Chpater 38| A Whole New World 🦋

3.9K 238 537
                                    

THE real challenge is to love the good and the bad together, not because you need to take the rough with the smooth but because you need to go beyond such descriptions, and accept love in its entirety

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

THE real challenge is to love the good and the bad together, not because you need to take the rough with the smooth but because you need to go beyond such descriptions, and accept love in its entirety.

Each true love and friendship is a story of unexpected transformations. If we are the same person before and after we loved, that means we haven't loved enough.

~anonymous

6 years later

Wohi jumla jo mein zindagi kay baarein mein hamesha se bolti hun. zindagi ajeeb hai, apni ravish pe chalti aur apne saath sb ko liye chalti. Mushkilo kay saath asaaniya hain aur ghm kay baad khushiyaa bhi. Waqt ek sa na bhi rahey mgr muhabbat krne waley saath hon toh bura waqt burri yaad nai bnta.

Kbhi kbhi ek lamhey mein zindagi badal jaati hai aur kbhi saal ha saal kuch lamho mein tehr jaatey hain.

6 saal baad zindagi badli thi, utaar charhao bhi thai mgr yeh chaar ek ghr ki mazboot dewaarei bn chukey thai. Jis ghr ka naam muhabbat tha. 6 saal mazeed beet gye aur aisa lgta hai kay kal ki baat hai kay chaaro miley thai.

Insaan ajeeb hai. kbhi kbhi woi ehsaas aur jazbaat jo zakhmi kr dete hain woh khushi bhi bn jaatey hain. Waqt aur kismet kay khayl hain saarey.......

"Sir yeh 34 case ki file hai. aur finally aaj kay din ki last file."

Ahmad ne muskurate huey siyah file boss chair par baithey shakhs ki trf barha di. Shakal par mehnat aur thakwat thi. Safaid shirt ko kohneyo tk fold kr rakha tha. Coat apni kursi ko pehna rakha tha. ek haath mein pen pakrey who file kay saffey palat kar check krne mein masroof tha.

"sir 2 din ho gye hain. Aaj maam mera sarr phaar dein gi. Unko lgta hai mein apko roz naye naye case la kar deta hun !"

thakwat zada chehrey par poorey din kay baad muskurahat dorrh gyi thi.

Bs zindagi mein kuch zikr aisey hotay jinpe ap ka dil khud ba khud muskura uthta hai.

"Friday at sharp 10 Ahmad! Prosecution kay baaqi lawyers ready hain? This is an important chance!"

"Everything is ready Sir! Aap fikr na karein . pr apko rest ki zrurat hai. 2 din se aap ko ghr waloun ne nai daikha!"

Wohi chehra ab teekhi mazro se ussey daikhnay laga tha.

"Mera assistant hai ya meri biwi ka?"

Wo sar khujaata sharminda sa hass parra.

"file achi tyaar ki hai. see you all on Friday Inn Shaa Allah!"

woh uth kar kursi par parra apna coat utaar kar seedhay baazu pe rakhta, wallet aur chaabi utha raha tha.

Ahmad sar kham krta uskay peechey peechey office se bahir nikal aya. Baaqi ka sb staff ja chukka tha.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now