Me kahi bich mai atki hu

41 0 0
                                    

Na mujhe kuch mila h na maine kuch khoya h,
Me kahi bich mai atki hu,
Na rona hai na hasna h,
Me kahi bich mai at ki hu,
Na nind aayi hisse mai hai na chain aaya hai,
Me kahi bich mai atki hu,
Na sapne h na hi koi hakikat hai,
Me kahi bich mai atki hu,
Na zeb h meri puri bhari aur na hi puri Khali h,
Me kahi bich mai atki hu,
Na rahe ab mujh mai wo sab zazbat hai, na hi ban paya mera dil ab tak zallad hai,
Me kahi bich mai at ki hu,
Na ho saki khushi aur khwabo se mulakat h na dua mangne jaise ab mere halat h,
Me kahi bich mai atki hu,
Na soch h na hi dunia ka ab koi hosh hai,
Me kahi bich mai atki hu,
Na zinda bacha insaan h,
Na pura ab tak khud ko maar paya h,
Wo bhi kahi bich mai at ka hua h,
Waise hi Jaise me kahi bich mai at ki hu....

PoetryWhere stories live. Discover now