Chapter 19

1.1K 47 1
                                    

Day 2

At 10am

Both wake up, Kartik hepls Naira freshen up & then he goes for a shower. Naira was lying on the bed using her phone when Kartik comes out of the bathroom. Naira looks at Kartik and utters

N to K: Kartik tumhe 2-3 baar kisika call aaya tha. Koi set pe se call kar raha he tumhe. Dekh lo

Kartik grabs his phone, looks at the missed calls, messages someone and puts aside his phone. He then comes & sits beside Naira putting his arm around her.

K to N: Toh aaj madam ka kya karne ka mood he?
N: Matlab? Tum set par nai jaa rahe kya?
K: Nai, mene mana kar diya. Tumhe aise chod ke kaise jaa sakta hu me!
N: Kartik me theek hu, tum kab tak aise kaam skip karte rahoge! Tum jao, ghar par Tai bhi hogi na pure din aur agar kuch bhi hoga toh me pakka tumhe phone karungi..
K: Nai Naira, me kahin bhi nai jaa raha, yaha par hi hu tumhare sath.
N in a slightly irritated tone: Kartik tum jaa rahe ho! Mene kaha na bas.
K: Nai! Aur tum irritate kyu ho rahi ho. Mujhe rehna he gharpe, mera ghar he!
N *irritated* : Kartikkkk

Naira hits Kartik with a pillow.

K: Acha sorry sorry. Irritate mat ho! Tumhe waise bhi rest karna he! Doctor ne kaha he bilkul bhi stress nai lene ko!
N: Tum stress de rahe ho mujhe! Niklo yaha se. Mere room se jao bahar tum...
K: Ye mera bhi room he. Anyways me bahar hi jaa raha tha tumhare liye breakfast lane! Tum wait karo aur tab tak vo side table pe se juice pee lo aur apne aap ko thoda shant karo.
N: Tum jao!
K *pointing towards the glass*: Haa par vo juice.

Naira picks up the glass from the side table and fake smiles at Kartik. Kartik goes out of the room to get breakfast.

Naira *to herself*: Agar aise hi Kartik ghar par raha toh vo mujhe pagal karke hi chodega! Pura din peeche laga rahega.
*Naira imitates Kartik*
N: Naira juice pee lo, Naira fruits, Naira medicines...blah blah blah...

Naira thinks: Naira kuch bhi karke Kartik ko convince karna padega set pe jaane ke liye! Aise vo roz roz kaam nai miss kar sakta!

Just then, Kartik enters with breakfast tray in his hands.

K: Naira tum bina complaint kiye ye breakfast khane wali ho..Aur me kuch sun ne nai wala..
N: Ha theek he par ek shart par..
K: Kaisi shart?
N: Tum apne set par jaoge aur apna kaam karoge..aise meri wajah se tumhe apna kaam miss karna padega toh mujhe bilkul acha nai lagega.
K: Par Naira me koi tumhare wajah se kaam nai miss kar raha, mujhe acha lagta he tumhare sath rehna, tumhare sath time spend karna, tumhari care karna....
N: Vo mujhe pata he, par baki ki care tum raat ko aake kar lena..abhi hum sath me ye breakfast karenge aur fir tum ready hoke set par jaaoge..
K: Par Nai...
N interupts: Bas chup...aur kuch nai sun na mujhe... yehi final he...tum abhi call karke boldo ki tum aaoge..late hi sahi par aajse no leave. Aur haa waise bhi me nai chahti ki vo tumhari set ki maharani tumhe koi bhi taunt kare..usko toh bas aur ek chance mil jayega...
K interupts*facepalm*: Haa theek he theek he, me chala jaunga par tum mujhe ek promise karo...ki tum pura rest karogi, aur kuch bhi hoga ya kuch bhi chahiye tumhe ya zyada pain hua toh tum directly mujhe call karogi..
N: Ye ek promise he?...itna bada list bana diya...
K: Haa aur ek baat tum Tai ko zyada pareshan mat karna..sab time pe kha lena, khana, juice, medicine...
N: Haa vo sab kar lungi pehle hum breakfast karle..
K: Haa theek he

Kartik comes and sits next to Naira on the bed & they have their breakfast.

At 11:30am
Kaira room

Kartik is ready to leave.

K: Bye Naira..Take care
N: Bye..Love you
K: Love you too

Kartik kisses Naira's forehead and leaves the room.
Kartik goes to the kitchen. Tai is working in the kitchen.
K to Tai: Tai aap please Naira ka bohot ache se dhyaan rakhna. Aapko pata he na vo kitni careless he...
Tai: Aap bilkul tension mat lena bhaiya me didi ka ache se khyaal rakhungi.
K: Aur kuch bhi ho, kuch bhi toh aap directly mujhe call karegi..
Tai: ji bhaiya..bilkul
K: Aapko aaj ka menu pata he na Naira ka..vo thoda natak karegi khane me par please usko wohi khana he..aur medicine ka bhi mene aapko explain kiya tha..yaad he na aapko..
Tai: Haa..yaad he mujhe...aap bilkul tension mat lijiye bhaiya
K: Thank you.

Kartik leaves for work.

At 1:30pm
Kaira room

Naira is sitting on the bed and watching T.V. Tai knocks on the door.

N: Aa jaiye Tai
Tai: Didi aapka lunch aur ye khane ke baad wali medicine.
N: Thank you, yaha table pe rakh dijiye, me kha lungi..

Tai keeps the tray and leaves the room.
Naira eats the lunch but doesn't eat the medicine.

At 2:30pm

Tai knocks and enters the room.

Tai: Didi khana khaya aapne?
N: Ji Tai, aap ye plates le jaiye..
Tai: Didi aapne medicine nai liye
N: Tai aap abhi leke jaiye, me baad me le lungi

Tai knew that Naira doesn't like popping medicines so she insisted.

Tai: Nai didi, bhaiya ne kaha he aapko lunch ke baad directly ye medicines khane he..
N: Me baad me kha lungi..abhi mera mann nai he..Kartik ko me dekh lungi..
Tai: Par didi..
N interupts: Tai aap jaiye aur apna baki ka kaam khatam kijiye. Aur haa me abhi ye movie dekh rahi hu.. toh ab aap mujhe disturb mat karna...

Tai leaves.

At 3pm

In the kitchen, Tai calls Kartik.

On call

K: Ji didi
Tai: Bhaiya vo didi apni medicine nai le rahi he. Mene unko kaha lunch ke baad directly leni he par ab tak unhone nai li...
K: Theek he me dekhta hu..thank you...aur aap 15min ke baad uske room me jaake medicine de dena vo tabhi kha legi...
Tai: Okay
K: Bye..
Tai: Bhaiya ek baat puchni thi...
K: Haa?
Tai: Vo me aapki room clean kar rahi thi tabhi mujhe bed ke neeche ek bowl mila...usme kal ka khana tha...aapne rakha tha kya?

Crash & CareWhere stories live. Discover now