Chapter 23| Bin Roye

Start from the beginning
                                    

"Aap soye kyoun nahi?"

Safoorah unka lihaaf seedha karti puch rahi thi. Par woh baijaan jism sirf aankhain jhapak kar reh gye. Aurangzeb dhaai saal se partial paralysis ka shikaar ho chukey thai. Doctors ne taqreebn jawaab de dia tha. Ruhaan ki maut ki khabar buht koshish kay bawjood bhi kuch din mein un tak puhnch gyi thi. Unko severe attack hua tha jiskay baad Safoorah ki duao se Allah ne unhey saansein baksh di thi lekin jismaani quwat nai. Doctors kehtey hain kay Aurangzeb apni poorani halat mein a bhi saktey hain air nahi bhi. Lekin na aaney kay amkaan 90 feesad hain aur 10 feesad maujzey kay.

Unka kamra ek chota hospital lgta tha jaahan unki zrurat ki hr cheez thi. Subah male nurse ata tha aur raat ko chala jata. Raat saari Wajid Shah unkay paas sotay aur unka khyaal rakhtey thai.

Phuphoo ne ghrdari aur mulaazim smbhaal rakhey thai. Wajid Shah Safoorah ki madad kia kartey thai lekin woh unhey ziada takleef na karney se hamesha mana kar deti thi.

"Mein smbhaal lun gi chotey abba! Aap bas baba kay saath raha karein. Woh apko hr waqt yaad krtey hain!"

Safoorah muskura kar kaha krti thi.

"Aur mere saamney woh tumhey, Zaira aur Ruhaan ko yaad krtey hain bchey!"
Woh bhi baichaargi se btaya kartey thai.

" Safoorah beta! Tum ne kyoun takleef ki? Mein uth gya tha!"

Wajid Shah bathroom se nikley thai aur Safoorah ko Aurangzeb Shah kay paas baitha daikh kar narmi se keh rahey thai.

" Mein wese bhi toh roz iss waqt uth jati hun chotey abba! Phir mujhe abba ko medicine khud dena acha lgta hai. Phir inki medicines check kar kay bhi tassali krti rehti hun theik le rahey hain na. Kyoun kay doctors kehtey hain inhey pichli medicines suit nahi ki thi!"

Safoorah Aurangzeb ko baithney mein madad de rahi thi.

"Jaanta hun bchey. Tum fiqr na karo. Kal hi woh nurse test bhi le kr gya hai inkay. Report ajaye gi parso tak!"

Wajid shah bhi Aurangzeb ko bithaney mein saath lg gye.

"Woh to theik hai chotey abba! Lekin abba mein pichley 2 saal se koi behtari nai hai. Doctors to seedha jawaab detey hain. Mein chahti hun abba ko America le jaoun. Baahir achey doctors hain, acha set up hai, koi to hal ho ga. Phir humarey family doctor ne bhi to humey America kay doctor kay paas refer kia hai!"

Safoorah medicine ab unko khilati, paani pila rahi thi.

"Mujhe koi aitaraaz nai hai bchey. Lekin tum hi nai maanti. Yeh sb kaam zameenay mein daikh lun ga!"
Woh sanjeeda mashwra de rahey thai.

"Chotey abba akele smbhaalna buht mushkil ho jaye ga apkay lye. Faheem bhi nai hai. Mein aur aap hi hain. Zaira accounts daikhti hai. Agr hum bhi chaley gye to kia ho ga. Aagey hi buht loss hua hai. Ab ja kay kuch behtari ayi hai bussiness mein!"

Aur Wajid Shah ne neem zard roshni mein Safoorah Aurangzeb ko ghaur se daikha aur jese unka dil ko takleef si mehsoos hui thi. Yeh? Yeh wohi larki hai jiskay chehrey se shrart aur muskurahat jaaney ka naam nai leti thi? Uski aankho kay gird halkey bhoorey halkey parr chukey thai.

Woh 3 saal mein waziya kamzor ho chuki thi. Goh kay woh utni hi haseen thi lekin inn teen saalo ne uss par kis Khoobsurati se sitam kiye thai. Baal barh kar kamr ko chootey thai aur jild safaid roi jesi narm thi. 28 saal ki iss khoobsurat larki kay chehrey par ab sanjeedgi ya halki si muskurahat rehti thi. Woh ab buht saada kaprey zaybtan karti thi aur sar par dupatta orhti thi.

Abhi bhi neelay rang ki shalwaar qameez pehney thi aur ajeeb vairaan aankho se wajid shah ko daikh rahi thi.

"Tum buht bahadur ho Safoorah. Jaanti ho na?"

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now