Part 68

329 30 92
                                    

  Sameeksha came back to home. Abhimanyu was sitting in balcony. She smiled & hugged him from back.

"Kya hua.  ? " She asked.

"Kuch nai.. " He answered.

"Accha suno na.. Kuch interesting karte hai na.. Movie dekhe koi..? Ya phir koi nayi dish banate hai sath me.. What say.  ? " Sameeksha said in excitement.

"Mujhe nai karna kuch Sameeksha.. " Abhimanyu looked down from balcony.

"Aisa kya Abhimanyu..? Bore nai ho rahe kya tum..? " She asked.

"Ho raha hoon.. Bahot jyada bore ho raha hoon.. Jindagi se bore ho chuka hoon.. Man kar raha hai kood jau yaha se.. Aur khatam kar doon sab.. " Abhimanyu shouted.

Sameeksha became shocked.

"Kya hua hai tumhe..? " She asked.

"Main mar raha hoon Sameeksha.. Aise nai ji sakta main.. Kuch nai kiya hai maine phir bhi mujhe lagta hai ki ek gunehgar ki tarah band kar ke rakha hai.. Bas fark itna hai ki jail me nai hoon.. Iss ghar me hoon.. " He said.

"Abhi aisa kyu sochte ho tum..? " Sameeksha said.

"Aur nai toh kya Sameeksha.. Din bhar ghar me reh ke mar raha hoon main.. Aisi jindagi chahiye hi nai mujhe.. Maine apne galat kaam chhodne ka jo decision liya wo galat hi tha.. Sidhi sadhi jindagi jina paap hai iss duniya me.. Yaha baith ke justice ka intejar karne se accha hai sach me jake khoon karta hoon kisi ka aur khushi se jail chala jaunga.. " He said.

Sameeksha became scared.

"Dekho Abhi.. Aisi bate bilkul mat karo.. Tum aisa kuch nai karne wale.. " She said.

"Kuch karu ya na karu.. Par maine tay kiya hai.. Main jaise pehle tha.. Waise hi ban jaunga.. Bilkul apne aap ko change nai karunga main... Apne sare dostose jo contact toot gya hai wo wapis banaunga.. Kyu ki mujhe sari cheezo se door bhejne ki bahot badi sajish ho rahi hai mere piche.. Yeh pakka.. " He said.

"Kaisi sajish..? " Sameeksha asked.

"Mujhe party ke kisi event ke liye nai bulaya jata.. Kisi meeting ke liye bulaya nai jata.. Bahot kam samay me Meri jagah Randhir ne le li hai.. " Abhimanyu gritted his teeth.

"Abhimanyu wo hamari madad kar raha hai.. " Sameeksha said.

"Haan.. Kar raha hai.. Apne hi fayde ke liye na.. Ab wo madad kar raha hai toh use main bhi kuch nai bol sakta.. Uski hi manmani chal rahi hai.. Upar se Aarushi ka uske life me hona bahot jyada faydemand hai uske liye.. Abhi dad ka itna favourite ho chuka hai.. Aarushi ke sath shadi hui uski phir toh dad ek jhatke me sab kuch apne damad pe loota denge.. " Abhimanyu said.

Sameeksha sat down.

"Toh kya..? " She asked.

"Main uske aur Aarushi ke relationship ka sach dad ko bata doonga.. " Abhimanyu replied.

"Usse kya hoga.? " She asked.

"Dad ko Randhir pasand hai yeh sab jante hai.. Phir bhi dad ko yeh baat pasand nai aayegi.. Wo Randhir pe kuch der ke liye hi sahi.. Par naraj ho jayenge.. Upar se wo meri madad kar raha hai iss baat se bhi wo naraj hai hi.. Dad ko phir manane ke liye Randhir ko waqt lagega.. Uss waqt me main apni jagah wapis hasil kar loonga.. " Abhimanyu answered.

"Jo kuch bhi karoge.. Sambhal ke.. Apni khud ki reputation pe bilkul aanch nai ani chahiye.. " She said.

Abhimanyu nodded.
 
                          ********

Randhir came in canteen & saw Aarushi.

"Hi.. " He said.

"Kaha the tum kal..? " She asked.

Circle Of Light Where stories live. Discover now