Chapter 16

132 22 14
                                    

Pre Chap: Abhi went unconscious. Sid was rubbing Abhi's feet with unknown emotions in his eyes.

Let's start...

Dr came and checked Abhi. He turned towards the other three.

Vaishu (teary eyes): Dr, Dr, kya hua hai use? Vo vo aise unconscious kaise hua? Please dr, vo theek to hai na?

Avu: Ha dr. Kuch to boliye.

Dr: Aap sab?

Avu: Hum uske dost hai, his only family. Aap hume bata sakte hai.

Dr. sighed. Sid who was standing in the corner was showing that he is not interested in knowing but in real, his ears were fixed on their talks. He wanted to know what had happened to Abhi. He was so worried for him but his ego and anger was stopping him from showing his real emotions.

Dr: Stress and jyada rone ki bajese ye behosh ho gaya. He is under mental stress. Shayad kuch jhagde hue ho. Try ki ye positive environment me rahe. Stress iske liye harmful hai. Take care. He needs you all. Try ki aap sab uske aas paas raho. Don't make him feel alone varna PTSD ya mental problems hone ke chances hai.

Vaishneet (gasped): What?

Vaish covered her mouth with her hand to control her sobs. Avu hugged her and rubbed her back to calm her when she herself was not able to control her tears. Sid too was shocked hearing it. He was feeling guilty but his ego and anger stopped him from going back to Abhi.

Sid's POV (italics)
What? Ise mental problems ya PTSD ho sakta hai? Kya maine kuch galat kiya? Mere words itne badly affect hue hai ispe? I know he is sensetive par maine kya galat kaha? Jo sach hai vahi use sunaya. Vo ek hafte se insecure tha hume leke. Use dar tha ki hum use chodke jayenge. Mai use promise karta raha ki mai humesha uske saath rahunga aur aaj maine directly use thappad marke kya kuch nahi sunaya. Kahi maine kuch galat to nahi kiya? Kyuki jab mai aaya to uski condition bohot kharab thi. He was barely able to stand. Kahi meri bajese....Nahi Sid. Ye kya soch raha hai tu? Tune jo kiya sahi hi kiya. Abhishek tera use kar raha tha. Tujhe aisa isliye lag raha hai kyuki ek time pe Abhishek tera sabse accha dost tha. Mai use saccha dost rather bhai manta tha par vo naahi mera saccha dost ban paya naahi bhai. Aur use uske kiye ki saja mil rahi hai. I just hope ki vo PTSD ya mental problems se na suffer kare. Ek minute, par kya pata ye bhi koi natak hi ho iska. Ha matlab ab mai uske khilaf hua hu to kya pata sympathy milana chahta hoga. Aur kuch expect bhi kya kar sakte hai isse? Maine mere sapne me bhi nahi socha tha ki Abhishek mujhe dhoka dega, khudke fayde ke liye mera use karega. Vo to accha hua Raghav ne mujhe sahi time pe Abhishek ka asli chehera dikha diya. Haa! Ab sab clear ho raha hai mujhe. Raghav ko Abhishek ki asliyat pata thi isiliye Abhishek, Vaish aur Nakchadi mujhe Raghav se dur karne pe tule the. Chalo Abhishek ka maan liya ki khudka asli chehera mujhse chupane ke liye vo mujhe Raghav se dur rehne ko kehta tha par Vaish aur Nakchadi ka kya? Vo kyu mujhe Raghav se dur rehne ko kehte the? Ab mujhe kya karna chahiye? As Vaish aur Nakchadi to Abhishek ka saath chodne se rahe to kya mujhe unse baatcheet rakhni chahiye? Friendship rakhni chahiye? Ha jarur rakhni chahiye. Abhishek ki bajese mai apne dost kyu khou? Par kya vo mujhse dosti rakhengi? As unke hisaab se maine Abhishek ko bohot buri tara se hurt kiya hai. Ab to Abhishek ke saath room share karna bhi mushkil hoga. Mai uska muh tak dekhna nahi chahta. How can he do this to me? Maine har vakt uska socha aur usne kya kiya? Har vakt sirf khudka socha. How selfish and self-centered Abhishek is! 8th se dost hai vo mera. Matlab tabse mera use kar raha hai vo? Matlab itne saal ki dosti sirf natak thi? Vo pyaar, vo care, vo bhaichara, vo BFBF yaani 'Best Friends cum Brothers Forever' sab jhut tha?
Sid's POV End

Unknowingly, Sid started crying. Vaishneet saw him and went near him. They thought after seeing Abhi in this condition, he might be feeling guilty and regretting his words. Dr had already went after telling the medicines and diet to Vaishneet. Avu kept her hand on Sid's shoulder. Sid looked at her with shock.

Avu: It's ok Siddharth. Kuch nahi hua Abhi ko. Vo theek ho jayega. Tum shant ho jao.

Saying this, Avu hugged him but Sid broke the hug.

Sid: What do you mean?

Avu: I know, tumne jo kuch bola vo gusse me kaha ya phir kisine tumhare kan bhare isliye kaha. Varna tum to Abhi se kitna pyaar karte ho ye humse behtar aur kon jane? You are worried for him, right? Don't worry use kuch nahi hoga. Tumhe pata hai na ye kitna sensetive hai, har baat dil pe laga leta hai. You don't cry. Use hosh aaye to ek sorry bol doge to dekhna kaise khushi se tumhe maaf karke tumhe gale lagayega.

She wiped Sid's tears.

Sid: Tumse kisne kaha ki mai uske liye ro raha tha? Vo to mai... mujhe yakeen nahi ho raha hai ki Abhishek ne mujhe dhoka diya. Vo sab sochke rona aaya. And mai ise sorry kyu bolu? Maine jo kaha vo sach hai. Accha hua ki Raghav ne mujhe iska asli chehera dikha diya.

Sid said it in pure anger. Vaishneet were shocked hearing him. But now everything was getting clear for Avu. She connected the dots of scenes that took place from past one week. It was not hard to understand that what would have happened. She understood that one who was making Abhi insecure was not any senior bullies but Raghav only. And today also Raghav took Sid aside and after that only Sid showered all those bitter and heart-breaking words on Abhi.

Avu (angrily): Siddharth, tum sach me bhole ho ya bhole hone ka natak karte ho?

Sid (shocked and confused): Tum kehna kya chahti ho?

Avu (angrily): Yahi ki tum itnisi baat nahi samajh paye ki koi tumhe Abhi ke khilaf bhadka raha hai? Koi tum dono ko dur karne ki, Abhi ko hurt karne ki sajish tumhare haaton karva raha hai.

Sid: Tum kehna kya chahti ho? Saaf saaf kaho.

Vaish: Ha Neet, tum kehna kya chahti ho?

Avu: Yahi ki Abhi ko insecure karne wala aur Sid ko bhadke ne wala kon hai ye mujhe pata chal gaya hai. 

Sid: Koi mujhe bhadka nahi raha hai. Mujhe to sac...

Avu (cut him off): Sach bataya ja raha hai. Yahi kehna chahte ho na? Konsa sach? Yahi ki Abhi popularity ke liye tumhare saath hai? Ya ye sach ki Abhi tumhara use kar raha hai? Aur koi tumhe ye bhi bola hoga ki Abhi aaj tak tumse pyaar ka naatak kar raha hai. He is faking his care and love for you, right? Batao. Tum batao ki aaj tak Abhi ne jo kiya vo sach hai ya jo usne kabhi nahi kiya vo tumhe kisine bataya vo sach hai? Bolo Siddharth. Kya sach hai aur kya jhut? Jo tumne itne saal feel kiya vo sach hai ya aaj jo Raghav ne tumhe bataya vo sach hai?

Instead of answering, Sid angrily got up and left the room. In real, Sid himself was battling inside to decide what is truth. His brain, which was brainwashed by Raghav, was saying that wahat Raghav said is the truth while his heart, which witnessed Abhi's love and care for years, was saying that what all Raghav said is fake and Abhi is pure. In Abhi's room, Vaishu was in a shock while Avu was fuming in anger as Sid was believing a fake person upon his best friend. They both glanced Abhi who was lieing silently on the bed with puffy eyes and nose and red face. Vaishu went near him and wiped his tears and waited for him to gain consciousness.

TRUST: Starting of a new bondWhere stories live. Discover now