Chapter 10| Parwaaz e Nahumwaar

Start from the beginning
                                    

"Betey pehle ek minute saans le lo!"
Woh waqqi ek saans mein sab bol gyi thi.

"Oops Sorry!" Woh sharminda si hansi thi.

"Ghr kesa hai?"

"Ghar? O my God baba! Yeh to mansion hai. Yeh kaha se flat hai. Humari haveli se thori si choti ho gi bas. Glass doors hain. Neechey wala ghr alag lagta hai aur opr wala alag. Dono ki parking aur entrance bhi different hain. It's such a unique construction. Zaira tb se pictures le rahi hai aur mein uski har picture kharab kar rahi hun!"
Aurangzeb Sahab apni beti ki khushi daikh kar khush to huey thai par mutmayeen nai.

"Achi baat hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Achi baat hai. Caretaker se meri baat hui thi aaj subah? Ghr tumharey mutabiq hai na?"

"Best hai baba. She's very sweet. Woh Christian hai. Unki ek chotu si, cute si baiti bhi hai. Woh humarey sath hi rahein gi. Baba yhaan sb apko aur Zafar uncle ko jaantey hain. Apne kabhi humey btaya hi nahi !"
Safoorah Aurangzeb aisi hi thi. Jb Khush hoti thi to dil khol kar har cheez ka izhaar kar daalti thi.

"Achi baat hai na!" Aurangzeb har baat ka khamosh sa jawaab de rahey thai.

"Baba kia hua hai sab theik hai? Ap itney chup kyoun hai? Ghr mein sb theik hai?"

"Sab theik hai puttar! Neechey walo se mili nai tum?" Woh muhtaat sa puch rahey thai.

"Waha to koi nai rehta baba! Andhera tha. na koi car. Full blinds. Neechey wala ghar to horror house lgta hai. Acha yeh lein Zaira se baat karein kb se mere baal noch rahi hai. "

"Astaghfirullah baba yeh jhoot bol rahein hain. Mein apko billi lgti hun?"

"Han to aur kia. Meri maano billi."

"Ahhh mujhe billi achi ni lgti please mujhe billi mt bola karein."

"Assalam'uAlaikum baba!"

Zaira aur Safoorah ko aisey daikh kar Aurangzeb Shah waqqi muskuraye thai. Inki betiyaan masoom thei. har jga dil lga lene wali Allah ki pyaari si makhlooq.

Woh inhey kitna yaad kar rahey hain yeh to shayad hi bta paatey. Lekin uss se zada unhey aaney waley andaishey khaa rahey thai. Agr Safoorah aur Zaira ki zidd na hoti to kabhi apni aulaad ko pardaiys na bhejtey woh bhi jb sara khaandan iss baat kay khilaaf tha. Lekin kam az kam unko ek tassali to thi kay Safoorah ka nikkah ho gya hai aur Zaira ki mangni. Woh kisi se munsalik hain. Woh koi ghalat qadam nai uthayein gi. Unhey apni betiyo ki parwarish par bharosa hai, pehle bhi tha, lekin apne bhai kay sath huey waqiyey ko woh nazarandaaz nai kar saktey thai.

Daikha jaye to Ruhaan bhi baahir pala barha hai lekin Daadi jaan ki zaban par bharosa woh aankh band kar kay bhi kar sktey thai. Unko Ruhaan ki ikhlaaqiyaat ya kirdaar par kbhi koi aitaraaz nai hua kyoun kay woh Daadi jaan ki parwarish pe bharosa rakhtey thai. Aur Faheem to unka kaafi farmaabardaar baitha tha.
Pr Nikkah kay baad Safoorah aur Ruhaan dono kay andaaz se unhey ajeeb gumaan laahaq thai.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now