Chapter 19| Dhalti Shaamein

4K 305 549
                                    


[3 months later ]

Last Day of summer vacations

"Ek to mujhe samajh nai aati jb Ru sath chaltey hain aap itni dair lgaati ho tyaar honay mein aur jb sirf hum teen ghoomnay jaatey hain to aap ka bss chaley toh sleeping suit mein hi chal paro!"

Zaira deewaar par lagi ghari ko daikhtey thak kar boli thi.

"Ziada baatein na kar! Aisa kuch nai hai. Ussey public mein meri buht casual dressing pasand nai hai. Isi lye!"

"Wese hayrrat hai dono America ki paidaish hain lekin inki pasand Pakistani hai. "

"Nahi. Woho dono kisi mulk ki nai apna Daada aur Daadi ki parvarish hain. Rivayatein to na poori humarey mulk ki achi hain aur na America ki!"

"Yeh daikho? " Zaira hath jorr kay boli thi.

"Aarish buht comfortable hai. Ruhaan bhaai ko to bs aap hi smbhaal skti hain!"

"Acha? Yeh Aarish kay sath ap itni comfortable kb hui?" Safoorah baal brush krti murri thi.

"Pata nai!" Zaira sanjeeda hui thi.

"Zarri! Mere bachey! Tu ussey pasand krti hai. Shayad muhabat bhi krti hai. Hai na?" Safoorah paas a baithi thi.

"Pata nai !" Zaira Safoorah ko nai daikh rahi thi.

"Insaan ko sb kuch pata hota hai woh maaney na to alag baat hai. Aarish buht acha larka hai Zaira. Han pehle mein uski flirting se thori insecure thi tere lye lekin uss din kay baad se nai hun!" Safoorah ne muskura kar kaha.

"Kis din?" Zaira jaanti thi.

"Tha ek din! Khair mein abba se baat karun gi!" Safoorah ne uth kay bag aur chaabi thaami.

"Nai nai nai Fia Khuda ka waasta hai nai. Humari zindagi ka ek saal mazeed idhr guzarna azaab kar de ga faheem!" Zaira pareshaan si foran uthi thi.

"To kb tak darna hai zaira!"

"Filhaal haal ko jeena chahti hun Fia. Ap bhi to yahi kehti hain. Ek saal baad daikhain gai kia karna hai!"

Safoorah baibass sa sar hila kar baahir jaaney lgi thi kay Zaira ne raasta roka.

"Aur Maa Shaa Allah se Ruhaan bhai kay baarey mein khyaal hai?" Uskay chehrey par shraart thi.

"Kia karna hai?" Safoorah ko samjh nai ayi thi.

"Kb kar rahi hai unse apna izhaar e muhabat?" Zaira ne hath baandhey thai.

"Paagal hai tu?" Safoorah ne ussey samney se hattaney ki koshish ki thi.

"Fiaa? Zindagi sb ko bar bar mauka nai daiti. Aap khushkismat hain kyoun kay jiss se apko muhabat hui hai, aap uski biwi hain. Apko duniya se nai bss khud se aur unse sach bolna hai!"

Zaira puraitmaad si uskay baazu thaamey ussey samjha rahi thi. Safoorah pheeka sa muskurayi thi.

"Duniya se sach bolna asaan hai Zaira par khud se nai. Aur agr ek lamhey kay lye Mein khud se sach bol bhi lun toh uss sey sach kese bolun?" Safoorah pursukoon thi.

"Jis Safoorah Aurangzeb ko mein jaanti hun woh zindagi kay har masley se aankh mila kar uska saamna karti hai. Woh tootney nai torrney walo mein se hai. Ruhaan bhai pathar hain to kia hua. Mein jaanti meri behn iss chattan mein draar daal chuki hai !" Zaira muskura rahi thi.

"Konsa novel parha hai Zaira?" Safoorah usko saamney se htaati darwazay se baahir nikal gyi thi. Woh bhi baahir a chuki thi.

"Ek din aap khud samjh jaayein gi kay yeh novel nai apki apni real love story hai!"
Zaira aankhai matkaati seeriyaan uttar gyi thi aur Safoorah lock lock krtey krtey hans di thi.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now