Chapter 19| Dhalti Shaamein

Start from the beginning
                                    

________________________________

Gaari park kar kay woh chaaro walk kar rahey thai. Lake, yahan se kuch meter kay faasley par thi aur aagey sath hi restaurant. Subah kay 11 baj rahey thai. Yeh mausam halki garmi aur phoolo ka mausam maloom hota tha. Hawa se ird gird kay darakht jhool rahey thai aur un kay beech se aati dhoop buht khoobsurat lg rahi thi.

"Tum chup ho!" Ruhaan jaibo mein hath daaley ahista ahista uskay sath chal raha tha.

"Nahi to!" Safoorah ne yakdm ussey daikha.

"Puch nai raha bta raha hun. Tum chup ho! Ab puchne laga hun kyoun ho?"

Ruhaan saamney daikh raha tha.

"Sb kuch pehle se pata hota hai apko to yeh bhi aap hi bta dein vakeel sahab!"

Safoorah ne ussey chirraya tha.

"Tum pareshaan nai khush aur khamosh lg rahi ho. Aur aisey tassurrat amomn aashiqo kay hotay hain!" Ruhaan kay chehrey par muskurahat ek baar phir numaaya hui thi.

"Tumhey kaafi experience lgta hai?" Safoorah ne nazrein teekhi ki thi.

"Yeh faaltu kaamo mein mera experience nai hai albata ek baar tum ne hi apni artistic philosophy mein btaya tha!" Ruhaan ne ussey daikha tha.

"Tumhey meri baatein yaad rehti hain?" Safoorah ki awaaz mein badlaao tha.

"Bilkul nahi!"

Woh ussey daikh kar na chahtey huey bhi muskura di thi. Yeh shakhs paagal hai aur apney se jurrey har insaan ko paagal kr deta hai.

"Aaj last adventure hai!" Aarish kuch udaas tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Aaj last adventure hai!" Aarish kuch udaas tha.

"Allah na karey! " Zaira Pareshaan hui thi.

"Iska mtlb nai hai?" Aarish ki aankhain chamki thi.

"Mera mtlb hai. Agli summer vacations mein hum to yahi hon gai na. I know tumhari aur Ru ki degree hum se pehle khatam ho gi. Lekin raho gai to idhr hi na!"

Zaira ne hichkichatey muskuratey kaha tha.

"Haan Lekin waqt ajeeb hai. Kbhi itna khush kr deta hai aur kbhi itna udaas!" Aarish ussey musalsal daikh raha tha.

"Yeh ajkal tum pe kuch ajeeb phases nai arhey?" Zaira ne mood badalney ki koshish ki thi.

"Woh islye kyoun kay humari jgah shayd exchange ho gyi hain. Tum ne mujh jese talented insaan se khush rehna seekha hai lekin me ne tum se udaas rehna seekh lia hai!" Aarish draamayi andaaz mein aansu saaf krney ki acting kr raha tha.

"Ab to udaas nai rehti mein!" Zaira hansi thi.

"Jaanta hun!" Aarish ussey daikh kar mashoor sa muskuraya tha.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now