Chapter 9| Khwaabo kay Musafir

3.4K 283 143
                                    

Safar khamoshi se guzar raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Safar khamoshi se guzar raha tha. Zaira ayn waqt par form submit krney mein kamyaab hui thi aur university mein mujood inkay usataza khassey Khush huey thai. Unho ne dono kay lye teen behtareen institute ka intikhaab kia tha jisme se ek mein jana ab unki marzi par tha.

Shaam gehri ho chuki thi aur traffic kay baaiyss dair lg rahi thi. Aurangzeb Shah kay israar kay bawjood Zaira phone par unhey yeh nai keh saki kay uska Intizar kia jaaye kyoun ussey waqqi dair thi. Wajid Sahab ne bhi yahi tajveez di.

Pas woh chahney kay bawjood apni behn kay sb se eham din par uskay sath nahi thi.

Gaari sarak par rawaa thi. Mazeed ek ghntey ka safar baaqi tha.

"Bhaai jaan chahtey thai kay aj tumhara nikkah bhi ho jaye!"

Woh apne baap ki awaaz bhool gyi thi, opr sey bolay jaaney alfaaz bhi ussey alag se pareshaan kar gye.

Woh lataluqi liye khamosh baithi rahi.

"Lekin mein ne mana kar dia. Akhri faisla to Bhaai jaan ka hi tha lekin mein ne razamandi zaahir nai ki. "

"Kyoun?" Woh kisi soch mein bol gyi thi.

Ek aur waqfa. Jb sawalo kay jawaab na ho to baat ka aghaaz karna hi baiqaar tha.

"Ainda agr barrey abba mere nikkah ka kahein to behtar hai aap inqaar mt kijye ga. Jb mangni par aitaraaz nai kia to ab bhi na karein to acha ho ga!"

Zaira buht ba-adab aur tehri hui guftugo krti thi lekin aaj usme apni behn ki rooh aagyi thi.

Wajid Shah ne koi jawaab nai dia. Baaqi ka rasta khamoshi se kata.

Bilaakhir dairh ghantey baad woh apni shaan se sajji haveli puhnch gye thai. Kuch Mehmaan ja rahey thai magr function jaari o saari thi.

Woh gaari ka darwaza khol rahi thi jb ek sawaal ne ussey roka.

"Tum..... Khush ho?" Woh hichkichatey huey puch rahey thai.

Ajeeb sawaal tha. Khush?

Woh kuch kahey beghair taizi se gaari se utar gyi. iss waqt woh kuch sochna nai chahti thi siwaye iss baat kay woh aur uski behan ab baahir kay mulq parhney jaayein gai. Zaira iss baat par dil se khush thi. Kam az kam kuch waqt kay lye woh apne maazi, rivayato aur zabardasti kay rishto se azaad ho jaye gi.

Ek gehri saans lete huey Zaira Haveli kay pichley darwaazey ki trf bhaagi thi. Woh apni behen ko btana chahti thi kay ab ek nayi zindagi unka intizaar kar rahi hai.

Apni dhun mein mast, bhoorey khuley baalo wali Zaira buht khoobsurat lgti thi kyoun kay yeh shaaz o naazar hota tha.

Woh nikkah ki taqreeb waley kaprey pehney huey thi. Kaano mein jhumkey aur paoun mein khussa, Zaira muskurati hui hawa se race laga rahi thi.

"Ouch!" Woh kisi se takra gyi thi. Uss shakhs kay hath mein phone tha jo takraaney se dusri trf jaa gira tha.

"Excuse me!" Woh chirr kar bola.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now