got about shivya 😳

64 4 2
                                    

varaakshi : kinshuk
kinshuk : ji mummy
varaakshi : ekbaar apna phone do
he is stucked
kinshuk (in mind) : oh god ab kyu puch rahi hai
varaakshi : do na thoda kaam hai
kinshuk : ji...
he unlocked his phone and gave to her
by taking that varaakshi left from there
kinshuk tension increased
she went to her room
while operating his phone
varaakshi : mujhe iss shivya pe bohot zyada doubt hai har baar yeh kinshuk uske sath itna close hojata hai
cha.. yeh toh message apps aur call recorder ko lock kardiya
koi baat nahi meine woh ladki ko kinshuk aur shivya pe nazar rakhne ko kaha abhi tak kuch na kuch pata chala hi hoga
then she got call
varaakshi : wahi call kar rahi hai
she answered
varaakshi : bolo kuch pata chala
person : ha aunty aapka shak sahi tha
aapke beta aur woh ladki ek dusre se pyar karte hai
she made her eyes in anger
varaakshi : laga tha laga hi tha
yeh ladki mere bete ki zindagi barbaad karke hi maanegi
person : aur koi help chahiye toh bataiye
varaakshi : nahi ab aur koi help nahi chahiye thank you
call cutted
she angrily went to hall and thrown kinshuk mobile on floor
that phone broked
everyone is stood up being confused
kinshuk (in mind) : kahi pata toh nahi chala
Durga Devi : varaakshi.....
yeh kya kiya tumne phone kyu thoda
dimag thik se chal raha hai ki nahi tumhara
varaakshi : woh mujhse nahi apne nate se pucho
varanj : matlab? kinshuk ne kya kiya varaakshi
varaakshi : kya kiyaaaa.....
pyaar karta hai yeh shivya se aur woh bhi isse
Durga Devi, varanj and siya shocked
zalak and mallika seen at eachother
neerav and sumedh seen at eachother
they are seeing like*what to do now*
kinshuk (in mind) : me gaya
ab kya karu mummy shant nahi rahegi
zalak : anu tum andar jao aur hansh ko bhi leke jaao
Anushka : ji didi
hansh aao
while going
Anushka (in mind) : hey bhagwan ab aur jhagde mat aane do sab thik kardo
both left from there
Durga Devi : shivya matlab woh...
varaakshi : wahi maa wahi shivya
(point at sumedh) iss sumedh ke dusri behen
he is not answerable
he made his eyes down
varanj : kinshuk yeh sach hai?
kinshuk : ji mamaji sach hai me aur shivya ek dusre se pyar karte hai
siya (in mind) : pata nahi ab kya haal machake rakhegi varaakshi
iske chakkar me kinshuk aur shivya ko mushkilen sehna padega
kaash me rok paati yeh sab
varaakshi : 👏👏👏 waah sumedh waah
sumedh seen at varaakshi
varaakshi : maanna padega tumhe aur tumhare pariwar ko
pehle tumhare baap bachpan me humare bhaiya ka dost bana
fir tum humare hi company me humare hi employee hokar humare mallika ke pati bana
ab tumhare behen mere bete ke zindagi barbaad karne jaa rahi hai
meine toh kabhi socha hi nahi ki koi bhi aurat paiso keliye iss had tak jaa sakti hai
sumedh closed his eyes and opened
that's showing his patience towards her words
zalak : mummy aap yeh kya bole jaa rahi hai aap kisi ladki ke bare me...
varaakshi : tum chup raho
koi meri baaton ke beech me nahi aayenge
agar aayenge toh bhul jaaiye ki unke sath meri koi rishta hai
Durga Devi : zalak, baat kar rahi hai na woh
bado ke beech aana kabse shuru ki tumne
varaakshi : shayad tumlog mere bhaiya ko apne zhaal me fasa sakte hai lekin mujhe nahi
shayad woh apne beti ko tumse shadi kara sakte hai
lekin me apne bete ke shadi aisa neechi giri hui aurat ke sath karke uske jeevan barbaad nahi kar sakti
sumedh anger reached his every partical
mallika (angrily) : bua ji
aapko samajh aa bhi raha hai ki aap kya baat kar rahi hai
shivya ne bhaiya se pyar kiya iska matlab yeh thodi na hua ki aap itni battameezi karegi uske bare me
varaakshi : me battameezi nahi sahi bata rahi hu mallika
tum hi ho jo apne aankho ko patti baandke rakhe ho
kinshuk : mummy please
had hoti hai kisi cheez ka pyar karna itna galat kabse hogaya
varaakshi : me maa hu tumhare
tum mujhse aaye ho aur mujhe hi bol rahe ho
me baat karungi aise hi
me iss pariwar ki burayi karungi jo ki sahi hai
varanj : varaakshi, tum gusse me ho gusse me kya baat kar rahi ho tumhe hi pata nahi chal raha hai
hosh me aake baat karo varaakshi
me jaanta hu ki tumhe uss pariwar se nafrat hai lekin iska matlab yeh nahi ki tum aisi battameezi karogi
Durga Devi : woh battameezi nahi kar rahi hai varanj
woh hosh me hi hai agar kisiko hosh me aana hai toh tumko hi
kitni baar boli thi ki uss kumar se dosti mat karo mat karo kabhi suna meri baat
ab dekho iski nateeza
uske dono beta aur beti
humare ghar ki beta aur beti ko fasaye hai apne zhaal me
varaakshi : inn dono ko kyu bol rahi ho maa
agar maa thik hoti toh bachho se kya shikayat
sumedh is not finding words to tell in angry
neerav : mummy aap galat bol rahe hai
aise koi bhi maa ke bare me
maa ke bare me hi kya aise kisi aurat ke bare me nahi bolna chahiye
varaakshi : neerav tumhe kuch nahi pata
tum kuch mat bolo
har maa ek jaisi nahi hoti
kya pata woh shadi ke pehle kya kya kaand kiya ho
{a/n : be ready for sumedh's extreme side}
sumedh (highest pitch voice) : bas bhi kijiye aap
he went more near to varaakshi
sumedh : uss muh ko koi control hai ki nahi
aap bhuliye mat aapke ghar me bhi 3ladkiyan hai...
Durga Devi : humare ladkiyan ko sanskar hai...
sumedh (high range) : toh humare ghar ke ladkiyan ko bhi sanskaar hai
jaise aaplogo ne apne bachho ko sanskar sikhaye hai bilkul waise hi humare maa baba bhi hume sanskaar sikhaye hai
aapko kisne hak diya mere pariwar ke bare me mere behen ke bare me mere maa ke bare me aisa bolne ki
aap mujhe ek baat boliye iss ghar me 3betiyan hai
agar koi...
he stopped his expressions showing his helplessness
sumedh : me bilkul nahi chaahunga ki aisa koi kahe agar kahe bhi toh me chup nahi baithunga
lekin agar koi iss tarah ki battameezi zalak,mallika aur Anushka se kare kya aaplog chup baithenge
nahi baithenge na
aap khud ek aurat hai aap ek maa hai aap kisi ka behen hai
aapka bhi ek beti hai
fir bhi kisi aur ke behen ko kisi aur ke maa ko battameezi baatein bol rahe hai
he turned to varanj
he took a while
sumedh : 2saal 2saal hogaye hai me aaplogo se milkar
inn 2saalo me pehle din se lekar aaj tak aapke maa aur aapke behen jo kuch bhi taane sunaye the meine suna aur saha
ekbaar bhi unke aage nahi bola
lekin maaf kar dijiye aaj mera hi saamne mere hi maa aur behen ka battameezi kar rahe hai me kaise chup rahu
kaise....
his eyes became teary
sumedh : kya iss ghar se rishta rakhna hi khudko khona tha hume
varanj : sumedh beta dekho aisa mat bolo
varaakshi ne jo kuch bhi kaha bilkul galat kaha uske liye me maafi mangta hu
varaakshi and Durga Devi pissed off
sumedh : maafi maangne se baatein wapas kiya nahi jaa sakte hai papa
kuch baatein na yaha (point at heart) yaha chub jaate hai
aur jo baatein yaha chubte hai na usko nikaalna na mumkin
na hi uss baatein ko bhul sakte hai na hi uss insaan ko jo woh baatein bole hai
mallika able to feel his pain
she is seeing him with teary eyes
he seen at her
his painful eyes are piercing her
he understood that his look making her uncomfortable then he looked side away
he made himself calm down
sumedh : maaf kijiye papa
jis ghar me mere pariwar ka izzat nahi mila uss ghar me
me nahi aa sakta me jaa raha hu
aap baad me aaiye ga mallika ji
while going he stopped at kinshuk
sumedh : ek hu baat puchunga kinshuk
tumhare patni banke iss ghar ke bahu banke kya meri behen izzat milega
kinshuk is not having answer for his question
as he himself is doubtful on that
sumedh gave sarcastic smile
sumedh : mujhe mere jawab mil gaya
he reached till maindoor
mallika : ruko sumedh
he stopped and turned
mallika : jis ghar me tumhe izzat na mile waha me nahi reh sakti
sorry papa mujhe jaana hoga
shayad me kabhi wapas nahi aa paungi
varanj : mallika...
varaakshi : mallika
tum uske liye humse rishta tod doge mallika
mallika : agar galti sumedh ke side hota toh me uska sath nahi deti bua ji
lekin yaha galti aapki hai
aapne sumedh ka uske pariwar ka burayi kiya
meri pariwar ka apmaan kiya
mere liye jitna important yeh pariwar hai utna hi important woh pariwar bhi hai
agar me iss ghar ki beti hu toh uss ghar ki bahu bhi hu
agar me aapke bhanji hu toh SUMEDH KA PATNI BHI HU
me yaha sirf ek patni hone ke naate hi nahi jaa rahi hu ek aurat hone ki naate bhi jaa rahi hu
agar yehi battameezi koi aur mere sath karte na toh me waha 1sec tak nahi rukti
aap ek aurat hokar dusri aurat ka itni battameezi kiya
toh me yaha kaise ruk sakti hu
Durga Devi : shadi ke baad tum badal gayi ho mallika
tumhe apne bua ki galti nazar aa rahi hai uski gussa nazar nahi aa rahi hai...
zalak : gussa keliye bhi ek had hoti hai nani... lekin aaj mummy ne woh saare had paar karli
kya gussa humko nahi aati
toh kya hum aise battameezi karte hai
kahi bhi beti gusse me battameezi karti hai toh maa rokti hai lekin yaha maa hi battameezi kare beti kaise roke
yaha roke bhi woh maa nahi suni
mallika jaana hi correct hai
agar uske place me
me hoti toh jawab dene tak bhi nahi rukti
Durga Devi : dekho tum....
siya : maaji
meri beti sahi hai woh jo bhi karti hai sahi hi karti hai
woh ussi din iss ghar me wapas aayegi jab uske pati aur uske pariwar ko woh samman mile
tum jaao beta hum nahi rokenge
varanj : mallika beta
dekha jaaye toh tum sahi kar rahi ho
me bas itna hi bol sakta hu ki apna khyal rakho
mallika nodded
she turned to kinshuk
mallika : jo sumedh ka sawal tha wahi mera bhi sawal hai bhaiya
mujhe uss ghar me bahu ki nahi beti ki izzat mili hai
kya iss ghar me shivya ko bahu ki chodo atleast insaan hone ki izzat bhi milegi?
he seen at her being unanswerable
mallika : pyaar zaruri hai bhaiya lekin self respect usse bhi zaruri hai
me aapke behen zarur hu lekin shivya ke bhabhi bhi hu
ek aurat bhi hu
by saying this she went to sumedh
he seeing at her
sumedh : aap apne rishte todkar aa rahi hai
mallika : jaanti hu hosh mein hi hu mai
tumhe lagta hai ki mai galat kar sakti hu
sumedh : nahi mujhe bohot vishwas hai aap par
mallika : toh chalo
she holden his hand and left from there
varanj sat on sofa by holding his head
neerav : yeh toh hona hi tha kinshuk
mallika ne jo kuch bhi kiya sahi kiya
ab tumhare aur shivya ke future tumhare haatho me hai
jab pyaar kiya toh uske liye tumhe stand lena hi hoga
chalo zalak
then neerav and zalak went to their room
kinshuk seen at his mother
his eyes questioning her alot
but he ended up being left from there
Durga Devi angrily holden siya hand tightly and turned her to herself
Durga Devi : yeh tum kya keh rahi thi ha
kaisi maa ho tum
siya seeing Durga Devi straightly and removed her hand
siya : woh toh mujhe puchna chahiye maaji
ki kaisi maa hai aap
Durga Devi made her eyes big
varaakshi : bhabhi......
siya(loudly) : haaannn.......
sach hi toh keh rahi hu
agar aap varaakshi ko sahi sikhaate toh aaj itni battameezi nahi karti
aap uski har baat pe uske sath deti hai
chaahe woh galat hi kyu na ho
toh me kyu nahi de sakti apne beti ke sath jabki woh sahi hai
aur tum varaakshi
mujhe pata hai ki tumhe unlogo par nafrat hai lekin mujhe nahi laga ki tumhare yeh nafrat itni neeche gir jaayegi jisse tumhe apne beta ki khushi bhi nazar nahi aayi
Durga Devi : tum apne had me raho siya aajkal kuch zyada hi bolti ho tum
varaakshi : bhaiya! yaha itna kuch ho raha hai aur aap chup hai!
varanj stood up
varanj : chup nahi toh kya karu varaakshi bolo tum
ek tum ho ki jo mann me aaye woh bolte jaa rahi ho
aur ek maa hai ki har baat pe galtiyan nikalti hai aur ek siya hai ki tum dono ke swabhav jaante hue bhi ladti hai
iss ghar me shanti kaha hai
aree 27saal hogaye humare shadi hoke
na hi tumlog badle ho na hi iss ghar ki situations
agar koi aur hota toh iss ghar ko chodke chale jaata
Durga Devi : dekha dekha kaise baatein kar raha hai mera beta
mujhe mujhe bol raha hai ki me dusre se galtiyan nikalti hu
yeh sab tumhare hi asar hai na
tumne hi usko manipulate kiya hoga ki apne maa se aur behen se aise baatein karo
shadi ke baad kitna badal gaya hai yeh apne maa ki aur behen ki koi value hi nahi
kya sanskaar diye hai tumhare maa baap tumhe
siya : jo bhi diya achha hi diya hai maaji
meri maa baba mujhe kam se kam battameezi karna toh nahi sikhaya
Durga Devi : kya bola...
she about to slap siya but varanj stopped
he went between siya and Durga Devi
varanj : bas karo maa
agar yehi varaakshi ke sasural varaakshi ke sath kiye hote toh
maa kam se kam ab toh situation ko samjho tum log
aaj meri beti badi hogayi lekin hum...
hum toh ab bhi wahi ego ke sath rehna chahte hai
maa ek baat toh zarur keh sakta hu agar aap aur varaakshi issbaar zidd ki toh kinshuk firse humse dur ho hi jayega
chalo siya
then varanj and siya left to their room
on the other side sumellika reached home
when they going to their room shivya came there
shivya : bhaiya bhabhi
itne jaldi aagaye!!!
kuch hua hai kya?

..............................TBC....................................

that's it for today's part
hope you all like this part
stay tune for more parts
Radhe Radhe 🧡
~Author - suvarna

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now