conflict between brothers

51 1 7
                                    

{A/N : I'm saying now only
You may get boring after reading these kalesh scenes if you want you can skip
Just don't missunderstand me that I'm showing serial drama in fictions}

surendar : kya hua hai
Ravindar : bade bhaiya mere buisness mein loss kyu hua tha
Surendar : humare jaan pehchaan log mein koi tumhare pehle buisness partner jo bohot pehle tumhe dhoka Diya tha uske sath haath milake tumhare raaz batake usko tumhare loss hone mein madad kiya
Ravindar : woh koi aur nahi yeh kumar bhaiya hai
All are got shocked
kumar : kya baat kar rahe ho Ravi mai kyu Aisa karunga
Mai kyu tumhare dushman ke sath haath milaunga
Ravindar : ab bhi kyu natak kar rahe ho bhaiya
Batadete na aapko apne hi Bhai se Saha nahi gaya hai
Surendar : yeh sab kya baat kar rahe ho ravindar kumar aisa kyu karega kisne bataya tumhe yeh sab
ravindar : jinke wajah se aapko government job Mila jinke wajah iss kumar bhaiya ko job Mila jinke wajah se mai buisness rakha tha
Jinke wajah se aaj hum sab apne pariwar ka dekhpaal kar rahe hai
Wahi bataya Mera bachpan ka dost Amir...
Usine bataya tha woh kabhi jhut nahi keh sakta bhaiya yeh sach hai
Inhi ke wajah se yeh sab hua hai
mujhe loss karwane keliye uske sath haath milane keliye iss kumar bhaiya ko paise bhi mile the warna sumedh ke iss saal ke college fees keliye 30,000 kaha se aate hai
Ishita aur shivya ke college keliye 70,000 kaha se pehle hi leke aate hai
Kumar and his whole family stunned for his words
kumar : Ravi.... Woh sab meine apne salary ko save karke rakha tha
Gouri bhi meri madad keliye tutions deti thi tailoring karti thi tum sabko pata hai na woh baat
ravindar : woh toh pichle saal tak bhaiya
Pichle saal toh itne paise kaha hai aapke paas
Aapke bade bete ko koi job nahi tha
Baaki 3 ka fees bharna tha tab mai aur bade bhaiya hi aapko paise diye the
Ab na hi hum diye hai na hi kisise rin liya
toh kaha se aaya 1laakh...
Bade bhaiya aap hi sochiye kaha se aayenge itne paise 1saal mein
Kumar : Ravi   Woh sab ek saal mein save kiye hue paise hai
Woh mere aur gouri ke bachat the
Humne Aisa kiya thaki agli baar tumlogo ko na puche
Surendar : jitna bhi kyu na bachaaye itne saare paise kaha se aate hai kumar
Woh Amir ek imaandar insan hai
Mujhe nahi lagta ki woh jhut bol sakta hai
Kumar : matlab aap kisi aur ke kehne se mujhpar Shak kar rahe hai apne bhai par?
Surendar : kyuki tujhme badlav aaya hai kumar isiliye Shak karna pad raha hai
Ravindar : aree shak kya bhaiya sach hi hai
Amir mera bachpan ka dost hai mai usko jaanta hu woh kabhi bhi jhut nahi bolega
Woh humesha humare bhalayi keliye hi sochta hai
yeh kumar bhaiya ko Mera badhta dekha nahi gaya hai
Harilakshmi : bas karo Ravi...
Yeh sab kya hai
Tum log baat ko kaha se kaha leke Jaa rahe ho
Surendar : maa yeh bhaaiyo ka maamla hai aap beech mat aaiye
Harilakshmi : agar choti baat toh nahi ghusti beta
Lekin yeh..... Tumlog itna bade bade baatein kar rahe ho
Beta aaj tak humare pariwar mein koi bhi musibat nahi aayi hai
Bhaaiyo ke jhagde bohot hi bhayanak hote hai beta isiliye iss baat ko baithke suljhaao
Surendar : aap hume mat samjhao maa
Meine kumar mein kahi dino se badlaav dekhte aa raha hu aur yeh badlaav aaj bahar aaya hai
gouri : ek minute bhaiya ji
Kaisa badlaav? Humne apne mehnat se ek ek rupe bachake utna jam kiye hai
Aur aap dono bohot aasani se boldiya ki woh paise kisi aur ka diye hue paise the woh devar ji ka buis loss karwane keliye!!!
vidyavati : aapka matlab kya hai bhabhi
Ravindar ji jhut bol rahe hai
gouri : nahi vidya... Humare mehnat par
dhaag mat lagane ko keh rahi hu
Unhone humare shadi mere baba se ek rupe tak dahej nahi liye the
Aapne kaise maan liya ki devar ji ke dushman se woh paise leke apne hi bhai ko dhoka dete hai
Unhe iss pariwar keliye kitna prem hai aap sabko nahi pata?
Ramaa : kitna prem hai hum sab dekh chuke hai gouri
Mujhe kumar devar ji se yeh umeed nahi thi
Waise galti humari hai
Hume toh laga ki surendar ji ke dono bhai bohot achhe hai
Hume toh laga ki undono ko iss pariwar keliye bohot hi anuraag hai
Lekin tumhare pati ne yeh saabit karliya hai ki
sirf ek bhai ko hi aisa hai dusre bhai ko nahi
Aree konsa bhai aisa karta hai
Konsa bada bhai apne chote bhai ka haar dekhna chahta hai
Jo tumhare pati ne chaaha aur Kiya hai
Gouri got very much angry for her words
Gouri : bas kijiye bhabhi
Kumar : gouri tum ruk jaao mai samjha raha hu na innlogo ko
Gouri : mai kyu ruk jaaun kumar ji
Yaha mere pati ka apmaan ho raha hai aur mai chup rahu
Yeh log aapke samjhaane se nahi samjhenge inn logo ke dimaag mein ab zeher bhar gaya hai
Pariwar woh hota hai jo apno par vishwas rakhte hai
woh nahi jo kisi aur ke baatein sunkar apno par hi dhaag lagaye
Ramaa : apna hadd paar mat karo gouri
Waise ab mujhe Aisa lag raha hai ki
Inn sabka peeche ka haath tumhari ho
kahi aisa toh nahi na ki tum hi kumar ka dimaag badal liya ho
Kahi aisa toh nahi ki tumne usse bhadkaaya ho
gouri : mai....!!!!
vidyavati : aisa hi hua hoga bhabhi
Warna kumar bhaiya ji aisa kyu karte
Humare saamne itni achhi hokar hume hi peeche se waar ki aapne gouri bhabhi
shivya (low voice) : hey bhagwan!
bhaiya....... Yeh sab kya hai
Pehli baar humare pariwar mein itni serious jhagda ho rahi hai
Ishita : aap ekbaar jaake rok lijiye na sourabh bhaiya
basant : pagal ho? Bhaiya kaise rok sakte hai
Dadi se hi nahi ho paayi humse kaise ho paayega
Sourabh : basant sahi keh raha hai ishi
ab baat humare haatho mein nahi hai
Bas hum bhagwan se prarthana hi kar sakte hai ki yeh jhagda sulajh jaaye badh na jaaye
Sumedh : mujhe toh ab bhi samajh nahi aa rahi hai bhaiya
chachaji maan bhi kaise liye ki baba Aisa kar sakte hai aur baaki sab bhi Maan gaye
Baaki sabka toh thik hai lekin bade chachaji?!!!
Unhone kaise maan liya
Basant : mujhe toh Bohot gussa aa raha hai aree apne hi bhai ko jaante nahi hai kya yeh log
Gouri : hume peeche se waar karne wale nahi hai vidyavati
Balki tumlog aise vishwas ghatak hai ki
Humse hi ehsaan paakar humse hi pyar paakar humare bare mein sab kuch jaante hue bhi humpar hi ilzaam laga rahe hai
Surendar : apna hadd paar mat karo gouri
Badho ke saamne woh bhi humare bare mein aise bolte ho?!!
Gouri : waah bhaiya ji
Agar aap log humpar itna bada ilzaam laga sakte ho lekin mai humare aatma samman keliye apne aawaz nahi utha sakti
pariwar ke beech bharosa ka ek cheez hoti hai
jo kisi aur ke kehne pe nahi tut-ti hai
Ravindar : woh koi aur nahi mera bhai jaisa hai
Aree usne hi aapke pati ko job lagwaaaye hai bhul gayi aap?
Gouri : mai kuch nahi bhuli ravindar
Mujhe sab yaad rehta hai tumlogo ke jaise nahi hu mai...
Aree usne bataye toh maanle aaplog?
aapne toh pura sach jaanne ka koshish hi nahi ki?
Agar aap hum par Shak karte toh hum khush ho jaate ki yeh sirf shak laga rahe hai ilzaam nahi lekin aaplog toh nishchay karliya hai woh bhi bina proof ke sath
Ravindar : aree aur konsa proof chahiye
1laakh hai tumlogo ke paas
Kumar(shouting) : bas karo Ravi...
bohot sunn liya humne
Aree yeh kaisi bachkaani hai ek laakh hai humare paas aur maan liya ki tumhare dushman ne hi Diya mujhe
Tumhare aankhein na ab jhuti dosti mein band hogaye hai
jab tak khulenge nahi tab tak mera ek bhi baat tere dimaag tak kya tere kaan tak bhi nahi pohuche hai
Ravindar : dekhke baat kijiye bhaiya
Uska jhuta dosti nahi balki aapki jhuta pyaar hai jo aaj pata chal gaya hai
ramaa : ab kyu chilla rahe ho kumar
Ab tak toh chup the
Abhi tak tumhare patni hi apna saara nafrat bahar nikaal rahi thi
Ab tumhare patni ke baaton se
yeh tay ho chuka hai ki aaj tak jo kuch usne humpar humare bachho par jo pyaar dikha Rahi thi woh sab dikhawa tha hum toh sach maanke baithe the
Isiliye tumhare bade bhaiya kehte hai
Galat aurat humesha Ghar todne ka hi sochti hai
Kumar : kya bola bhabhi? Aapka matlab kya hai?
Vidyavati : aur kya hoga bhaiya ji
Yehi hai ki bhabhi iss ghar ko iss pariwar ko todna chahti hai isiliye toh yeh sab hua hai
Warna iske haath ke bina aap bhala kyu apne bhai ke hi khilaaf jaate hai
Gouri : ab mai Ghar todne wali lagti hu?
Mai iss pariwar ko apna maana hai vidya
Maaji ko apna maa maana bhaiya ko aur devar ji ko apne bhaaiyo se bhi zyada maana
Tum dono ko toh apne beheno jaisa dekhi tumlogo ke bachho toh humesha mere saath hi lagaav rehte the
vidyavati : wahi wahi toh aapke pratibha hai bhabhi
Pehle pyar barso fir Ghar hi todo
Gouri : mai ghar nahi tod rahi thi vidyavati mai apne pati ka aur mera aatma samman keliye apne aawaz uthaayi thi
Kumar : gouri......Tum ruko
Bhaiya... Aapko sach mein lagta hai ki meine jaan bhujkar Ravi ka buisness ko loss karwaya
surendar : shat prati shat yehi lagta hai
Kumar : thik hai loss 25laakh hue the na
Karjaa lekar tumhare karjaa utaarunga Ravi....
Lekin iss iss ilzaam ko nahi apne sir par nahi rakhunga
Shayad tab tumhe samajh mein aaye ki
meine apna bhai ko dhoka nahi diya
Surendar : usse pehle tum..
Kumar : usse pehle hi matlab abhi ke abhi mai apne patni aur bachho ko lekar
Yaha se chala jaaunga
all are got shocked except surendar and kumar
harilakshmi : kya???
Kumar : woh bhi aap sabke saath rishte todkar
Harilakshmi : yeh kya bakwas baatein bol rahe ho dono
Kumar.... Beta tumhare bhaiya gusse mein hai lekin tu toh samajhta hai na
Tu sab kuch jaanta hai fir bhi...
surendar : maa....
yeh baat mai hi bolne waala tha
Jo log dhoka dete hai unhe iss pariwar mein koi jagah nahi hoti hai
jo ghar ko todna chahte hai unhe mai iss pariwar mein nahi rehna chahiye
kumar : rehna bhi nahi chahte bhaiya
Maa.... Mai jaanta hu ki yeh aapko bohot dukh pohuchaayega abhi tak mai sirf aur sirf aapke wajah se hi chup tha
Lekin maa har kisine apna hadd paar karliya
maa mai bhi nahi chahta hu ki hum iss pariwar se dur chale jaaye aapse dur chale jaaye woh bhi rishto ko todke
Lekin maa.... Pariwar mein bhaaiyo mein ekbaar aag lag gayi na maa usko bujhaa nahi sakte
Yeh ek aisi aag hai ki jab tak woh khud sach nahi jaanenge tab tak yeh aag nahi bujhegi
hume maaf kardo maa...
ravindar : jaane bhi do maa
Aise logo ko dur hi rakhna chahiye
Aaj mere buisness loss hogaya
shayad kal mere buisness hi mere haath mein nahi hogi
Shayad parso kisika jaan hi nahi hogi iss duniya mein
Kumar : sunn rahe ho maa...
Inn baaton ko sunne keliye ruk jaaun?
maa mai toh sehlunga bhaaiye hai na
Lekin gouri ka kya usko kyu sunna hai yeh sab
Aur humare bachhe....
Maa mai nahi chahta ki humare bachhe humare bare mein itna bura sunke har din narak mein jeeye
Harilakshmi : beta jab tum teeno ka bachpan mein tumhare baba guzar gaye the tabse tum teeno hi mera sab kuch hai
Agar tum teeno mein ek dur ho jaaye
Tum teeno aise ladte jhagadte rahe toh mera kya hoga beta
Iss maa ko dukh denge tum log
Beta aapas mein baat karke suljhaao lekin...
Surender : maa....
Bas ek hi baat bolo
aapko apne dusre beta chahiye ya hum dono chahiye
Harilakshmi : koi bhi maa aise kaise chun sakti hai beta
Mere liye tum teeno barabar hai beta
Mai kisi ek ko kaise chun sakti
issi din dikhane keliye tum badhe hue ho?
kumar : maa... Hum jaante hai ki yeh aapke liye kitna mushkil hai
Lekin.... Maaf kardo maa aapko yeh din dikhana pada hume
Bhaiya aur Ravi ya mai
Kisi ek ko chunna hoga..
Maa do beto ko khone se behtar ek bete ko khona hi thik rahega maa
yaha yeh log aapka bohot achhe se dhyaan rakh sakte hai lekin hum nahi rakh paayenge
Hume jaane do maa
Surendar : maa... jaane do..
Kya hum aapke dhyan nahi rakh sakte?
Ha mai jaanta hu ki yeh aapko dukh lagega lekin aise logo ko humare beech nahi rakhni chahiye
harilakshmi took a deep breath with full of tears
Harilakshmi : jab bhagwan ne meri kismat aise likhe toh mai kya kar sakti hu
Thik hai beta jaao hum sabse rishte todkar
sumedh, his siblings and his cousins seen at eachother
Abhishek : bhaiya... Aaplog chale jaayenge?!
Mat jaao bhaiya...
kumar : gouri... Jaake humare kapde pack karo
after sometime gouri returned with bags
gouri : basant...
She nodded like come here
basant, sumedh, Ishita and shivya seen at sourabh
Sourabh hugged them
He turned to Ishita and shivya
sourabh : tum dono bohot achhe se padho college top karo
Aisa Karo ki woh khabar mere tak pohuch jaaye
All the best...
Ishita and shivya got tears
sourabh turned to sumedh
Sourabh : mai bohot achhe se jaanta hu ki agar koi basant ke gussa ko sambhal sakte hai woh tum hi ho
Bohot achhe se sambhalte ho
Aise hi sambhalte raho apne bhai ko
Bade bhai ko hi bade bhai hokar
Mai humesha tumhara support Kiya
Aage bhi mere support tumhare sath hi rahegi
jindagi mein jo bhi banoge jaha bhi jaaoge
Tum taara jaise chamkoge
Utna vishwas hai mujhe tumpar
Aur tum basant...
ab se tum sabse bade bhai banoge
Abhi tak toh tumhara bada bhai mai hi raha lekin abse mai nahi rahunga na
Isiliye soch samajhkar kadam aage badhao
inn teeno ka achhe se khyal rakho
Basant and sumedh smiled with tears
Abhishek and Siddharth came to sumedh
Abhishek : aaplog mat jaao na bhaiya
Siddharth : ha bhaiya please mat jaao
Hum kisse khelenge hume aapka bohot yaad aayegi khaaskar sumedh bhaiya
They said this while their tears are flowing out
sumedh caressed them
he smiled and said
Sumedh : jaana toh hoga hi
lekin tum dono aise ro mat
hum bhi jaana nahi chahte lekin...
He getting tears
Then he hugged them
after sometime they broke the hug
Sumedh : jaana padega hum kuch bhi nahi rok sakte
Tum dono ek dusre lado mat humesha ekdusre ke saath dena
Yeh ekta bohot zaruri hai
He said this while seeing at his father and uncles
Abhishek : hum firse milenge kya bhaiya?
Sumedh seen at them
Sumedh : agar kismat milaaye toh milenge hi
He kissed on their foreheads
Basant : tum dono na achhe se padho
apna chote bhai ka dhyaan rakho
he hugged them
kartikey : didi...
aap jaa rahe hai? Firse aayenge?
Ishita and shivya sat equal to his height
They are not having words
They hugged him
then basant holden shivya hand and sumedh hand
Sumedh holden Ishita hand
And they all went harilakshmi
Sumedh, his parents and his siblings
took blessings of harilakshmi
harilakshmi : aayushman bhav..
they got up
harilakshmi : tum teeno khub padho beta aur tum bhi jald hi ek achhe se job paakar apne maa baba ka achhe se dhyan rakho
Aur apne chote bhai behno ka bhi
Mera aashirwad humesha tumlogo ke sath hai
They nodded and turned to outside

FLASHBACK ENDED

Mallika is speechless after hearing that flashback
Sumedh is just silent
Millions of emotions running inside of him

.............................TBC................................

that's it for today's part
Hope you all like this part
Stay tune for more parts
Radhe Radhe 💙

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now