samandar

81 2 2
                                    

Samandar kitna hi khubsoorat ho,
Darata ho,
Hume har pal ehsas dilata ho,
Kitna gehra hai wo, 
Kitna bhayanak hai wo,
Chikhta hua gawahi deta ho khud mai basi khamoshi ka, 
Par aaj wo kuch kehna chahta hai aaj ushe kehne do,

Gehra hu toh kya hua jitna gehra Utni hi pyaas bhuja paunga,
Jarurato ko pura kar paunga,
Dar ka mukhauta pehnkar jarurato ko pura karne ka daam rakhta hu me,
Mujh mai uthe tufhan ka karan bhi tum ho,
Toh mere maile hone ka bhi,
Mere khaufhnak hone ka bhi,
Mere astitva ke khatam hone ka bhi,
Shikayat bhi karu toh kiske,
Akhir sunega kon,
Mere liye koi kuch karega kon,
Zindagi  thik se chalane ki aarzu tumhe hai,
Par ushe chalata me hu,
Hasee ho ya gam dono mujhi se pure hote h,
Bas jyada nahi mang raha  mujhe meri zindagi dedo,
Pal pal khatam ho rahi zindagi mai thodha sa chain de do,
Mere astitva ko fhir se apna rup lene do,
Shikayato ka pulunda nahi mujhe bas shukriya keh do,

PoetryWhere stories live. Discover now