"He is not enough..we will also come"

"Aap sab ghar me bore ho rahe hain exams ke baad toh mere peeche pad gaye"

"Haan trip ki trip ... aur teri hifazat ki hifazat"

"Dadajaan...dekhein inhe"

"Acha hai na Lolo....enjoy karna bhaiyon ke sath" Ibrahim smiled but got a frown in return "Aap ne hi kaha hai na inse"

"Ummmm" Ibrahim was thinking of an excuse when another voice disturbed them

"Hey guys I am ready"

"Ab aap kahaan jaa rahe hain"

"Tumhare sath" Rayyan shrugged

"Interns mujhe plan se hi bahar nikaal denge....."

"Aise kaise nikaal denge....aur waise bhi hum apne khaane peene ka intzaam khud kar rahe hain...dekha nahin ye bag .. it is packed with every meal....tumlogon ka khaana agar khatam ho jaaye to loan par le lena" Rayyan smirked

"Theek hai chalein lekin koi bhi flirtbaazi nahin chalegi" Laiba kept a condition

"Phir mai dadajaan ki bahu kaise dhundunga" Ruhaan faked hurt only to get a smack from Ibrahim.

"Ouch....Dadajaan haath abhi bhi kadak hai"

Basheer came and placed a few notes in everybody's hands...."Rayyan ye card bhi rakh lo....raste me agar ATM ho aur zarurat ho toh .. udhar zyadatar cash hi chalta hai"

"Card mujhe dein" Laiba tried to snatch the card

"Haan taki mujhe apna card daswi baar block karwana pade" Basheer glared

"Is baar nahin gumaungi...please"

"Mai thode aur cash de de raha hun lekin card Rayyan ko rakhne do"

"Koi zarurat nahin hai..mai Abbu se le lungi"

"Mera toh card hi expire ho gaya beta..." Shakeel made a sorry face and Laiba turned to Dadajaan who was ready to take the risk but Meher came and stopped "Abbu koi zarurat nahin hai...saari zid poori nahin hogi iski"

"Mama bas dabdaba banaane ke liye....chhoti malkin hun mai" Laiba pouted but seeing her Mama's famous glare forgot everything "K..koi bat nahin Malkin abhi chhoti hai .. hum chalte hain"

She wore her bagpack and got up

"Aur zyaada idhar udhar jaane ki zarurat nahin hai......jungle area se bilkul door rehna" Meher warned

"Mai koi jaanwar thode hi hun Mama"

"Yaad rakhna ye baat aur jungle me mat jaana" Meher said and waved at her

"Sab dhyaan se jaana " Ibrahim smiled at them and turned to Basheer "Ek gaadi bodyguards ki bhejo inke peeche"

"Maine pehle hi follow karne ko keh diya hai" Basheer was already prepared

===================

"Aur Murad Noorie ke le kar nahin aaye" Ruhaan wiggled his eyebrows inside the bus

"Oh please...she is just my neighbour"

"Jisse tum beintehaan mohabbat karte ho"

"Lolo .. " Murad complained

DIL SEWhere stories live. Discover now